Muharram
Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Radiallahu Anhu Par Pehla Teer Amr Saad Ne Chalaya
Part: 14
Qasid Ne Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Paigam Amr Saad Ko Pahucha Diya Us Zalim Ne Laskariyo Se Maswara Liya Aur Kaha Ki Ab Saam Ho Chuki Hai Is Liye Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Ye Tazawij Maan Leni Chahiye Simr Laeen Ne Kaha Ki Agar Che Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ek Choti Si Jamat Le Kar Aaye Hai Magar Ye Us ALLAH Ke Sher Ka Beta Hai Jis Ki Bahaduri Wa Suja’at Ka Sikka Zaminwale Hi Nahi
Balqi Aasman Wale Bhi Mante Hai Is Liye Hussain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Ek Lamha Ke Liye Bhi Maholat Deni Acchi Baat Nahi Hai Magar Aaj Ki Raat Muhalat Is Liye Deni Chahiye ki Us Ka Laskar Pyas Se Aur Kamzor Ho Jaye Taki Un Me Kal Ladne Ki Himmat Na Rahe ….

Muharram Ki 9vi Tarikh Ka Chand Thar Tara Raha Tha Kuch Hi Der Me Chand Dub Gaya Aur Karbala Ki Zamin Par Siyah Chadar Bich Gayi Aur Har Taraf Andhera Chaa Gaya Aur Fatema Ka Lakhte Jigar Utha Karbala Ki Mitti
Se Tayyammum Kiya Aur Raat Ke Andhere Me ALLAH Rabbul Izzat Ki Bargah Me Sar ba Sujood Ho Gaya Aur Arz Ki Aye KHALIQ-E-KAYENAAT Ye Meri Zindagi Aur Teri Bandagi Ki Aakhri Raat Hai Subah Jo Kuch Hone Wala Hai Woh Tu Janta Hai. Magar Meri Ye Iltejah Qubool Farma Ki Is Imtehaan Me Sabit Kadam Rahu Khusi Se Apne Bachccho Ki Qurbani Du Has Kar Lasho Ko Utha’u Muskurata Hua Khoon Ko Dho’u Aur Tere Naare Lagate Hue Apna Gala Katwa’u Aye ILAAHAL AALAMEEN Mujhe Sabr Wa Sukoon Ki Taufiq Ata Farma Ki Is Haq Wa Batil Ki Khooni Marke Me Hausla Na Haru Aur Kahi Aisa Na Ho Ki Baal Bachccho Ki Muhabbat Tere Raste Me Ha’il Ho Jaye Aye AHKAMUL HAKEMEEN Jo Kuch Mere Paas Tha Woh Leke Aa Gaya Hu Ab Tu Is Qurbani Ko Qubool Kar Lena ….

Raat Aadhi Ho Chuki Thi Har Taraf
Khamoshi Hi Kahmoshi Thi Imam-E-Mazloom Ne Sajde Se Sar Uthaya Muslle Se Uthe Aur Sahezada Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Farmaya Beta Jao Aur Maidane Karbala Ka Naqsa Dekh Aao Sahezada Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Uthe Aur Raat Ki Khamoshi Me Maidane Karbala Ki Charo Taraf Nigah Daudhai Maidan Ke Wast Me Dekha Ke Ek Burkaha Posh Kahtoon Apne
Daman Se Maidane Karbala Ki Zamin Ko Saaf Kar Rahi Hai Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Us Khatoon Ke Paas Aaye Aur Pucha Aye Bibi Tu Kaun Hai?? Aur Zamin-E-Karbala Kyu Jhadhti Hai Khatoon Khamosh Rahi Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Wapas Aaye To Imam Aali Makam Ne Pucha Beta Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Maidane Karbala Me Koi Chiz Nazar Aayi Arz Kiya Haan Huzoor Maidan Ke Wast Me Ek Burkha Poosh Kahtoon Hai jo Apni Chadar Se Zamin-E-Karbala Ko Jhaad Rahi Hai Magar Woh Boli Nahi Imam-E-Mazloom Ki Aankhe Ashqbaar Ho Gayi Bete Ne Pucha Abba Jaan Aap Kyu Rone Lage To Imam-E-Paak Ne Farmaya Beta Woh Meri Maa Fatema Hai Jo Apni Chadar Se Zamin-E-Karbala Ko Is Liye Saaf Kar Rahi Hai Ki Mere Bate Husain Ke Jism Par Koi Kankar Na Chub Jaye ….
“Ki Is Maqtal Me Letega Subah Lakhte Jigar Mera
Yahan Tadpega Be Goro Kafan Noore Nazar Mera.”
Yahan Tadpega Be Goro Kafan Noore Nazar Mera.”
Maidane Karbala Me Subah Ki Azan Ke Liye Sahezada Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Sadae Tauhid-O-Risalat Buland Ki Aap Ki Jaan Nisar Jamat Ne Imame Bar Haq Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Piche Namaz-E-Fajr Ada Ki Namaz Ke Baad Imam Husain Ne Phir Ek Martaba Apne Saathiyo Se Farmaya Ki….
“Aap Ne Jis Khuloos-O-Aqidat Se Is Waqt
Tak Mera Saath Diya Mai Aap Ka Sukrguzar Hu Magar Mai Phir Aap Ko Ijazat Deta Hu ki Mujhe ALLAH ke Aasare Par Chod Kar Chale Jao Is Liye Ki Mai Nahi Chahta Ki Meri Wajah Se Aap Log Maut Ke Muh Me Jaye.”

Magar Aakhri Waqt Me Bhi Jab Laskar-E-Yazeed Jang Ke Liye Lalkar Raha Tha Aur Har Ek Ko Apni Maut Nazar Aa Rahu Thi Aur 3 Din Ke Bhuke Pyase The Muttafiqa Taur Par Jawab Diya
“Ya Husain !!!
“Ya Husain !!!
Hum Bhi Muslman Hai Aur Aap Ke Nana
Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Safa’at Ke
Ummidwaar Hai Aur Hum Bhi Ek Fasiq Wa Fajir Ki Ba’it Nahi Karege Aur Sirf Aap Ki Wajah Se Nahi Balki Islam Ki Izzat Deen Ki Aabru aur Haq Aur Hidayat Ke Parcham Ko Buland Rakhne Ke Liye Hume Bhi Apni Jaane Qurban Karne Ki Ijazat De Dijiye ….”
Sher-E-Khuda Ka Sher Fajr Ki Namaz Ke
Baad Maidan E Karbala Me Aaya Aasman Ki Taraf Nigah Uthai Aawaz Aayi
“Husain!!! Bach Ja Mai Taqdeer Hu…
Husain Ne Kaha Aaja Mai Shabbir Hu…
Phir Aawaz Aayi
“Husain!!!
Mujhe Khuda Ne Bheja Hai”…
Husain Ne Farmaya…
“Mujhe Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Bheja Hai”…

“Mera Naam Qaza Hai”…. Husain Ne Kaha “Mera Baap Murtaza Hai …”
Kuch Waqt Guzra Yazeed Ke Laskar Se
Aawaz Aayi Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Der
Kyu Kar Rahe Ho Kya Yazeed Ke Ba’it Ke
Mutalliq Soch Rahe Ho???
Amr Saad Ki Is Badzubani Se Imam Husain Josh Me Aa Gaye Ghode Ko Ide Lagayi Aur Tanha Laskar-E-Aada Ke Samne Khade Ho Gaye Aur Ek Iman Afroz Khutba Irshad Farmaya…
” Aye Batil Parsto Aur Deen Ke Dusmano
Suno Aur Gaur Se Suno Ki Ye Jo Kuch Tum Kar Rahe Ho Aur Jis Ke Khoon ke Pyase Ho. Woh Kaun Hai Us Ki Shaan Kya Hai???
Mere Hasab Wa Nasab Ko Yaad Karo Mai Us Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Nawasa Hu Jis Ka Tum Kalima Padhte Ho Mai Us Baap Ka Beta Hu Jo Tumhara Khalifa Wa Imam Tha Aur Mai Us Maa Ka Beta Hu Jis Ki Faristo Ko Bhi Sharm Thi Mera Khandaan Khandane Nabuwat Hai Mera Gharana Noorani Aur Paak Hai Aayat-E-Tatheer Humari Shaan Me Nazil Hui Mai IMAM UL ANBIYA ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Dosh Par Sawar Hone Wala Husain
Hu Mera Koi Kusoor Ho To Batao Mera Koi Jurm Hai To Sabit Karo Mai Khud Nahi Aaya. Tumhare Bulawe Par Aaya Tumhare Shekdo Khat Mere Paas Maujood Hai Phir Aap Ne Ek Ek Ka Naam Le Kar Farmaya Ki Duniya Ki Lalach Me Aakar Aur Yazeed Gair islami Darbar Me In’aam Ws Iqram Pane Ki Tam’aa Me Itrat-E-Paigambar Ko Halaq Karne Ka
Irada Ab Bhi Chod Do Aur Apni Aakebat
Sawaro Mera Khuda Tumhe Zaroor Muaf Kar Denga…
Haan Tumhari Nazar Me Agar Mera Kusoor Hai To Woh Ye Ki Mai Yazeed Ki Ba’it Nahi Karta Aur Fasiq Wa Fajir Ke Aage Sar Nahi Jhukata To Sun Lo….”Mai Apna Sab Kuch Qurban Kar Dunga, Bhuk Aur Pyas Bardast Kar Lunga, Akbar Asgar ko Has Kar Nisar Kar Dunga Aur Khood Bhi Neza Par Chad Jaunga Magar Hargiz Yazeed Ki Bait Nahi Karunga.”
Lashkar-E-Aada Par Ek Sukoot Tari Tha Har Taraf Khamoshi Cha Gayi Aur Kisi Me Jawab Dene Ki Himmat Na Rahi woh Hairat Se Ek Dusre Ka Muh Tak Rahe The Magar Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Is Pur Tasir Taqreer Ne Hoor Ki Aankho Se Tamam Gaflat Ke Parde Utha Diye Aur Us Ne Muhabbat Bhari Nigah Se Imam Ki Taraf Dekha….
Amr Saad Ne Pucha Hoor Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Tarf Baar Baar Kyu Dekhte Ho ???
Farmaya….
Zalimo Mujhe Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Peshni Se MUHAMMAD ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Noor Nazar Aa Raha Hai Aur Phir Ghode Ko Daudaya Aur Imam Husain Ke Kadmo Me Aa Gire Nawasa E Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ
Ne Uthaya Aur Pucha Kyu Aaye Ho??? Arz Kiya Aaqa Apne Muqtadi Hone Ka Haq Ada Karne Aaya Hu Apne Jurm Se Tauba karne Aaya Hu Aur Aap Ke Kadmo Me Jaan Dene Aaya Hu Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Hoor Ko Gale Lagaya Aur Farmaya ALLAH Teri Tauba Qubool Kare ….
Phir Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne
Yazeedi Laskar Ki Taraf Muh Kiya Aur Amr Saad Ko Mukhatib Kar Ke Farmaya Ki Lanat Hai Tujh Par Ki Tu Duniya Ke Lalach Ke Badle Apne Deen Ko Barbad Kar Raha Hai. Aur Yazeed Se In’aam Pane Ke Khatir Batil Ki Himayat Kar Raha Hai Hoor Abhi Taqreer Kar Hi Rahe The Ki Amr Saad Ne Apni Kaman Uthai Aur Teer Chille Par Chdaya Aur Ye Kahete Hue Teer Imam-E-Paak Ki Taraf
Pheka Ki Logo Gawah Rahena Ki Husain Par Pahele Teer Mai Ne Chalaya Hai ….
KHUDA Ki Shaan Ki Ye Amr Saad Un Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ka Beta Hai Jinhone Jang E Uhad Me SAYYED UL MURSALEEN ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ki Hifazat Ke Liye Aur Deen Wa Haq Ki Baqa Ke Liye Pahela Teer Kuffar Ki Lasakar Ke Taraf Pheka Tha Aur Aaj Unhi Saad Bin Abi Waqqas Ka Beta Amr Saad Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Qatl Karne Ke Liye Aur
Deen-O-Haq Ki Tabahi Ke Liye Pahela Teer Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Tarf Chalata Hai.

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~