Hadees-E-Nabwi

Husne Akhlaq Aur Sulah Karane Ki Fazilat

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
Hazrate Sayyeduna Abu Darda رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Irshaad Farmaya :
“Meezan-E-Amal Me Husne Akhlaq Se Zyada Wazni Koi Cheez Nahi.”
(Sunan Abu Dawood : Hadees : 4799 , Jild : 4 , Safha : 332)
(Husne Akhlaq (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 16)
• Logon Me Sulah Karane Ki Fazeelat:
Hazrate Sayyeduna Abu Darda رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Irshaad Farmaya :
“Kya Tumhein Darjey Ke Aetebar Se Namaz, Rozey Aur Sadaqey Se Afzal Amal Ke Baarey Me Na Bataoon?”
Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Ne Arz Ki :
“Kyun Nahi!”
Rehmate Aalam صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ne Irshaad Farmaya :
“Aapas Ke Ta’lluqat Ko Achcha Karo Kyunki Na Ittefaqi Deen Ko Moond Denewali Hai”
(Sunan Tirimizi : Hadees : 2517 , Jilad : 4 ,  Safha : 228)
(Husne Akhlaq (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 41)

In Chand Hadeese Pak Se Khub Roshan Hota Hai Ke Husne Akhlaaq Ki Kya Ahmiyat Hai. Mere Aaqa صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Ke Husne Akhlaaq Ko Dekh Kar Log Imaan Laate The. Isi Tarah Sahaba-E-Kiram رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم Ke Zamane Me Bhi Unhone Sunnat-E-Mustafa صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم Par Amal Kiya. Aur Apne Husne Akhlaq Ko Sawara. Par Afsos ! Aaj Kuch Alag Hi Mahol Hai. Log Sulah Karana To Door Aur Bhadakti Chingariyo Ko Hawa Dene Ka Kaam Karte Hai. Aise Logo Ko In Hadeese Pak Se Sabak Lena Chahiye Aur Apne Akhlaq Ko Sawarna Chahiye.
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!