Hadees-E-Nabwi

Istinja/Taharat Khana/Baitul Khala Ke Aadab Hadees Ki Roshni Me

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
● Hammam Me Peshaab Karna
Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :- Koi Gusl Khane Me Peshaab Na Karey, Phir Us Me Nahaye Ya Wuzu Kare Ki Aksar Waswasey Is Se Hotey Hain.
Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Is Hadees-E-PaakKe Tehet Farmate Hain : Agar Gusl Khane Ki Zameen Pukhta Ho Aur Us Me Paani Kharij Hone Ki Naali Ho Toh Wahan Peshaab Karne Me Harj Nahi Agarchey Behtar Hai Ki Na Karey. Lekin Agar Zameen Kachchi Ho Aur Pani Nikalne Ka Rasta Bhi Na Ho Toh Peshaab Karna Sakht Bura Hai Ki Zameen Najis Ho Jayegi Aur Gusl Ya Wuzu Me Ganda Pani Badan Par Padega. Yahan Doosri Surat Hi Muraad Hai Isliye Taqeedi Mumana’at Ataa Farmayi Gayi. Yani Is Se Waswasey Aur Wehem Ki Beemari Paida Hoti Hai Jaisa Tajriba Hai Ya Gandi Cheehtein Padne Ka Waswasa Rahega.
(Sunan Abu Dawud : Jild 1, Safha : 44 , Hadees: 27)
(Mira’at : Jild 1, 6266)
(Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 7-8)
Istinja Khaane Me Jinnaat Aur Shayateen Rehte Hain. Agar Jaane Se pehle Bismillah Padh Li Jaaye Toh Is Ki Barakat Se 
Woh Sitr Dekh Nahi Saktey. Hadees-E-Mubarak Me Hai : Jinn Ki Aankhon Aur Logo Ke Sitr Ke Darmiyan Parda Yeh Hai Ki Jab Pakhaane Ko Jaayein Toh Bismillah Keh Lein. Yani Jaise Deewar Aur Pardey Logo Ki Nigaah Ke Liye Aad Bantey Hain Aise Hi Yeh Allahعزوجل Ka Zikr Jinnaat Ki Nigahon Se Aad Banega Ki Jinnaat Us Ko Dekh Na Sakenge.
Humein Hamesha Yaad Rakh Kar Istinja Khane Me Dakhil Hone Se Pehle Bismillah Pad Lena Chahiye Balki Behtar Hai Ki Yeh Dua Padh Li Jaaye. (Awwal Wa Aakhir Durood Shareef)
بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ
Tarzuma :
Allah Ke Naam Se Shuru,
Ya Allah ! Mein Na-Pak Jinno (Nar Wa Maada) Se teri Panaah Mangta Hoon.
(Sunan Tirimizi : Jild :2 , Safha : 113 , Hadees : 606)
(Miraat ul Manajih : Jild:1, Safha :268)
(Kitab ul Dua Al Tabarani : Hadees : 357, Safha : 132)
(Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha :  2-3) 

● Jinnat Ka Rizq Haddi, Gobar Aur Koyla Hai.
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abdullah Bin Mas’ud رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ki Khidmat-E-Aqdas Me Jinnaat Ka Ek Wafd (Group) Hazir Ho Kar Arz Guzar Hua. Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم!  “Aap Ki Ummat Haddi, Gobar Aur Koyle Se Istinja Na Karey Kyunki Allah Ta’ala Ne Isme Hamara Rizq Muqarrar Farma Diya Hai Toh 
Nabi-E-Kareem  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne (Ummat) Ko Is Se (Istinja Karna) Man’a Farma Diya”
Ref: 
(Sunan Abi Dawud : Hadees 39
Book ref. :  1, Hadees 39
Eng ref. : Book 1, Hadees 39)
(Jamia Tirmizi : Hadees 18
Book ref. : 1, Hadees 18
Eng ref. : Vol. 1, Book 1, Hadees 18)
● Bil Me Peshaab Karna
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Rehmat Wale Aaqa, Makki Madani Mustafa Ka Farmaney Shafqat Nishan Hai :
”Tum Me Se Koi Shakhs Suraakh Me Peshaab Na Kare”.
Jinn Ne Shaheed Kar Diya

Mufassire Shaheer Haqeemul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه Farmate Hain:
Juhoor Se Muraad Zameen Ka Suraakh Hai Ya Deewar Ki Fatan (Yani Darar), Chunki Aksar Suraakhon Me Zehriley Jaanwar Ya Chyunti Wagairah Kamzor Jaanwar Ya Jinnaat Rehte Hain. Chyunti Peshaab Ya Paani Se Takleef Payegi Ya Saanp Wa Jinn Nikal Kar Humein Takleef Denge. Isliye Wahan Peshaab Karna Mana Farmaya Gaya. Chunanchey Hazrate Sayyeduna Saad Ibne Ubada Ansari رضي الله تعالٰی عنه  Ki Wafaat Isi Se Hui Ki Aap  Ne Ek Suraakh Me Peshaab Kiya, Jinn Ne Nikal Kar Aap Ko Shaheed Kar Diya. Logo Ne Us Suraakh Se Yeh Aawaz Suni :
Hum Ne Qabila Khazraj Ke Sardar Saad Bin Ubada  رضي الله تعالٰی عنه  Ko Shaheed Kar Diya Aur Hum Ne (Aisa) Teer Mara Jo Un Ke Dil Se Aar Paar Ho Gaya.
Allahعزوجل Ki Un Par Rehmat Ho Aur Un Ke Sadqey Hamari Maghfirat Ho.
References
(Sunan Nasai : Safha 14, Hadees : 34)
(Miraat : Jild 1, Safha 268 Mirqaat : Jild 2, Safha 72 Wa Ashiyat ul Ma’aat : Jild 1 , Safha 220)
(Istinja Ka Tareeqa (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 6-7)
● Peshab Ke Chinte Aur Azab-E-Qabr:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki Sarkar-E-Do-Aalam, Noor-E-Mujassam, Shaahe Bani Aadam, Rasool-E-Mohtasham صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Do (2) Qabron Ke Paas Se Guzrey Aur Ghayb Ki Khabar Dete Hue Farmaya :
Yeh Dono Qabr Wale Azaab Diye Jaa Rahe Hain Aur Kisi Badi Cheez Me Azaab Nahi Diye Jaa Rahe (Jis Se Bachna Dushwar Ho). Balki Ek Toh Peshaab Ke Cheehton Se Nahi Bachta Tha Aur Doosra Chugal Khori Kiya Karta Tha Phir Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Khajoor Ki Taaza Tahni Mangwayi Aur Usey Aadho Aadh Cheera Aur Har Ek Ki Qabr Par Ek Hissa Gaad Diya Aur Farmaya : Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Tab Tak In Dono Ke Azaab Me Takhfeef Hogi.
“Qabr Per Phool Daalna Yahanse Saabit Hota Hai”
Agar Qabr Per Phool Daalna Shirk Hota, Toh Rasoole Kamaal صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ye Amal Hargiz Na Karte..
References
(Sahih Bukhari : Hadees 6055
Book ref. : 78, Hadees 85
Eng ref. : Vol. 8, Book 73, Hadees 81)
(Sahih Bukhari : Hadees 218
Book ref. : 4, Hadees 84
Eng ref. : Vol. 1, Book 4, Hadees 217)
(Sunan Abu Dawud : Hadees 20
Book ref.: 1, Hadees 20
Eng ref. : Book 1, Hadees 20)
(Jamia Al Tirmizi : Hadees 70
Book ref. : 1, Hadees  70
Eng ref. : Vol. 1, Book 1, Hadees 70)
(Istinja Ka Tareeqa (Hindi): Maktabatul Madina Hind, Safha 2)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:              
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!