Bidat E Hasna Ki Haqiqat
Aajkal Badmazhabo Ne Musalmano Ko Sunniyat Se Door Karne Ka Ek Hathiyar Apna Liya Hai. Bas Kisi Bhi Shakhs Ko Boldo Tum Jo Kar Rahe Ho Ye Biddat Hai. Aur Har Biddat Gumrahi Hai. Dozakh Me Le Jayegi. Falah Amal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sabit Nahi Hai. Ye Biddat Hai. Ab Wo Shakhs Soch Me Pad Jata Hai Ke Kya Haqiqat Me Mujhse Gunah Ho Raha Hai? Wo Sochne Par Majboor Ho Jata Hai. Ab Bajaye Iske Ke Wah Biddat Kya Hai Jaane Uski Tay Tak Jaye Wo Apna Rasta Chod Kar In Gumrah Bedeen Logo Ke Raste Par Chal Padta Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Sabke Imaan Ki Hifazat Farmaye.
Wahabi Deobandi Ahle Hadees Ye Sab Khud Gumrah Hai. Aur Aapko Bhi Gumrah Kar Sakte Hai. Log Inke Sawalo Ko Tawajjoh Dete Hai Bajye Iske Ke Inse Sawal Kare Ke Tum Daleel Do. Is Post Me Aapki Khidmat Me Biddat Ke Talluq Se Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Ham Sach Bayan Kar Rahe Hai. Ise Khoob Share Kare Taki Log Jaan Sake Ki Kya Sahi Hai Kya Galat. Alhumdulillah Ahle Sunnat Wal Jama’at Hi Haq Jama’at Hai. Aur Ham Apne Aqaid Ko Danke Ki Chot Par Bahawala Bayan Karte Hai. Ab Koi In Makkaro Imaan Ke Lutero Se Daleel Talab Kare To Bahanebazi Karke Bhag Jayenge. Dar Asal Ye To Shaitan Iblees Ke Chele Hai Aur Mardood Yazeed Inke Abba Hai. To Unko Khush Karne Ke Liye Ye Tarah Tarah Ke Fande Ikhtiyar Kar Logo Ko Nekiyo Se Rokte Hai. Aaiye Ham Quran Wa Hadees-E-Pak Se Biddat Ka Jayza Le. Phir Ham In Makkaro Ke Biddato Ki List Bhi Aapko Pesh Karenge.
Bid’at Arabic Ke Lafz ‘Badee’ Se Hai,
Jiska Matlab Hai ‘Naya Paida Karna’
Quran-E-Pak Me Kafi Jaga Par ALLAH Ke Liye Ye Alfaz Aaye ‘Badeeus Samawate Wal Ard’
Yani Naye Aasmano Aur Zameeno Ka Paida Karnewala
Bidat Ke Sharai Mayne Yeh Hain Ke Jo Kaam Hazoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Dour Main Na Tha Ab Ejaad Hua. Bidat Ki Kai Types Hain:
-Biddat-E-Hasana:
-Aisi Biddat Jisko Karna Jaiz Ho Aur Jisko Karne Se Sawab Bhi Mile. Ye Wo Bid’at He Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.
-Biddat-E-MUBAHA:
-Aisi Biddat Jisse Karna To Jaiz Ho Laikin Es Per Na Hi Sawab Mile Na Hi Gunah Ho.
-Biddat-E-Dalala / Biddat-E-Sayya:
Aisi Biddat Jisko Karna Najaiz-O-Gunah Ho. Ya Wo Bid’at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh-O-Haraam Hai.
Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih inhe Devbandi Gair Mukkalid Wahabi Dono Maante Hai Likhte Hai,
“Jo Biddat Usool Aur Kawa’ide Sunnat Ke Muafik Aur Uske Mutabik Kayas Ki Hui Hai (Yaani Shariat Aur Sunnat Se Na Takrati Ho) Usko Biddat-E-Hasna Kehte Hai Aur Jo Iske Khilaf Ho Woh Biddat Gumrahi Kehlati Hai.”
(Ashatul Lamaat Sharhe Mishkaat Volume : 01, Page : 130)
Biddat-E-Hasana Ka Saboot Al-Quran:
وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا ۖ فَآتَيْنَاالَّذِينَ آمَنُوا مِنْهُمْ أَجْرَهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِّنْهُمْ فَاسِقُونَ
(Surah Hadeed, Aayat No.27, Tarzuma Kanzul Imaan)
Tarjuma:
Humne Unke Peeche Paighambar Bheje Aur Maryam Ke Bete Eisa Ko Bheja, Aur Unhe Injeel Ata Farmayi, To Jin Logo Ne Unki Pairvi Ki, Unke Dilo Me Shafqat Aur Meherbani Bhar Di, Aur lazzat Se Kinarah Kashi Ki, Aur Unhone Apni Taraf Se Ek Nayi Baat Ijaad Ki,
Humne Uska Hukm Nahi Diya Tha, Lekin Unhone Ye Apne Rab Ki Raza Ke Liye Kiya Hai,
Fir Jaisa Ise Nibhana Chahiye To Nibha Na Sake, Bas Jo Log Inme Imanwale The To Hum Unhe Bada Ajr-O-Sawab Ataa Karenge, Aur Unme Bahut Se Nafarman Hain.
Is Aayat Se Saaf Zahir Hai Ke Biddat-E-Hasana Jaiz Hai Balke Achchi Niyat Se Ki Gayi To Us Per Sawab Hai, Ab Baat Yeh Aati Hai Ke Hadees Main Hai Ke “Yakeenan Her Biddat Gumrahi Hai”, Tou Aetraz Yeh Hua Ke Yeh Hadith Aur Quran Ki Aayat Aapas Main Ikhtelaf Kar Rahi Hain, Baat Samajhne Ki Yeh Hai Ke Hadees Quran Ki Aayat Se Ikhtelaf Nahi Kar Rahi Balke Hadees Ke Mayne Sahi Samjhe Nahi Ja Rahe, Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ke Matlub Es Hadees Main Bidat-E-Dalala/Biddat-E-Sayyi’a Hai Yani Wo Biddat Jo Fitna Phelane Ke Liye Ki Gayi Ho. Biddat-E-Hasana Ki Daleel Me Ahadees Yeh Hain:
“Hazrat Jareer Bin Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Jo Shakhs Islam Me Kisi Acche Tarike Nek Kaam Ki Buniyad Daale To Us Ke Liye Us Ke Liye Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Sawaab Milta Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Ka Sawaab Bhi Hai.
Baghair Is Ke Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee Kee Jaaye Aur Jis Ne Islam Me Kisi Buri Baat Ki Ibtida Ki To Us Par Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Gunaah Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Par Un Ka Gunaah Bhi Hai Baghair Is Ke Ki Un Ke Gunaah Me Kuch Kamee Ho.”
(Sahi Muslim Vol : 02, Page : 508, Kitab No – 12 Kitab Uz Zakat, Baab No : 20, Hadees : 1017)
(Sunan Nasai Volume : 03, Page : 75, Kitab No 23 Kitabuz Zakat, Hadees : 2554)
(Sunan Ibn Majah, Volume : 01, Page : 74, Kitab ul Mukaddama, Hadees 203)
(Musnad E Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Volume : 04 Page : 358)
(Sunan Darimi Volume : 01 Page : 140, Hadees : 512)
“Jub Quran Ko Aik Kitab Ki Shakal Main Mehfooz Karne Ka Hazrat Abu Bakr رضی الله عنہ Ke Dour Main Faisla Hua To Yeh Tajweez Hazrat Umer رضی الله عنہ Ney Di Thi, Es Per Khalifa-E-Awwal Ne Farmaya Ke Aisa Kaam Kyu Kia Jaye Jo Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Dour Main Nahi Kiya, Hazrat Umer رضی الله عنہ Ne Jawab Dia Ke Kaam To Naya Hai Laikin Achcha Hai (Yaani Hai Tou Biddat Laikin Hasana Hai)
‘Ni’ma Bidato Haazehi’ Yani ‘Kitni Achchi Biddat Hai’.
(Sahi Bukhari Hadees No: 1720)
Dosri Hadith Ke Mutabiq Jab Taraveeh Main IMAM Muqarer Karnae Ka Faisla Hua Tou Aik SAHABI Ney Yahi Aetraz Kia Ke Wo Kaam Kyu Karte Ho Jo AAQA Ney Nahi Kia, Hazrat Umer رضی الله عنہ Ney Yahi Jawab Dia Ke Kaam Tou Naya Hai Laikin Achcha Hai (Yaani Hai Tou Biddat Laikin Hasana Hai)
‘Ni’ma Bidato Haazehi’ Yani ‘Kitni Achchi Biddat Hai’.
(Sahi Bukhari Hadees No :2629)
Umer RadiyALLAHU Anhu Ne Masjid-E-Nabwi Ke Sutoon Dubara Lagaye Hazrt Usman Ghani Radiallahu Anhu Ne Bhi Is Me Tabdili Aur Izafa Kya, Deewaren Tarashey Hue Patharo Aur Choone Se Banayi Jabke Rasoolullah Alaihisalatu Wasslaam Ke Dour Me Aisa Kuch Na Hua Tha.
(Bukhari Volume 1, Hadees 430, Page 240)
(Abu Dawood Volume 1, P#448, P#213)
Biddat-E-Hasana Aik Aur Jaga Aayi Hai.(Jami-ul-Tirimzi: 3103)
“Jiss Ney Bhi Deen Main Koi Naya(Achcha) Kaam Nikala Esko Bhi Aur Jo Esko Apnayega Dono Ko Eska Ajr Milta Rahega”.
(Sahih Muslim, Book: 34, Hadees Number 6466)
Eska Jawab Ke Har Biddat Hi Buri Hoti Hai:
Agar Har Biddat Buri Hoti Hai Tou Eska Jawab Dijiye Ke Har Musalman Ka Aqeeda Hai Ke ALLAH عزوجل Ke 99 Names Main Sey Har Naam Paak Hai, Inhi Namo Main Se Aik Naam Hai “یَابَدِیُّ” Yani Naya Paiida Karnewala.
Aqal Se Socha Jaye Tou Kya ALLAH Azawajal Apna Naam Aik Aisa Kalima Rakhe Jo SHARIAT Main Mamno Ho. Lehaza Jo Hadees Main Kaha Gaya Hai Ke Har Biddat Gumrahi Hai Wo Bidat-E-Dalala/Biddat-E-Sayyi’a Ke Liye Kaha Gaya Hai. Biddat Sirf Deen Ke Kaam Main Hi Hoti Hai. Eska Jawab Yeh Hai Ke Quran Aur Hadees Main Kahi Bhi Dikha Dain Jahan Likha Ho Ke “DEEN Main Naya Kaam Biddat Hai Aur Dunyavi Kaamo Main New Changes Lana Biddat Nahi”. Hamara Yeh Dawa Hai Ke Biddat SHARIAT Main Deen Aur Duniya Dono Kaamo Main Hoti Hai, Eske Mutalliq Hadith Yeh Hai:
Hazrat Ayesha Siddiqa رضی الله عنہا Farmati Hain:
Sarkar صلی اللہ علیہ و سلَّم Ke Wisal-E-Zahiri Ke Baad Sub Se Pehli Biddat, Pait Bhar Kar Khane Ki Paida Hui, Jub Logon Ke Pait Bhar Jate Tou In Ke Nufs Duniya Ki Taraf Sarkash Ho Jate (Es Qaul Main Biddat-E-Hasana Murad Hai)”
(Quwat-Ul-Quloob, Volume: 2, Page:327)
Ab Mera Yeh Sawal Hai Ke Es Hadith Main Pait Bhar Ke Khane Ko Biddat Kaha Gaya Hai, Ager Duniyawi Kaamo Main Biddat Nahi Hoti Tou Es Hadith Ka Kya Matlub Hai?
Pichi Hadith-E-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Aimma Ke Aqwaal:
*Wo Kaam Jisey Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam He
*(Roohul Bayan)
*Jo Amal Logo Me Mash’hur Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri Hai.
*(Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani)
*Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid’at e Hasana Hai.
*(Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini)
*Agar Ye Kaha Jaye Ke Bid’at e Hasana Koi Chiz Nahi To Ye Baat Hadees Ke Khilaf Hai
*(Allama Shaami)
Aaiye Kuch Duniyawi Biddato Par Nazar Dale:
– Bike Car Bus Train Jaisi Chizo Ka Istrmal
– – Gharo Me Light, Fan, AC
– Aajke Logo Ka Pehnava Jaise Pant Shirt.
– Technology Ka Istemal Jo Aaqa Alaihissalam Ke Zamana-E-Mubarak Me Na Tha.
Aur Bhi Kai Hai. To Iska Kya Matlab Hua Hamari Zindagi To Biddato Se Bhari Padi Hai. Ab Agar Ham Wahabi Devband Ahle Khabees Jaise Jaahilo Ke Mutabiq Agar Soche To Aajke Daur Ke Sab Log Gumrah Hai. Sab Log Jahannam Me Jayenge. Aanewali Naslo Ka To Socho Hi Mat Wo To Hamse 10 Qadam Aage Rahenge Technology Me. To Ye Bhi Jahannami Hue? Aapko ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aqal Di Hai. Aap Khud Soche Ke Kya Haq Hai. Haq Yahi Hai Jo Hamne Bayan Kiya.
Agar Sari Biddat (Naye Kaam) Ko Bura Maan Liya Jaye To Fir Aajki Zindagi Ke Bahut Saare Kaam Biddat Ho Jayenge. Jo Deen Me Shumar Hain, Jo Bhi Kaam Sawab Ki Niyat Se Kiya Jaye Wo Deen Me Shumar Hai,
1: Eiman-E-Mufassal Aur Eiman-E-Mujammal Padhna.
2: Madarse Banwana.
3: Quran Ko 30 Paro Me Baatna.
4: Quran Per E’rab/Harkaat (Zer zabar) Lagana.
5: Quran Ko Kitab Ki Shakl Me Likhna.
6: Hadeeso Ko Kitab Ki Shakl Me Banana,
7: Hadeeso Ke Usool (Saheeh, Zaeef) Banana.
8: Fajr Ki Azan Ke Aakhir Me ‘Assalato Khairum Minan Naum’ Kehna Ye Nabi Ke Zamana-E-Mubarak Me Nahi Tha, Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Ne Shuru Karaya.
9: Jamaat Ke Sath Taraweeh, Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Ke Zamane Me Shuru Hui, Ye Bhi Biddat Hai. Kyunki Nabi-E-Kareem Ke Zamana-E-Mubarak Me Nahi Thi.
10: Mike Me Namaz Padhna. Masjid Me Lights, Fans, AC Ka Istemal Karna.
11: Mobile Ya Internet Ke Zariye Deen Ke Msg Ya Tablighi Karna.
12: KAABE Ka Sone Ka Darwaaza.
13: Masjid Ki Mehraben
14: Imaam, Moazzin Ki Salaries.
15: 6 Kalmey etc.
Chand Mazid Bid’aat-E-Wahabiya
1: Raiwond Aur Mureedke Ke Ijtema
2: Shabe Jumma Ke Ijtema
3: Masjidon Me Jamaten Aur Lotey Liye Phirna
4: Tabligi Nisab Ka Dars
5: Youme Siddiq-E-Akbar Par Juloos Nikaalna
6: Khatm-E-Bukhari
7: Jashne Daar ul Uloom Deyoband Manana Aur
8: Us Me Gair Mazhabiyo Ko Bulana
9: Indra Gandhi Ko Mimber Par Bithana.
10: Gair Muqallid Wahabio Ka Bi Mukhtalif Mawaqe Par Ralliyan Nikaalna
11: Junaid Jamshed Ki Music Par Naatein
12: Wahabi Molwio Ka T.V Par Aana
13: Cricket Khelna.
14: 40 Din 4 Din Jama’at Ke Chille Par Jana.
Sunniyo Ke Ache A’amaal Par Aitraaz Karne Walo Ko Chahye Ke Ye Saari Bid’aten Band Karen.
Firqa Wahabaiya Ke Tamam Giroh Ghair Muqallid, Deobandi, Jamat islami, Tabligi Jamat Wagera Har Ahlesunnat Wa Jamat Ke Har Ache Kaam Ko Bidat Kehkar Radd Karte Hain Jabke Khud Kai Aise Kaam Karte Hain Jinka Sabot Na Quran Mein Hota Hai Na Hadees Mein Khair Hum Ahlesunnat Wa Jamat Hain Jinke Mamulat Wa Nazriyat Aqaid Sab Quran Wa Sunnat Se Sabit Shuda Hain Aur Ahlesunnat Wa Jamat Mein Jo Ache Kaam Hain Unki Bhi Dalil Quran Wa Hadees Se Rakhte Hain. Aaiye To Hum Biddat E Hasna Yani Achchi Biddat Ko Ahadees Ke Zariye Samajhte Hai.
Hadees :
“Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apana Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega.
Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya.
Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apana Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 71, Kitabul Ilm, Baab : Hadees : 2675)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ .
Imam Abu Isaa Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahi Hai
Scan Page Niche Kitab Ko Takreejh Kiya Hai Wahabiyo Ke Muhadis E Aazam Pakistan Hafiz Zuber Ali Zai Sahab Ne Aur Uska Translation Khud Abu Khallyl Ne Kiya Hai Jo Print Huwi Darus Salam Se Farmaya YE Hadees Sahi Hai.
Isi Hadees Ko In Ahadees Ki Kitabo Me Bhi Aap Padh Sakte Hai.
(Sunan Ibn Majah Vol :01, Pg :210, Kitab Al Sunnah, Baab : Wo Shaks Jo Acchi ya Bura Amal Izaad kare, Hadees : 203)
Wahabi Darusalam Ye Hadees Sahi Hai Takreej Zuber Ali Zai
(Sunan Nasai Vol : 03,Pg :275, Kitabul Zakat, Hadees :2555)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Vol : 05, Pg : 43, Hadees : 2675)
Hazrat imam Muslim Hadees Naql Farmate Hain Ke
*حَدَّثَنِي زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا جَرِيرُ بْنُ عَبْدِ الْحَمِيدِ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ مُوسَى بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ يَزِيدَ، وَأَبِي الضُّحَى، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ هِلَالٍ الْعَبْسِيِّ، عَنْ جَرِيرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ، قَالَ: جَاءَ نَاسٌ مِنَ الْأَعْرَابِ إِلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَيْهِمِ الصُّوفُ فَرَأَى سُوءَ حَالِهِمْ قَدْ أَصَابَتْهُمْ حَاجَةٌ، فَحَثَّ النَّاسَ عَلَى الصَّدَقَةِ، فَأَبْطَئُوا عَنْهُ حَتَّى رُئِيَ ذَلِكَ فِي وَجْهِهِ. قَالَ: ثُمَّ إِنَّ رَجُلًا مِنَ الْأَنْصَارِ جَاءَ بِصُرَّةٍ مِنْ وَرِقٍ، ثُمَّ جَاءَ آخَرُ، ثُمَّ تَتَابَعُوا حَتَّى عُرِفَ السُّرُورُ فِي وَجْهِهِ، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً حَسَنَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْءٌ، وَمَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً سَيِّئَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ عَلَيْهِ مِثْلُ وِزْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْءٌ*
“Hazrat Jarir Bin Abdullahؓ Bayan karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ ki Khidmat Mein uon Ke Kapde Pehne Howe Khuch Dihati Hazir Howe Aap ﷺ Ne Unki Bad Haali Aur Unki Zarorat Ko Dekha Phir Aap ﷺ Ne Logon Ko Sadqa Per Ubhara Logon Ne Khuch Dair Ki Jis Se Aap Ke Chehra e Anwar Per Naarzgi Ke Aasar Zahir Howe Phir Ek Ansari Dirhamo Ki Thaili Lekar Aaya Phir Dusra Aaya Phir Laane Walon Ka Ta,anta Bandh Gaya Hatta Ke Nabi Karim ﷺ Ke Chehre Per Khushi Ke Aasar Zahir Howe Tab Rasol Allah ﷺ Ne Farmaya Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Neak Tarike Ki ibteda Ki Aur Uske Baad Us Tarike Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tarike Per Amal Karne Walon Ka Ajar Bhi Us Ke Nama E Aamal ein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Ajar Mein Kami Nahi Hogi Aur Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Bure Tariqe Ki ibteda Ki Us Ke Baad Us Tariqe Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tariqe Per Amal Karne Walon Ka Gunah Bhi Us Shaks Ke Nama E Aamal Mein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Gunah Mein Koi Kami Nahi Hogi …
(Muslim Shareef Kitab Ul ilm Hadees 1017)
“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Hidaayat Ki Taraf Bulaaya Us Ke Liye Us Raaste Par Chalne Waalon Ki Misl Sawaab Hai Aur Un Ke Sawaab Me Se Kuchh Bhi Kam Na Hoga Aur Jis Ne Gunaah Ki Daawat Di Us Ke Liye Bhi Utna Gunaah Hai Jitna Us Bad Amali Ka Murtakib Hone Waalon Par Hai Aur Un Ke Gunaahon Me Bhi Koi Kami Nahin Hogi.”
References:
Muslim As-Sahih, jild 4 page no 2060, Raqam-2674,
Tirmidhi As-Sunan, jild 5 page no 43, Raqam-2674,
Aboo Dawood As-Sunan, jild 4 page no 201, Raqam-6409,
Ibn Majah As-Sunan, jild 1 page no 75, Raqam-205, 206,
Ibn Hibban As-Sahih, jild 1 page no 318, Raqam-112,
Darimi As-Sunan, jjild 1 page no 141, Raqam-513,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, jild 2 page no 397, hadees 9149,
Aboo Awanah Al-Musnad, jild 3 page no 494, Raqam-5823,
Aboo Ya’la Al-Musnad, jild 11 page no 373, Raqam-6489,
Lalka’i I’tiqaad Ahl-us-Sunnah, jild 1 page no 52, Raqam-06,
Ibn Abi Asim As-Sunnah, jild 1 page no 52, Raqam-113.
“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abdul Qari Riwayat Karte Hain Ki Mai Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Saath Ramzan Ki ek Raat Masjid Ki Taraf Nikla To Log Mutfarriq They Koi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Koi Giroh Ke Saath. Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya:
Mere Khayal Me Unhein ek Qaari Ke Peechhe Jama Kar Diya Jaaye To Achchha Hoga Pas Hazrat Abee Bin Qa’ab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Peechhe Sab Ko Jama Kar Diya Gaya Phir Mai ek Doosri Raat Ko Un Ke Saath Nikla Aur Log Apne Qaari Ke Peechhe Namaz Padh Rahe They. Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya : Ye Kitni Achchhi Bid’at Hai,
Aur Jis Namaz (Tahajjud) Se Yeh Soye Rehte Hain Us Se Behtar Hai Jis Ka Qayaam Karte Hai
(Ya’ni Taraweeh Se). Muraad Hai Aakhir Raat Jab Ki Log Raat Ke Pehle Pahar Qayaam Karte They.
(Ya’ni Tahajjud Kee Namaz Taraweeh Se Afzal Hai.)”
References:
Bukhari As-Sahih, jild 2 page 707, Raqam-1906,
Malik Al-Muwatta, jild 1 page no 114, Raqam-650,
Ibn Khuzaymah As-Sahih, jild 2 page no 155, Raqam-155,
Abd-ur-Razzaq Al-Musannaf, jild 4 page no 258, Raqam-7723,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, jild 12, page no 493, Raqam-4378,
Shuab-ul-Iman, jild 3 page no 177, Raqam-3269.
Upar Bayan Karda Hadeeson Se Bhi Saaf Wazeeh Horaha Hai Ke ALLAH Ke Rasool Huzoor ﷺ Ne Ye Deen Mein Ache Kaam Karne Ki ijazat Farmai Hai Aur Sirf ijazat Hi Nahi Balke Us Per Sawab Milne Ki Khushkhabri Bhi Di Hai Magar Najd Ke Andhe Shayatin Ko Ye Sab Ahadees Nazar Nahi Aati Khuch Nazar Aaata Hai To Bas Qullu Bidat Zalala Nazar Aaata Hai.
Imam Bukhari Hadees Naqal Farmate Hain
*وعن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عبد الرحمن بن عبد القاري، أنه قال: خرجت مع عمر بن الخطاب رضي الله عنه، ليلة في رمضان إلى المسجد، فإذا الناس أوزاع متفرقون، يصلي الرجل لنفسه، ويصلي الرجل فيصلي بصلاته الرهط، فقال عمر: «إني أرى لو جمعت هؤلاء على قارئ واحد، لكان أمثل» ثم عزم، فجمعهم على أبي بن كعب، ثم خرجت معه ليلة أخرى، والناس يصلون بصلاة قارئهم، قال عمر: «نعم البدعة هذه، والتي ينامون عنها أفضل من التي يقومون» يريد آخر الليل وكان الناس يقومون أوله*
ibne Shuhab Arwa Bin Zuber Abdur Rahman Bin Abdul Qari Se Riwayat Hai Ke Main Hazrat Omer Ke sath Ramzan Ki Ek Raat Mein Masjid Ki Taraf Nikla Tu Log Mutfarif Thy Ek Aadmi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Ek Aadi Giroh Ke Sath Hazrat Omer Ne Farmaya Ke Mere Khayal Mein Ineeh Ek Qari Ke Piche Jama Kar Diya Jaye Tu Acha Ho Pas Hazrat abi Bin Ka,ab Ke Piche Sabko Jama Kar Diya Gaya Phir Main Ek Dusri Raat Ko Unke Sath Nikla Aur Log Apne Qari Ke Piche Namaz Padh Rahe Thy Hazrat Omer Ne Farmaya Ke Ye Achi Bidat Hai Kyunke Raat ka Wo Hissa Jismein Wo So Jaate Hain Usse Behtar Hai Jismein Wo Qayam Karte Hain…
(Bukhari Shareef Kitab Us Salat Baab Fazl Min Qaam Ramzan Hadees 2010)
Biddat Ke Talluqse Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Aur Tafseel Me Padhne Ke Liye Yahan Click Kare.