Hadees-E-Nabwi

Istikhara Ki Ahmiyat Aur Faal Nikalna Najaiz Hai

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
• Istikhara Chodne Ke Nuqasan
Sarkar-E-Madina, Sardaar-E-Makkah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :- “Bandey Ki Badd Bakhti Me Se Hai Ki Woh ALLAH Ta’ala Se Istikhara Karna Chorh De.
Huzoor-E-Aqdas صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ka Farmane Aalishan Hai :- ”Jo Istikhara Kare Woh Nuksaan Me Na Rahega,
Jo Mushawarat Se Kaam Karey Woh Pashemaan Na Hoga Aur Jis Ne Miyaanarawi Ikhtiyar Ki Woh Mohtaaj Na Hoga.
Ref.
(Tirmizi : Hadees : 2158
Majma’ul’Zawayed, 2/ 566, Hadees : 3670
Badd Shaguni (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 44-45)
● Qu’rani Faal Nikalna Najayez Hai
Ba’az Log Quran-E-Majeed Ka Koi Bhi Safha Khol Kar Sab Se Pehli Aayat Ke Tarjumey Se Apney Kaam Ke Baarey Me Khud Saakhta Mafhoom Akhaz Kar Ke Faal Nikaalte Hain. Is Tarah Faal Nikalna Najayez Hai.
Hadiqa-E-Nadiyya Me Hai :
Qur’ani Faal, Faale Daaniyaal Aur Is Tarah Ki Deegar Faal Jo Fi Zamana Nikali Jaati Hai Nek Faali Me Nahi Aati Balki In Ka Bhi Wohi Huqm Hai Jo Paansi Ke Teeron Ka Hai Lihaza Yeh Najayez Hain.
Jab Ke Bariqa-E-Mahmudiyya Me Hai. Quran-E-Majeed Se Badd Shaguni Lena Makrooh-E-Tehrimi Hai.

● Ek Ibrat Angez Hiqayat
Ek Din Waleed bin Yazeed bin Abdul Malik Ne Quran-E-Paak Se Faal Nikali Toh Jaise Hi Quran-E-Paak Khola Toh Yeh Aayat Mubarak Nikli.
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Aur Inhone Faisla Manga Aur Har Sarkash Wa Hatdharm Na Muraad Huwa.”
(Al Qur’an : Surah Ibrahim : Ayat 15)
Toh Waleed bin Yazeed Ne Quran-E-Paak Ko Shaheed Kar Diya Aur Yeh She’r Pada:
Kyun Tu Har Sarkash Wa Hatdharm Ko Dhamki Deta Hai.
Haan Mein Woh Hoon Sarkash Wa Hatdharm Jab Tu Qiyamat Ke Din Apney Rabb Ke Paas Hazir Ho Toh Keh Dena Mujhe Waleed Ne Shaheed Kiya Tha.
Is Saneh Ke Thodey Dino Ke Baad Kisi Ne Waleed Ko Be Dardi Se Qatl Kar Diya. Is Ke Sarr Ko Pehle Is Ke Mehel Aur Phir Sheher Ki Deewaron Par Latka Diya Gaya.
Ref.
(Hadiqa-E-Nadiyya : 2/26
Bariqa-E-Mahmudiya  , 2/386
Adab Al Duniya Wa Al Deen, Safha : 276
Badd Shaguni (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 39-40)
ALLAH Rabbul Aalameen Qurane Kareem Me Farmata Hai,
“Aur Ham Quran Utaarte Hai Wo Chiz Jo
Imaanwalo Ke Liye Shifa Aur Rahmat h
Hai Aur Is Zaalimo Ko Nuqsan Hi Badhta Hai.”
(Surah Bani Israel, Para 15, Ruku 9, Aayat 82, Tarzuma Kanzul Imaan)
Hadees-E-Nabwi:
Sanad : 
Imam Abu Dawood Rehmatullah Alaihi. — > Musa bin Ismail Rehmatullah Alaihi . — > Hammaad Rehmatullah Alaihi .  — > Muhammed Bin Ishaq Rehmatullah Alaihi .— > Amr Bin Shoeib Rehmatullah Alaihi . — > Apne Waalid Rehmatullah Alaihi . — > Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu. — Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam
Matan : 
Hazrat Abdullah Ibn Amr Radiallahu Anhu Bayaan Karte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya:
Jab Tum Me Se Koi Neend Me Dar Jaata  Ho, Toh Wo (Yeh) Kalimaat Kahe :
‎أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ غَضَبِهِ وَعِقَابِهِ وَشَرِّ عِبَادِهِ، وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ وَأَنْ  يَحْضُرُونِ
“AOOZU BI KALI MAATIL LAHIT TAMMATI MIN GHAZABI HI WA IQABIHI WA SHARRI IBADIHI WA HAMAZA TISH SHAYATEENUW WA AYIN YAHZUROON”.
Hazrat Abdullah Bin Amr Radiallahu Anhu Apne Samajhdaar Bach-cho Ko Yeh Kalimaat Sikhaate The Aur Na-Samajh Bach-cho Ke Gale Me Yeh Kalimaat Likh-kar Latka Dete The.
(Sunane Abu Dawood, Jild 4, Safa 141, Hadees No 3893)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing: wwww.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!