Hadees-E-NabwiImaan

Shaan Wa Fazilate Sahaba-E-Kiram Hadees Se

• Sahabi:
Sahabi Woh Khushnasib Momin Hai
Jinhone Imaan Wa Hosh Ki Halaat Me
Ek Nazar Huzoor Nabi-E-Rahmat Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Dekha Ya Unhe Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sohbaat Naseeb Huwi Ho Phir Imaan
Par Khatmaa Bhi Naseeb Huwa Ho.
• Shaan-E-Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’ala Anhu:
Aaj Kuch Firqe (Rafji, Devbandi/Wahabi) Sahaba-E-Kiram Radiallahu Ta’ala Anhu Ko Bura Bhala Kehte Hai. Kai To Aksar Unke Shaane Aqdas Me Gustakiya, Gaali-Galoch Karte Hai. Unme Kaun Afzal Hai Is Par Behes Karte Hai Aur Kisiko Haqeer Jaante Hai. Maz’ALLAH Astagfirullah. Ye Baat Par Aksar Khulfae Rashideen Ki Khilafat Ko Lekar Gustakhiya Karte Rehte Hai. Jinke Dilo Me Bugz-E-Sahaba Ho Unke Liye Ye Post Likhi Gayi Hai Ke Kahi Unhe Apne Is Gunaah Ki Fikr Ho Jaye Aur Wo Tauba Karle. Hadeese Pak Me Sahaba-E-Kiram Ki Fazilate Wa Shaano Shaukat Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Ham Bhi Ispar Roshni Dalte Hai.
Hadees No: 1
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho
Se Rivayat Hai KeRasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Merey Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza-E-Qudarat Mey Meri Jaan Hai. Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
References :
(Sahi Muslim, Vol 04, Pg : 1343, Kitab
No 44 – Fazail e Sahaba Radiallahu
Anho Azmain, Baab No 54 Sahaba ko
Bura Na kaho, Hadees : 3470)
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57,
Kitab No 01,Hadees : 161)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg :
215, Book No 42 Kitab Al Sunnah
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 4658)
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695,
Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 3861)
Hadees No: 2
Hazrat Nusair Bin Zu’look RadiyAllahu
Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu
Ta’ala Anhuma Farmaya Kartey They
Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Aik Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hai.
References :
(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 57,
Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162)
(Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn
Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg :
405, Hadees : 32415)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol :
02 Pg : 484, Hadees : 1006)
Hadees No: 3
Hazrat Jaabir Bin Samurah Radi
Allaho Anho Sey Riwayat Hey Unhoney
Bayan Kiya Key Hazrat Umar Radi
Allaho Anho Ney Jaabiya Key Maqaam
Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya :
Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Yoo’n
Qiyam Farmatey They Jaisey Mey
Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
“Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri
Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato
Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki
Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad
Aaney Waaley Hain. Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain.
Aur Hazrat Abdullah Bin Umar Radi
Allaho Anho Sey Marwi Aik Riwayat
Mey Farmaya :
Merey Sahaba Sey Achchha Sulook Karna.”
References :
(Sunan Ibn Majah Vol : 03,Pg : 353,
Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol :
01, 98, Hadees : 144)
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01,
Pg : 187,188, Hadees : 388, 390)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat,
Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)
Sahaba-E-Kiram, Tabaeen Wa Tabe Tabaeen, Imaam, Auliyae Kiram In Sabki Tazeem Ka Huqm Is Hadeese Pak Me Hai. Alhumdulillah Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at (Maslake Aalahazrat) Sabki Tazeem Karte Hai. Aur Inhi Ke Naqshe Qadam Par Chalane Ki Dua Bhi ALLAH Rabbul Aalameen Ki Bargah Me Karte Hai. 
Hadees No: 4
Hazrat Umar ibn Khattab Radi Allaho
Anho Se Rivayat Hai Unhone Rasool
ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ko
Farmate Huwe Suna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Maine Apne Rab Se Apne Sahaba Kay Iktelaf Ke
Muttalik Sawal Kiya Jo Mere Baad Hoga.
ALLAH Ne Meri Taraf Wahi Farmayi
“AYE Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Tumhare Sahaba Mere Nazdik
Aise Hai Jaise Aasman Ke Sitaro Ki Manind Hai Inme Baaj Baaj Pe Afzal Hai Lekin Sabke Sab Nooroni Hai. Aye Mehboob! Agar Inme Baad Me Ektelaf Ho Jaye To Jo Inme Se Jiski Pairvi
Kare Wo Hidayat Paa Jayga.”
Phir Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmya,
“Aye Logo Jaan Lo Mere Sahaba
Aasman Me Chamakte Sitaro Ki Manind Hai Inme Se Jiski Pairvi Karoge Hidayat
Paa Jaoge.
References :
(Mishkat Al Masabih Vol :  03, Baab :
Manakib e Sahaba,Hadess 5762)
(Imam Bayhaqi Vol : 01, Pg :162,
Hadees : 152)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus
Vol : 04, Pg : 160, Hadees : 6497)
(Imam Zahbi Al Mizanul Aitedaal Vol  :
02, Pg : 142)
(Khatib Bagdadi Al Kifaya Vol : 01, Pg :
48)
(Imam Abu Qadama Maqdisi Hambli Ne
AL Mugni  Vol : 03)
 (Imam Ibn Katheer Tuhfatut Talib Vol :
01, Pg : 45)
“Ek Simt Ali Ek Simt Umar Usman Idhar Siddiq Udhar,
In Jag-Mag Jag-Mag Taaron Mein Sarkaar Ka Aalam Kya Hoga,
SubhanALLAH  SubhanALLAH  SubhanALLAH.”
• Sahaba-E-Kiram Ke Gustakho Fikr Karo Apne Aamaalo Ki:
ALLAH Ki Beshumaar La’nate Ho Aise Khabeeso Par Jo Sahaba Ki Shaane Aqdas Me Gustakhiya Kare Ya Unpe Kufr Ka Fatwa Lagaye.
Hadees No: 5
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu
Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hey Ke
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
“Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey
Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To
Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr
(Buraayi) Par ALLAH Ta’ala Ki Laanat Ho.”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 : Pg : 697,
Kitabul Manakib, Hadees : 3866)
(Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat,
Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366)
(Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01,
Pg : 263, Hadees : 1022)

Hadees No: 7
Hazrat Abdullah Bin Mughaffal Radiallahu Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
˝Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Mey ALLAH Ta’ala Sey Daro, ALLAH Sey Daro Aur Merey Baad Inhey Tanqeed Ka
Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ne
In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah
Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se
Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki
Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis
Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney
Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis
Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us
Ney ALLAH Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney ALLAH Ta’ala
Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb
ALLAH Ta’ala Usey Pakreyga.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 696,
Book No 49 Kitab Manakib Ana Rasool
Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadees : 3862)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal,
Vol:05,Pg :54&57,Hadees
-20549,20578)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol :
02, Pg : 191, Hadees : 1511)
(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus,
Vol : 01, Pg : 146, Hadees : 525)
Imam Tirmizi ne is hadees ko Hasan
likha hai.
Hadees No: 8
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu
Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki
Rasoolullah SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
“Jab Koi Shakhs Apne (Musalman) Bhaai Ko Kafir Kehta Hai To Donon Me Se Koi Aik Shakhs Us Kufr Ke Saath Lauta (Ya’ni Agar Jise Kaha Gaya Woh Kafir Na Huwa To Kehne Waala Khud Kafir Ho Jaayega).”
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 01, Book 02 : Kitab Ul
Imaan, Baab No 26 : Bayani Haali Imaan
Man Kaala Lakhi Muslimo Ya Kafiro ,
Hadees : 60)
• Sahaba-E-Kiram Ki Pairvi Raahe Najaat Hai:
Hadees No: 9
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :
“Yahoodi Aur Nasara (Jews & Christians) 71 Aur 72 Firqon Me Batey Hain. Meri Ummat 73 Firqon Me Batt Jayegi. Lekin Ek (1) Firqey Ke Siwa Baaqi Tamam (72) Firqey Jahannum Me Jaayenge.”
Sahaba-E-Kiraam Radiallahu Anhuma Ne Arz Ki: “Ya RasoolALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ! Ye Kaunsa Ek Firqa Hoga?
Huzoor-E-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :
“Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeedey Par Hoga.”
Hadees No: 10
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke :
“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Hongey, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeedey Par Hoga”.
References:
(Jamia Tirmizi : Hadees 2641
Book ref. :  40, Hadees 36
Eng ref. : Vol. 5, Book 38, Hadees 2641)
(Sunan Ibn Majah : Hadees 3992
Book ref. :  36, Hadees 67
Eng ref. : Vol. 5, Book 36, Hadees 3992)
(Sunan Abu Dawud : Hadees 4596
Book ref. :  42, Hadees 1
Eng ref. : Book 41, Hadees 4579)
ALLAH AZWAZAL Qurane Kareem Me Farmata Hai,
“Ye Hai Woh Log Jinke Dilon Me ALLAH Ne Imaan Naqsh Kar Diya Aur Apni Taraf Ki Rooh Se Inki Madad Farmayi Aur Inhein Baagon Mein Le Jayega Jinke Neeche Nehrein Beh Rahi
Hai, Hamesha Rahenge Unmein. ALLAH Unse Razi Aur Aur Wo ALLAH Se Razi Uske Rahmat Aur Karam Se Yeh ALLAH Ki Jamaaat Hai Sunta Hai ALLAH Hi Ki Jamaat Kamyab Hai.”
(Surah Mujadilah, Para 28, Ruku 3, Ayat 22, Tarzuma Kanzul Imaan)
Ye Kamiyab Jama’at Hi Ahle Sunnat Jama’at Hai Jo Sahaba-E-Kiram, Tabaeen, Tabe Tabeen, Imaam, Shohda, Auliyae Kiram, Bururgane Deen Aur Nek Bando Ki Hai. Jinke Nakshq Qadam Par Chalne Ka Huqm Hame Hadeese Pak Se Milta Hai Aur Unki Pairavi Me Hi Hum Sabki Nazaat Hai.
“Aur Jo ALLAH Aur Uske Rasool Ka Huqm Mane To Use Unka Sath Milega Jinpar ALLAH Ne Fazl Kiya Yani Nabi Aur Siddiqin Aur Shaheed Aur Nek Log. Ye Kya Hi Achche Saathi Hai.”
(Surah An Nisa, Para 5, Ruku 9, Aayat 69, Tarzuma Kanzul Imaan)
Jinhone Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnate Wa Sahaba-E-Kiram Ki Sunnato Par Amal Kiya Unka Tareeqa Apnaya Beshaq Wo Roze Mehshar Unke Sath Honge. Aur ALLAH Ta’ala Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Maqaame Mehmood Par Khada Karega Jaha Mere Aaqa Hum Gunahgaaro Ki Shafa’at Karenge Aur ALLAH Qabool Farmayega.
“Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi
Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari
Hamd Kare”
(Surah Bani Israel, Para 15, Ruku 9, Aayat 79)
Aaiye Ab Chand Hadeese Pak Par Roshni Dalen Ki Hume Sahaba-E-Kiram Aur Khulfae Rashideen Ki Fazilate Malum Ho Jaye.
Hadees No: 11
Shab-E-Meraj Ki Subah Hateem-E-Kaaba Ke Paas Khadey Ho Kar Hamare Pyaare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Logo Ke Saamne Is Suhaani Me’raj Ka Zikr Kiya Toh Ahle Imaan Ka Imaan Toh Aur Mazboot Ho Gaya Magar Munafiqeen Wa Mushrikeen Ke Toh Goya Paaon Taley Se Zameen Nikal Gayi Ki Ek Raat Me Itna Taweel Safar Kaise Tay Kar Liya. 
Chunanchey, Mushriqeen Daudtey Huwey Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ke Paas Pahunchey Aur Kehne Lagey :
Kya Aap Is Baat Ki Tasdeeq Kar Sakte Hain Jo Aap Ke Dost Ne Kahi Hai Ki Unhone Raaton Raat Masjid-E-Haram Se Masjid-E-Aqsa Ki Sayr Ki ? 
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya :
Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Waqayi Yeh Bayan Farmaya Hai?
Unhone Kaha : Ji Haan !
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya :
Agar Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yeh Irshaad Farmaya Hai Toh Yaqeenan Sach Farmaya Hai.
Unhone Kaha Ki Kya Aap Is Hairan Qoon Baat Ki Bhi Tasdeeq Karte Hain Ki Woh Aaj Raat Baitul Muqaddas Gaye Aur Subah Hone Se Pehle Wapas Bhi Aa Gaye?
Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya:
Ji Haan ! Mein Toh Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aasmani Khabron Ki Bhi Subho Shaam Tasdeeq Karta Hoon. Yaqeenan Woh Toh Is Se Bhi Zyada Hairan Qoon Aur Ta’ajjub Wali Baatein Hoti Hain. 
Pas Is Waqiye Ke Baad Hazrate Abu Bakr Radiallahu Anhu “SIDDIQ” Se Mash’hoor Ho Gaye.
Ba’az Ba Bateen Logo Ne Nabi-E-Kareem  Sallallahu Alaihi Wasallam Se Is Azeem Mo’jizey Ko Jhootlane Ke Liye Tarah Tarah Ke Suwalaat Karna Shuru Kar Diye Jaisa Ki, Hadees-E-Paak Me Hai ALLAH AZWAJAL Ke Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya :
Quraish Mujh Se Mere Safar-E-Me’raj Ke Muta’lliq Suwalaat Kar Rahe The. Toh Unhone Mujh Se Baitul Muqaddas Ki Aesi Cheezon Ke Muta’lliq Suwalat Kiye, Jinhein (Gayr Zaroori Hone Ki Wajah Se) Meine Yaad Na Rakha Tha. Mujhe Is Baat Se Is Qadar Gham Huwa Ki Is Se Pehle Kabhi Itna Ghamgeen Na Huwa Tha, Toh ALLAH AZWAJAL Ne Baitul Muqaddas Ko Meri Khatir Utha Liya Aur Mein Usey Dekhne Laga, Lihaza Quraish Mujh Se Jis Jis Cheez Ke Baare Me Poochtey Gaye, Mein Unhein Batata Gaya.
Haqeemul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Rehmatullah Alaihi:
Mushriqeen-E-Makkah Ke Un Suwalat Ke Baare Me Farmate Hain Ki Woh Suwalat Bhi Laya’ni (Fuzool) The. Maslan Yeh Ki Baitul Muqaddas Me Sutoon Kitne Hain? Seedhiyan Kitni Hai? Mimbar Kis Taraf Hai? Aur Zahir Hai Ki Yeh Cheezein Toh Barabar Dekhne Par Bhi Yaad Nahi Rehti Toh Ek Baar Dekhne Par Kaise Yaad Rehti? Kuffar Ne Kaha Ki Arsh Wa Kursi Ki Baatein Jo Aap Bayan Kar Rahe Hain, Un Ki Toh Hum Ko Khabar Nahi, Baitul Muqaddas Hum Ne Dekha Huwa Hai, Wahan Ki Nishaniyaan Aap Hum Ko Batayein Isiliye ALLAH AZWAJAL Ne Is Me’raj Ke Do Hissey Kiye. Ek Masjid-E-Haram Se Baitul Muqaddas Tak Phir Doosra Wahan Se Arsh Ke Aagey Tak Taaki Log Is (Pehle) Hissa-E-Me’raj Ko Bahot Dalaail Se Maloom Kar Lein. Lihaza Jab Baitul Muqaddas Ki Kaifiyat Poochi Gayi Us Waqt ALLAH  Ta’ala Ne Hazrate Jibareil Ameen Alaihissalam Ko Huqm Farmaya Toh Unhone Apney Paron Par Baitul Muqaddas Ko Utha Liya Aur Makkah-E-Mukarramah Me Hazrate Aqeel Radiallahu Anhu Ke Ghar Ke Paas Rakh Diya, Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Usey Dekhhte Jaate Aur Un Ke Suwalon Ke Jawabat Dete Jaatey.
Yaad Rahe Ki Baitul Muqaddas Ko Utha Kar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Aaliya Me Hazir Kiya Jaana Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Moujiza Hai, Jis Tarah Bilkis Ka Takht (Utha Kar Darbar Me Hazir Kiya Jana) Hazrate Suleman Alaihissalam Ka Moji’za Hai. 
(Sahih Muslim : Hadees 172, Book ref. : 1, Hadees 337, Eng ref. : Book 1, Hadees 328)
(Sahih Bukhari : Hadees 233, Eng ref. : Vol. 6, Book 60, Hadees 233, Arabic ref. : Book 65, Hadees 4710)
(Sahih Muslim : Hadees 170, Book ref. : 1, Hadees 335, Eng ref. : Book 1, Hadees 326)
(Jamia Tirmizi : Hadees 3133, English ref.: Vol. 5, Book 44, Hadees 3133, Arabic ref. : Book 47, Hadees 3425)
(Al’Mustadrak A’l As’sahi’heen : Hadees : 4515 , Jild 4 , Safha 25)
(Me’raj Ke Waqiyat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 20-22)
Hadees No: 12
Hazrat Abdullah Ibn Umar RadiAllaho Anho Se Rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
Mai So Raha Tha Ki Dauran-E-Khwab Maine Itna Doodh Piya Jiski Taazgi Mere Nakhoono Se Jaahir Hone Lagi
Phir Bacha Huwa Doodh Maine Umar ibn Khattab Ko De Diya. Log Arz Gujar Huwe Is Doodh Se Kya Murad Hai?
Faramya ILM Murad Hai”
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :104,  Kitab No 03 Kitabul Ilm, Baab : Fazail E Ilm, Hadees : 82)
(Sahi Bukhari Vol :05, Pg :30, Kitab No 62 Fazail E Ashab Un Nabi, Baab : Manakib-E-Umar Ibn Khattab, Hadees : 3681)
(Sahi Bukari Vol :09, Pg :98,105, Kitab
No 91 Kitabut Tabeer, Hadees : 7006,7007,7027)
(Jamai Tirmizi Vol :04, Pg : 325,Kitab Ut Tabeer, Hadees : 2284)
Ilaahi Rehm Farma Khaadime Siddiqe Akbar Huñ,
Teri Rehmat Ke Sadqe’ Waasta Siddiqe Akbar Kaa
Hadees No: 13
Hazrat Uqba ibn Aamir RadiAllaho Anho Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”
(Jamai Tirmizi, Vol : 05 , Kitabul Manakib, Hadees : 4050)
Hadees No: 14
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se rivayat Hai Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Tumse Pehle Ummato Me Muhadis Huwa Karte The Agar Meri Ummat Me Koi Muhaddis Hai To Wo Umar Hai”
(Sahi Bukhari Vol : 05, Pg :34, Kitab Manakib-E-Ashabun Nabi, Baab:Manakib-E-Umar Ibn Khattab, Hadees : 3689)
SubhanALLAH Kya Martaba Hai Hazrate Umar-E-Farooq Radiallahu Anhu Ka. Ab Koi Inki Shaane Aqdas Me Gustakhi Karta Ho To Kya Wo Musalman Raha? Hargiz Nahi.
Hadees No: 15
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hai Nabi-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Sabse Behtar Hazrat Abu Baqr Aur Hazrat Umar RadiAllaho Anhuma Azmain Hai Aur Aage Farmaya MERI MUHABBAT AUR SHAIKHEN KARIMAIN (Abu Baqr Aur Umar) Ka Bugz Kisi Momin Ke Dil Me Jama Nahi Ho Sakta”
(Imam Tabrani Al Maj’mau Ausat Vol : 03, Pg : 79, Hadees : 3920)
Hadees No: 16
Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Rivayat Hai RasoolAllah Ne Farmaya,
Hasan Aur Hussain Jannati Nawjawano Ke Sardar Hai Aur Unke Walid Unse Afzal Hai.
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama Hadees : 123)
Hadees No: 17
Hazrat Imran Bin Hussain Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai.
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No -Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712)
Hadees No: 18
“Hazrat Habshi Bin Jundaah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Unhone Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon”
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 119)
Hadees No: 19
Hazrat Shuaba Bin Kuhayl Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail Radiallahu Anhu Se Suna Ki Abu Sareeha Radiallahu Anhu Ya Zayd Bin Arqam Radiallahu Anhu Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
ﻣَﻦْ ﻛُﻨْﺖُ ﻣَﻮْﻻَﻩُ ﻓَﻌَﻠِﻲٌّ ﻣَﻮْﻻَﻩُ
“Jiska Mein Maula Hoo’n Us Ka Ali Maula Hai.”
(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
 (Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees :1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106)
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg :602, Hadees :32904)
(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg : 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid Ke Sabse Bade Muhadis
Shaykh Albani Ne Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)
Hadees No: 20
Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
ﺃَﻧَﺎ ﺩَﺍﺭُ ﺍﻟْﺤِﻜْﻤَﺔِ ﻭَﻋَﻠِﻲٌّ ﺑَﺎﺑُﻬَﺎ
“MAI HIKMAT KA GHAR HOON AUR ALI USKA DARWAJA”
(Jamai Tirmizi, Vol : 05,Pg : 402, Kitab No : 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4089, “English No : 3723)
Agar Fazilate Sahaba-E-Kiram Maujoo Par Har Sahabi Radiallahu Anhu Ki Fazilate Bayan Karne Lage To Kai Kitabe Chap Sakti Hai. Yaha Mukhtasar Andaj Me Bayan Kiya Gaya Hai Aur Un Badmazhabo Ka Radd Kiya Hai Jo Sahaba-E-Kiram Ke Gustakh Hai.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:     
              www.hamarenabi.con
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
 ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
 ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم 
 صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!