Aqaid-E-Ahle Sunnat

Faizan Wa Karamat-E-Auliya Hadees Ki Roshni Me Part 2

Read Next Part: 3
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Mere Pyare Sunni Islami Bhaiyo Aur Beheno, Alhumdulillah Ham Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Maslake Aalahazrat ALLAH Rabbul Aalameen Ke Mehboob Bande Yani Waliyo Se Dilse Nisbato Muhabbat Karte Hai. Unke Wasile Se ALLAH Rabbul Aalameen Ke Bargah Me Dua Karte Hai. Unki Nazro Niyaz Karte Hai. Magar Kuch Baatil Jama’at Ke Gumrah Log ALLAH Ke Wali Auliya Ki Shaane Aqdas Me Gustakhiya Karte Hai. Un Logo Ki Islah Ke Liye Is Post Ko Likha Gay Hai. Jisme Hadees-E-Pak Ke Hawale Se Auliya-E-Kiram Ki Fazilate Bayan Ki Gayi Hai.

Hadees No: 10
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallataala Anhu Se Riwayat Hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Kay Logo ALLAH Kay Kuch Khas Bande Hai Ji ALLAH Ne Kisi Khas Maqsad Se Paida Kiya Kay Logo Ki Zarurat Taaki Woh Puri Kare,
Farmaya Jab Log Apni Haajat ,Taklife Le Jaate Hai Tab ALLAH Unke Sabab Se Unke Dua Se Woh Taklife Door Kar Deta Hai Aur Woh Log Woh Hai Jinke Sabab Se Tumse Azaab Door Kardiya Jaata Hai.
(Imam Abu Nuyem Hilyatul Auliya Jild 3 Hadees 308 Safa 225
Imam Tabrani Ne Majame Kabir.)

Hadees No: 11
*Auliya Se Qurb*
“Karamat E Auliya” Is Ko Chaapne Wale Khud Deobandi Hai Aur Iska Urdu Tarjuma Kiya Hai Molana Imdadullah Sahab Ustad Jaame Ashrafiyat Lahore
Yeh Kitab Imam Yaafi Ki Hai Arabic Me (Tarjuma : Rudoor Riyaheen) Safa 39

Hazrat Hasan Basri Se Marwi Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Fuqhra Se Jaan Pehchan Zyada Rakha Karo ,Arz Kiya Ya Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Inki Jaan Pehchan Se Kya Fayda Hai, Farmaya Jab Qayamat Ka Din Hoga Unse Kaha Jayega Jisne Tumhe Ek Roti Ka Bhi Tukda Khilaya Hai Ya Ek Ghutt Paani Bhi Pilaya Hai Use Talash Karo Aur Use Jannat Me Lekar Chale Jao.

Hadees No: 12
Hazrat Anas Bin Malik Riwayat Karte Hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Auliya ALLAH Se Apni Jaan Pehchaan Rakha Karo Unse Qareeb Hojaya Karo Jis Wali Se Tum Qurb Haasil Karoge Woh ALLAH Ka Wali Roz E Qayamat Tumhari Shafat Karega.
(Imam Dailmee Ne Musanad Ul Firdous Jild 1 Hadees 2051 Safa 81)

Hadees No: 13
Hazrat Aisha Radiallataala Anha Se Riwayat Hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ya Suna Kay Allah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Kisi Mariz Ko Dekhne Jaate Toh Yeh Farmaate “Beshak Humari Zameen(Madina) Ki Mitti Me ALLAH Ne Shifa Rakhi Hai Aur Meri Ummat Kay Baaz Log Aisi Hai Jinke Thuk(Luab) Me Bhi ALLAH Ne Shifa Rakhi Hai.
(Bukhari Jild 2 Kitabut Tib Hadees 696
Muslim Shareef Kitabus Salam
Abu Dawud Kitabut Tib
Ibn Majah Kitabut Tib
Musanad E Imam Ahmed Jild 6 Safa 93)

Ahle Hadees Kay Maulvi Armaan Sarhindi Sahab Jisne Hazrat Gaus E Paak Ki Kitab Gunyatut Talibeen Ka Tarjuma Kiya Hai Usme Likhta Hai Ki Futuhul Ghaib Hazrat Gaus E Paak Ki Mustanad Tareen Kitaab Hai Aur Yeh Woh Kitab Hai Jise Aapne Mohabbat E Ilaahi Me Doobkar Likhi Hai.

*Futhul Ghaib Maqala No. 16*

“ALLAH Taala Ne Apni Baaz Kitabo Me Farmaya “A Farzande Aadam Me ALLAH Hu, Mere Siwa Koi Maabud Nahi Me Jis Chiz Ko Hukum Deta Hu “Hoja” Woh Yaqeenan Hojati Hai Pas Toh Meri Ita’at Ikhtiyar Kar Phir Me Tujhe Bhi Aisa Bana Duga Kay Tu Jis Chiz Ko Hukum Dega “Hoja” Woh Hojayegi Aur Azaan E Ilaahi Se Alime Wajud Me Aayege Aur Bilshuba ALLAH Taala Ne Apne Ambiya, Siddiqueen, Auliya Aur Khas E Bani Aadam Ko Aise Hi Roohani Quwato’n Ka Haala Banaya Hai.

Hadees No: 14
*Auliya Se Dushmani Allah Taala Se Jung Karna Hai*
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
ALLAH Ta’ala Farmata Hey :
Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Ailan-E-Jung Karta Hoo’n Aur Meyra Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye Meyra Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra Qurb Haasil Karta Rahta Hey. Yahan Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Deykhta Hey Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Pakarta Hey Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Chalta Hey.
Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n.
Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.”
رواه البخاري. –
(Bukhari As-Shahih, Jild : 05  Safa : 2384, Hadees : 6137,
Ibn Hibban As-Shahih, Jild : 02  Safa : 58, Hadees : 347,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 10  Safa : 219, Baab(60),Kitab-Uz-Zuhad Al-Kabir, Jild : 02  Safa : 269, Hadees : 696.)

Hadees No: 15
*Auliya Aur Saleheen Radiyallahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ki Karamat Ka Bayan*

Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zawza Mubaraka Hazrat Aaisha Siddiqa Radiyallahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ki Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhein Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Kiye Jin Me Se Bees Wasaq Khajoorein Aati Thi.
Jab Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya :
Aye Meri Pyari Beti!
Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baad Ghani Hona Mujhe Tum Se Zyada Pasand Ho Aur Apne Baad Mujhe Kisi Muflisi Zyada Gara’n Nahin.
Mein Ne Tumhein Kuchh Darakht Diye They Jin Se Bees Wasak Khajoorein Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabja Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate.
Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do² Behnein Hain.
So Saare Maal Ko ALLAH Ki Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena.
Hazrat Aaisha Radiyallahu Ta’ala Anha Farmati Hain :
Mein Ne Arz Kiya :
Abba Jaan!
Maal Khwaah Kitna Hee Zyada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahen To Sirf Hazrat Asma Hain Doosari Kaun Hai?
Hazrat Abu Bakar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pait Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladaki Hai Phir Unhone Umme Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”
( Malik Al-Muwatta, Jild 02 Safa : 752, Hadees-1438)
(Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild 06 Safa 169, Hadees-11728, 12268)
(Tahawi Sharh Ma’ani Al-Aathar, Jild : 04 Safa: Safa 88)
(Lalka’i Karamat-Ul-Auliya’, 01 Safa:177, Hadees-62,
Asqalani Al-Isabah, 07 Safa:575, Hadees-11023,
Nawawi Tahdhib-Ul-Asma’, 02 Safa:574, Hadees-1030, 1239,
Zayla’i Nasab-Ur-Rayah, 04 Safa:122,
Abu Ja’far At-Tabari Ar-Riyadh-Un-Nadhirah, 02 Safa:123, 257,
Ibn Sa’d At-Tabqat-Ul-Kubra, 03 Safa:194.)

Hadees No: 16
*Auliya Aur Saleheen Radiyallahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ki Karamat Ka Bayan*

“Hazrat Abd-Ur-Rahman Bin Abu Bakar Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Aik Taweel Waaqiye Me Marwi Hai Ki Aik Martaba Hazrat Abu Bakar Siddique Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Sahaba Kiram (Ashabe Suffa) Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ki Daawat Ki (Aur Un Ke Saath) Aap Ne Khud Bhi Khaana Khaaya Aur Doosaron Ne Bhi.
Har Luqma Uthaane Ke Baad Khaana Pehle Se Bhi Zyaada Badh Jaata. Sayyadana Siddique Akbar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Apni Beewi Se (Jo Bani Faraas Ke Qabeele Se Thi) Farmaya :
Aye Hamsheera Bani Faaras!
Yeh Kya Maamala Hai?
Unhone Arz Kiya :
Aye Meri Aankhon Ki Thandak (Mere Sartaaj) Is Waqt To Yeh Khaana Pehle Se Teen Guna Jyaada Hai Chunanche Un Sab Sahaba Ne Bhi Khoob Khaaya Aur Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmate Aqdas Me Bhi Rawaana Kiya, Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Bhi Tanaawul Farmaya.”
Muttafaque Alayh
(Bukhari As-Sahih, Jild 01 Safa : 216, Hadees-577, &
Jild 03 Safa : 1312, Hadees-3388,)
(Muslim As-Sahih, 03 Safa:1627, Hadees-2057)
(Bazzar Al-Musnad, Jild 06 Safa : 228, Hadees-2263,
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01 Safa:197, Hadees-1702, 1712)


Hadees No: 17
“Hazrat Abdullah Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Ne Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Koi Aisee Baat Nahin Suni Jis Ke Mut’alliq Unhone Farmaya Ho Ki Mere Khayaal Me Yeh Is Tareh Hai Aur Woh Un Ke Khayaal Ke Mutaabik Na Nikli Ho.”
(Bukhari As-Sahih, Jild 03 Safa:1403, Hadees-3653,
Hakim Al-Mustadrak, Jild 03 Safa:94, Hadees-4503,
Lalka’i Karamat-Ul-Auliya’, Jild 01 Safa:119, Hadees-65,
Nawawi Riyad-Us-Saleheen, 01 Safa:568, Hadees-1510.)

Hadees No: 18
“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Pehli Ummaton Me Aise Log They Jin Ke Dil Me ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Baatein Ilqa Ki Jaati (Ghaib Se Dil Me Daali Jaati) Thi (Ya’ni Unhein Ilhaam Hota Tha) Aur Meri Ummat Me Agar Koi Aisa Shakhs Hai To Woh Umar Hai.”
“Aur Hazrat Abu Saeed Khudari Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Riwayat Me Bayan Kiya Ki Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Poochha (Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam) Is Ilhaam Ki Kaifiyat Kya Hoti Hai?
Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Us Ki Zubaan Par Farishe Bolte Hain.”
(Bukhari As-Sahih, 03 Safa:1349, Hadees-3486, &
03 Safa:1279, Hadees-3282,
Muslim As-Sahih, 04 Safa:1864, Hadees-2398,
Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:622, Hadees-3693,
Ibn Hibban As-Sahih, 15 Safa:317, Hadees-6894,
Hakim Al-Mustadrak, 03 Safa:92, Hadees-4499,
وقال : هذا حديث صحيح الإسناد ،
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06 Safa:55, Hadees-24330,
Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, 05 Safa:48, Hadees-5734,
Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Awsat, 07 Safa: 18, Hadees-6726,
Daylami Musnad-Ul-Firdaws, 03 Safa: 278, Hadees-4839,
Ibn Rahawayh Al-Musnad, 02 Safa: 479, Hadees-1058,
Hakeem Tirmidhi Nawadir-Ul-Usul, 03 Safa: 138,
Nawawi Riyad-Us-Saleheen, 01 Safa: 564, Hadees-1504,
Haythami Majma‘-Uz-Zawa’id, 09 Safa: 69,
Bayhaqi Al-I’tiqad, 01 Safa: 315,
Asqalani Fat’h-Ul-Bari, 06 Safa: 50,
Mubarakpuri Tuhfat-Ul-Ahwadhi, 10 Safa: 125.)

Hadees No: 19
Hazrat Aaisha Siddiqua Radiyallahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Mein Jinnaat Wa Insaanon Ke Shayaatin Ko Dekhta Hoo’n Ki Woh Umar Ke Khauf Se Bhaag Gaye Hain Aur Aik Riwayat Me Farmaya :
Aye Umar!
Tum Se Shaitaan Darta Hai.”
(Tirmidhi As-Sunan, 05 Safa:621, Hadees-3690, 3691,
Nasa’i As-Sunan-Ul-Kubra, 05 Safa:309, Hadees-5957,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05 Safa:353, Hadees-23039, &
01 Safa:333, Hadees-480,
Ibn Hibban As-Sahih, 10 Safa:231, Hadees-4386,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, 10 Safa:77.)

Hadees No: 20
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Aik Lashkar Rawana Farmaya Aur Us Ka Saalaar Aik Shakhs Ko Mukarrar Kiya Jis Ka Naam Saaroya Tha.
Aik Din Aap Khutba De Rahe The Ki Achaanak Dauraane Khutba Pukaara:
Aye Saariya Pahaad Ki Ot Lo.
(Jung Ke Baad) Lashkar Se Aik Qaasid Aaya Aur Kehne Laga :
Aye Ameer-Ul-Momineen Hum Dushman Se Lad Rahe They Aur Qareeb Tha Ki Woh Hamein Shikast De De Phir Achanak Kisi Pukaarne Waale Ne Pukaara :
Aye Saariya Pahaad Ki Ot Lo Hum Ne Apni Peethey Pahaad Ki Taraf Kar Lee To ALLAH Ta’ala Ne Unhein Shikast Aur Hamein Fateh Ata Ki.”
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01 Safa:219, Hadees-355,
Bayhaqi Dala’il-Un-Nubuwwah, 06 Safa:370, &
Al-I’tiqad, 01 Safa:314,
Abu Nu’aym Dala’il-Un-Nubuwwah, 03 Safa:210, 211,
Khatib Tabrizi Mishkat-Ul-Masabih, 02 Safa:410, Hadees-5954,
Razi At-Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:87.)

Hadees No: 21
Hazrat Qais Bin Hazzaj Riwayat Karte Hain Us Se Jis Ne Unhein Bataaya Ki Misr Fateh Hone Ke Baad Ahle Misr (Governor Misr) Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ki Khidmat Me Haazir Huwe Jab Ajamee Mahina Boona Shuru Huwa. Aur Arz Kiya:
Aye Ameer!
Hamare Is Dariya-E-Neel Ka Aik Maamool Hai Jis Ki Taameel Ke Baghair Us Me Rawaani Nahin Aati.
Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya:
Bataawo Woh Kya Maamool Hai.
Un Logon Ne Jawaab Diya :
Jab Us Mahine Baarah Taarikh Aati Hai To Hum Aik Kunwaari Ladaki Us Ke Waalidain Ki Razamandi Se Haasil Karte Hain Aur Phir Use Umda Se Umda Zewraat Aur Kapade Pehna Kar Dariya-E-Neel Ki Nazar Kar Dete Hain Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
Yeh Sab Islam Me Nahin Hoga.
Islam Zamana-E-Jahiliyat Ki Tamam (Behuda) Rasmon Ko Khatm Karta Hai. (Raawi Ne) Kaha :
Ahle Misr Boona, Aur Misri Teen Maah Tak Is Hukm Par Qaayam Rahe Neel Ki Rawaani Rooki Rahi Paani Ka Qatra Na Raha.
Dariya-E-Neel Ki Rawaani Ko Band Dekh Kar Logon Ne Tarke Watan Ka Iraada Kiya. Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Tamaam Haalaat Ki Ameer-Ul-Momineen Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Ko Ittila Dee. Hazrat Umar Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Jawab Me Likha Ki Aye Amr Bin Aas Tum Ne Jo Kuchh Kiya Durast Kiya Islam Ne Saabika (Behuda) Rusoom Ko Jad Se Ukhaad Phainka Hai. Mein Apne Is Khat Ke Andar Aik Ruq’aa Bhej Raha Hoo’n Use Dariya-E-Neel Me Daal Dena. Bas Jab Hazrat Umar Faruq Radiyallahu Ta’ala Anhu Ka Khat Hazrat Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Tak Pahuncha To Unhone Us Khat Ko Khola To Us Me Darj Zel Ibaarat Thi :
˝ALLAH Ta’ala Ke Bande Ameer-Ul-Momineen Umar Ki Taraf Se Misr Ke Dariya-E-Neel Ke Naam.
Hamdo Salaat Ke Baad (Aye Dariya) Agar Too Apni Marzi Se Behta Hai To Beh. Aur Agar ALLAH Waahid Wa Qahhaar Hee Tujhe Rawa’n Karta Hai To Hum Khudawande Waahid Wa Qahhaar Se Sawaal Karte Hain Ki Woh Tujhe Jaari Kar De.
Chunanche Amr Bin Aas Radiyallahu Ta’ala Anhu Ne Woh Ruq’aa Dariya-E-Neel Me Daal Diya.
Jab Ruq’aa Daala Hafte Ke Deen Sub’h Logon Ne Dekha Ki Aik Raat Me ALLAH Ta’ala Ne Solah Haath (Pehle Se Bhi) Ooncha Paani Dariya-E-Neel Me Jaari Farma Kar Ahle Misr Se Usee Din Se Aaj Tak Is Qadeem Zaalimaana Rasm Ko Hamesha Ke Liye Khatm Farma Diya.”
رواه اللالكائ والقرطبي وابن كثير وأبو الشيخ في كتاب العظمة.-
(Lalka’i Karamat-Ul-Auliya’, 01 Safa:119, Hadees-66,
Qurtabi Al-Jami’ Li-Ahkam-Ul-Qur’an, 13 Safa:103,
Ibn Kathir Tafsir-Ul-Qur’an Al-Azim,03 Safa:465,
Razi Tafsir-Ul-Kabir, 21 Safa:88,
Hamawi Mu’jam-Ul-Buldan, 05 Safa:335.)
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
جزاك الله خيرا…
          Keep Visiting & Sharing:  
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
Download Our Free Android Application. Search “Hamare Nabi” On Play Store.
https://play.google.com/store/apps/details?id=aarifwaghoo.hamare.nabi.AOVYGBIUCAFEGOE
~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!