Muharram

Khaaq-E-Karbala: Hazrat Wahab Bin Abdullah Kalbi Radiallahu Anhu Ki Shahadat

Part: 16
Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Shaha’dat,Ke Baad Hazrat Wahab Bin Abdullah Kalbi ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Hazart Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Maidan Me Jane Ki Ijazat Talab Ki ….
Ye Apne Qabile Ke Ek Khubsoorat Jawan
The Jin Ki Shadi Ko Abhi 15 Din Hi Hue The. Apni Tamam Ummango Se Muh Mod Kar Apni Tamam Aarzu’o Ko Khakh Me Mila Kar Apni Nayi Dulhan ke Suhag Ka Bhi Koi Khyal Na Karte Hue Namoose Islam Ki Khatir Qurban Hone Ke Liye Tayyar Ho Gaye. Sayad Ye Jawan Apni Dulhan Ke Suhag Ko Kayam Karne Ke Liye Jaan Na Deta Magar Us Ki Budhi Maa Ne Farmaya…
“Beta Mai Ne Tumhe Paida Kiya Tumhe Pala Tumhe Apni Aankho se Ek Lamha Ke Bhi Liye Door Nahi Kiya Mai Janti Hu Ki Tum Mere Aankho Ki Thandaq Ho Mere Budhape Ka Sahara Ho Aur Beta Humare Nabi ﺻﻠﻰﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Ki Aulad Sari Zindagi Bhi Apni Maa Ka Haq Ada Nahi Kar Sakti Magar Aaj Agar Tum Deen Par Qurban Ho Jao Aur Hazrat Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ
Par Sadke Ho Jao To Mai Samzungi Ki Tum Ne Maa Ka Haq Ada Kar Diya Aur Agar Tum Ne Inkar Kar Diya To Mai Khud Talwar Pakad Kar Maidan Me Jaungi Aur Amr Saad Ko Bata Dungi Ki Deen-O-Iman Ki Hifazat Ke Liye KHUDA Talah Ne Sirf Mardo Ko Hi Nahi
Balki Aurto Ko Bhi Himmat Di Hai ….
Budhi Maa Ki Is Dil Dahela Dene Wali
Guftagu Ne Hazrat Wahab Ke Sine Me ek
Tufan Barpa Kar Diya Aur Dil Me Ek Aag
Laga Di Josh Me Uthe Aur Biwi Ke Paas Gaye Aur Kaha…

“Aye Rafiq-E-Hayat Mai Tumhare Suhag Ki Kimat Janta Hu Magar Aaj Ibne Rasool Par Musibat Bani Hui Hai Aur Woh Sakht Imtehan me Mubtalah Hai Aur Mai Chahta Hu Ki Imam Husain Aur Deen-E-Islam Ke Liye Apni Jaan Qurban Kar Du Is Liye Tum Apna Maher Muaf Kar Do”…
Wafadar Biwi Dast Ba Dasta Khadi Hui Aur Jawab Diya….
“Aye Mere Sartaj Agar Che Mai Janti Hu Ki Tumhari Maut Se Mera Suhag Luth Jayega Lekin Agar Mera Suhag Lut Kar Deen Wa Haq Ka Alam Buland Raheta Ho To Mujhe Manzoor Hai ….”
Aur Phir Ye Teeno Maa, Beta Aur Dulhan Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Khidamt Me Hazir Hue Wahab Ki Maa Ne Arz Kiya Ya Ibne RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ye Wahab Mera Beta Meri Zindagi Ka Aasra Hai. Meri Kamai Hai Lekin Mai Ye Bardast Nahi Kar Sakti Ki Itrate Paigambar Musibat Me Mubatilah Ho Aur Mera Jawan Beta Dekhta Rahe Is Liye Mere Bete Ko Nisar Hone Ki
Ijazat De Dijiye Ya Sayyed Meri Is Haqeer Si Qurbani Qubool Farmaye

Is Gufatagu Se Ahele Khema Rone Lage
Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Jante The Ki Aaj Maidane Jang Me Jo Bhi Jayega Zinda Wapas Nahi Lautega Aur Wahab Ki Maut Se Us Ki Maa Ki Lathi Tud Jayegi Ye Ki Biwi Ka Suhag Khakh Me Mil Jayega Is Liye Farmaya…
“Wahab Tumhari Muhabbat Ka Sukriya
Magar Mai Nahi Chahata Ki Tumhe Maut Ke Hawale Kar Du Tumhari Budhi Maa Ka Sahara Chin Lu”… Magar Teeno Me Se is Par Koi Razi Na Hua Teeno Ne Imam Ke Pao Pakad Liye Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Hazrate Wahab Ka Shauq-E-Shahdat Dekha To Ijazat De Di.
Hazrat Wahab Ne Imam Ke Kadam Chume Maa Ke Pao Ka Bosa Diya Aur Biwi Ke Sar Par Haath Phera Aur Ghode Ka Ishara Kiya Aur Phir Dusmano Ke Aage Dath Gaye Sar Par Lohe Ka Khaud Tha Aur Haath Me Fauladi Shamseer Pust Par Dhaal Thi Aur Dusre Haath Me Neza MUHAKAM BIN TUFAIL Naami Sahesawaar Mukable Me Aaya Aur Phir Do Talware Laherai Neze Ubhar Aur Chamke Woh Bhi Sahesawaar
Tha Ye Bhi Tajurbekaar Woh Yazeedi Kutta Tha Ye Husaini Sher Tha Wahab Ne Ghode Ko Idh Lagayi Aur Bijli Ki Tarah Us Ke Sar Par Pahuche Aur Phir Fauladi Shamseer Uthi Aur Muhakim Ke Sar Par Giri Woh Khakh Par Tadpne Laga.
Yazeedi Laskar Pe Khamoshi Cha Gayi Aur Hairat Se Ek Dusre Ka Muh Takne Lage Ki Kaun Mukabile Me Jaye Idhar Hazrat Wahab Neza Hila Hila Kar Lalkaar Rahe The Yazeedi Kutto Aao Aur
Husaini Sher Ka Panja Dekho Aur Jab Koi Mukabile Ke Liye Nahi Aaya To Shauke Shahadat Me Khud Hi Bhuke Sher Ki Tarah Kalbe Lashkar Me Ja Pahuche Yazeedi Behedo Me Khalbali Mach Gayi Aur Amr Saad Ne Pukara Bahduro Tum Ko Kya Ho Gaya Hai Ki Tum Husain Ibne Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Ek Saathi Ka Bhi Mukabila Nahi
Kar Sakte Aur Phir Tamam Ne Mil Kar
Hazrate Wahab ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Par
Hamala Kar Diya Ek Teer Aap Ke Ghode Ki Peshani Par Laga Ghoda Gir Pada Aur
Hazart Wahab ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ba Pyada Aa Gaye Zakhmo Par Zakhm Kha Rahe The Magar Sabit Kadam Rahe Aur Is Halat Me Bhi 40 Yazeediyo Ko Qatl Kar Diya Aakhir Me ek Teer Aap Ke Seene Par Laga Aur Aap Behosh Ho Kar Zamin Par Gir Pade Aur Yazeediyo Ne Mauka Dekh Kar Aap Ka Sar Tan Se Juda Kar Diya Aur Saad Ne Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Aawaz Di Ke Apne Dusre Saathi Ko Bhi Le Jao.
Wahab Ki Maa Ye Nazara Dekh Rahi Thi
Daudi Aur Apne Bete Ka Sar Jholi Me Utaya Kaleje Se Lagaya Aur Phir Dulhan Ki Gaud Me Daal Diya Dulhan Ne Apne Sauhar Ka Sar Apni Gaud Me Dekha To Ek Chikh Maari Aur Apni Jaan De Di…
INNA LILLAHI WA INNNA ILAIHI RAJIOON
Hazrat Wahab ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Sahadat Ke Baad Nawasae Rasol Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Jaan Nisar Saathi Yaqe Baad Digare Naamuse Islam Ki Hifzat Wa Haq Shadaqat ki Rakhwali ke Liye Apne Apn Jauhar Dikhte Hue Qurban Ho Gaye ….
Ab Khandane Nabuwat ke Muqaddas
Kadmo Par Sirf Ahele Baithe Athar Ke
Chand Budhe 2-4 Jawan Aur Ek Do
Bachcche Hi Rahe Gaye The Jo Nawaist-E-Taqdeer Ko Pura Kar Ke Aur Kudart Ke Ata Kiye Hue Martaba-E-Shahadat Ke Ajli Atiye Ko Hasil Kar Ke Kufr Wa Batil Ke Andhero Me Apne Khoon Se Haq Wa Islam ki Sama Jala Kar WAFDAINAHU BEZIBAHIN AZIM ki Tafseer Banne Wale The Aur Martaba-E-Shahdat Par Fa’iz Honewale The.
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!