Eid Mubarak

Eid-Ul-Fitr Ke Mustahbat Aur Hadees-E-Nabwi


ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،

Nabiyyon Ke Sultan, Rahmate Aa-lamiyan, Sardare Do Jahan, Mahbube Rahman عزوجل و صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ka farmane Barakat nishan hai: “Jis ne Eidain ki raat (Yaa’ni Shabe Eidul Fitr Aur Shabe Eidul Azhaa) ta-labe sawab ke liye kiyam kiya, Us din us ka dil nahi marega, jis din (logon ke) dil mar jayenge.
(Ref: Sunane Ibne Mazaa, Jild: 2, Safa: 365, Hadees: 1782)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Anas Bin Malik رضي الله تعالي عنه Kehte Hain Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Farmatey Hain:- ”Jab Tak Sadaqah-E-Fitr Adaa Nahi Kiya Jata Bandey Ka *Roza* Zameen-o-Aasman Ke Darmiyan Muallak (Yaa’ni Latka Hua) Rehta Hai.
Ref.
(Kanzul Ummaal, Jild: 8, Safha: 253, Hadees: 24124)
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha. 473 Maktabatul Madina, Gujarat)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Sarkar-E-Madina  صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Ek Shakhs Ko Huqm Diya Ki Jaa Kar Makkah-E-Muazzama Ke Gali Koochon Me Elaan Kar Do, Sadaqah-E-Fitr Waajib Hai.”
Ref.
(Jamia At Tirmizi, Jild: 2, Safha: 151, Hadees: 674)

Hazarat Sayyeduna Ibne Abbas رضي الله تعالي عنه Farmatey Hain Ki Madani Sarkar, Garibon Ke Ghum Khwaar صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Sadaqah-E-Fitr Mukarrar Farmaya Taaki Fuzool Aur Behuda Qalaam Se Rozon Ki Taharat (Yaa’ni Safayee) Ho Jaaye. Neez Masakeen Ki Khurish (Yaa’ni Khuraak) Bhi Ho Jaye.
Ref.
(Sunan Abi Dawood, Jild: 2, Safha: 158, Hadees: 1609)
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha. 473 Maktabatul Madina, Gujarat)

Eid Ke 21 Mustahabbaat:

1⃣ Hajamat Banwana (Angrezi Baal Nahi).

2⃣ Nakhoon Tarashwana.

3⃣ Ghusl Karna.

4⃣ Miswak Karna (Yeh Uske Alawa Hai Jo Wuzu Me Ki Jaati Hai).

5⃣ Achchey Kapdey Pehanna (Naye Ho Toh Naye Warna Dhuley Hue- Saaf Suthrey).

6⃣ Khushboo Lagana.

7⃣ Angoothi Pehenna (Islami Bhai Is Baat Ka Khayal Rakhein Ki Sirf Saadhey Chaar Masha Se Kam Wazan Chaandi Ki Ek Hi Angoothi Pehnein. Ek Se Zyada Na Pehnein Aur Us Ek Angoothi Me Ek Nagina Hi Ho. Ek Se Zyada Naginey Na Ho Aur Bagair Naginey Ki Bhi Na Pehnein. Naginey Ke Wazan Ki Koi Qaid Nahi. Chaandi Ya Kisi Aur Dhaat Ka Challa Ya Chandi Ke Bayan Karda Wazan Wagairah Ke ilawa Kisi Bhi Dhaat Ki Angoothi Ya Challa Mard Nahi Pehen Sakta).

8⃣ Namaz-E-Fajr Masjid Me Parhna.

9⃣ Eid Ul Fitr Ki Namaz Ko Jaane Se Pehle Chandd Khajoorein Khaa Lein. 3 , 5, 7 Ya Kamobesh Magar Taaq Ho (Odd Numbers). Khajoorein Na Ho Toh Koi Meethi Cheez Khaa Lijiye. Agar Namaz Se Pehle Kuch Bhi Na Khaya Toh Gunah Na Hua. Magar Isha Tak Na Khaya Toh Itaab (Malamat) Kiya Jayega.

 Namaz-E-Eid, Eidgaah Me Adaa Karna.

1⃣1⃣ Eidgaah Paidal Jaana.

1⃣2⃣ Suwari Par Bhi Jaane Me Harz Nahi Magar Jis Ko Paidal Jaane Ki Qudrat Ho Us Ke Liye Paidal Jaana Afzal Hai Aur Wapsi Par Suwari Par Aane Me Harz Nahi.

1⃣3⃣ Namaz-E-Eid Ke Liye Ek Raaste Se Jaana Aur Doosre Raaste Se Wapas Aana

1⃣4⃣ Eid Ki Namaz Se Pehle Sadaqah-E-Fitr Adaa Karna (Afzal Toh Yehi Hai Magar Eid Ki Namaz Se Qabl Na De Sakey Toh Baad Me De Dein).

1⃣5⃣ Khushi Zaahir Karna.

1⃣6⃣ Kasrat Se Sadaqah Dena.

1⃣7⃣ Eidgaah Ko Itminaan Wa Waqaar Aur Neechi Nigaah Kiye Jaana.

1⃣8⃣ Aapas Me Mubarak Baad Dena.

1⃣9⃣ Baad-E-Namaz Eid Musafah (Yani Haath Milana) Aur Mua’nka (Yani Galey Milna) Jaisa Ke Umuman Musalmano Me Raij Hai Behta Hai Ki Isme Izhare Musarrat Hai (Bahare Shariat, Hissa 4, safha 17) Magar Amrade Khoobsurat Se Galey Milna Mahalley Fitna Hai.

2⃣0⃣ Eid Ul Adha (Yani Bakra Eid) Tamam Ahkaam Me Eid-Ul-Fitr (Yani Meethi Eid) Ki Tarah Hai. Sirf Baaz Baton Me Farq Hai. Masalan Isme (Yani Bakra Eid Me) Mustahab Yeh Hai Ki Namaz Se Pehle Kuch Na Khayein. Chaahey Qurbani Kare Ya Na Kare Aur Agar Khaa Liya Toh Karahat Bhi Nahi.

2⃣1⃣ Eid Ul Fitr Ki namaz Ke Liye Jaate Hue Raaste Me Aahista Se Takbeer Kahiye Aur Namaze Eid Ul Adha Ke Liye Jaate Hue Raaste Me Buland Aawaz Se Takbeer Kahiye

اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر

لا إلَهَ الا اللّه

واللّهُ أكبر اللّهُ أكبر

و لِلّه الحمدَ
Tarjuma :
Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل ke Siwa Koi Ibadat Ke Laayek Nahi Aur Allahعزوجل Sab Se Bada Hai, Allahعزوجل Sab Se Bada Hai Aur Allahعزوجل Hi Ke Liye Tamam Khoobiyan Hain.
Ref.
(Faizane Ramazan (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 482-484)

Hazrate Sayyeduna Wahab Bin Munanneh رضي الله تعالي عنه Farmate Hain: Jab Bhi Eid Aati Hai, Shaitan Chilla Chilla Kar Rota Hai, Is Ki Badd Hawasi Dekh Kar Tamam Shayateen Us Ke Ird Gird Jam’a Ho Kar Poochtey Hain:-
Ae Aaqa ! Aap Kyun Gazab Naak Aur Udaas Hai ?

Woh Kehta Hai:-
Haaye Afsos ! Allah عزوجل Ne Aaj Ke Din Ummate Muhammad صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ko Bakhsh Diya. Lihaza Tum Unhein Lazzaat Aur Nafsani Khwahishat Me Mashgool Kar Do.
Ref.
Muka-sh-fatul Quloob, Safa: 308)

Pyare Islami Bhaiyon ! Dekha Aap Ne ? Shaitan Par Eid Ka Din Kis Qadar Giraan Guzarta Hai. Lihaza Woh Apni Zurriyat Ko Huqm Saadir Kar Deta Hai Ki Tum Musalmano Ko Lazzate Nafsani Me Mashgool Kar Do. Aah ! Fee Zamana Shaitan Apne Is Waar Me Kamyab Nazar Aa Raha Hai.
Ref.
(Faizane Ramazan (Hindi), Safha 447-448, Maktabatul Madina, Gujarat)

ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )

اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ

صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه

         http://www.hamarenabi.in
         World’s Best Islamic Blog
       50,00,000+ Worldwide Visits
        The Voicee Of Ahle Sunnat
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.

Download Our Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE


Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!