Ilm E Gaib E Nabi Quran Hadees Se (Knowledge Of Unseen)
Aajke Is Poorfitan Daur Me Ilm-E-Gaib-E-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Lekar Badaqeeda Log Ummat Me Ikhtelaf Paida Kar Rahe Hai. Gair Muqallid Nam Nihad Ahle Hadees Aur Deoband/Wahabi Ka Ye Aqeeda Hai Ke Ma’zALLAH Hamare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilme Gaib Nahi Tha. Ek Bat Aap Khub Zehenashi Farmale Ki Ye Ganda Galiz Aqeeda Wahi Aqeeda Hai Jo Us Zamana-E-Mubarak Me Munafiqo Ka Tha. Insha ALLAH Is Post Me Ye Nachiz Aapki Khidmat Me Ilme Gaib-E-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Talluk Se Qur’an-E-Kareem Wa Sahih Hadees-E-Nabvi Se Bahawala Ye Sabit Karega Ki Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ilm-E-Gaib Se Nawaza.
Ilme Gaib:
ALLAH Aalimul Gaib Hai. Aisi Chupi Hui Chizo Ka Ilm Jo Sirf ALLAH Ta’ala Janta Hai. Aur Uski Ataa Se ALLAH Ta’ala Ke Chunida Rasool Jante Hai. ALLAH Ta’ala Ne Unhe Apne Ilm Ka Kuch Hissa Sikhaya. ALLAH Rabbul Aalameen Chun Leta Hai Apne Rasoolo Me Se.
Ilme Gaib Ki 2 Kismein Hai.
1. Zaati Ilme Gaib:
2. Atai Ilme Gaib:
ZAATI:
Beshaq ! ALLAH Rabbul Aalameen Aalimul Gaib Hai. Sare Jahano Ka Malik Hai, Uske Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi. Sab Kuch Uske Huqm Se Hota Hai ALLAH Har Ek Chiz Par Qadir Hai. Aur Wo Har Ek Baat Ka Jannewala Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ka Ilme Gaib Zaati Ilme Gaib Hai. Zaati Matalab Khud Ka Ilm, Kisine Ata Na Kiya Aisa. Woh Apni Qudrat Se Har Chiz Karta Hai, Use Har Pal-O-Zarre Ki Khabar Pehle Se Hi Maalum Hai, ALLAH Ke Liye Ghaib Kuch Nahi Yaani ALLAH Ke Liye Koi Chiz Chupi Hui Nahi Hai.
ATAAI:
Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم Ka Ilm Ataai Hai, Yaani Ke ALLAH Se Ilm-E-Ghaib Ataa Hua Hai. ALLAH Ta’ala Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Kitna Ilm Ataa Kiya ALLAH Ta’ala Aur Uske Rasool Behtar Jante Hai. Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم Ka Jo Ilm-E-Gaib Hai Woh ALLAH Ki Ataa Se Hai, Khud Se Kuch Nahi Aur ALLAH Ne Kitna Ilm-E-Ghaib Ataa Kiya Yeh Baat Toh Lauh-E-Mehfooz Ko Bhi Khabar Nahi. Aap صلى الله عليه و سلم Ko ALLAH Ne Bepanha Ilm Ataa Kiya Hai.
Agar Koi ALLAH Ta’ala Ke Liye Yah Sifat Ataai Mane Yani Ataa Kiya Hua. Ya Bande Ke Liye Zaati Ilme Gaib Mane Yani Bagair ALLAH Ta’ala Ke Ataa Kiya Hua To Ye Shirk Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Aalimul Gaib Hai. Tamaam Ambiya Alaihissalam Ka Ilme Ghaib ALLAH Ta’ala Ne Ataa Kiya Hua Hai. ALLAH Ta’ala Ka Jab Huqm Hota Hai Tab Hi Wo Ghaib Ki Khabre Jaahir Karte Hai. Agar Kisi Mauqe Par Gaib Ki Bate Na Batayi To Isse Hargiz Ye Nahi Sabit Hota Ke ALLAH Ta’ala Ne Apne Mehboob Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilme Gaib Ataa Na Farmaya. Balqi Us Waqt ALLAH Ta’ala Ka Huqm Hota Hai Ke Gaibi Khabar Ko Jaahir Na Kiya Jaye. Isiliye Kai Martaba Mere Aaqa Wa Maula Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Gaibi Khabar Na Bayan Farmayi. Ilme Ghaib Ke Mukhalif Log Hadees Pesh Kar Kehte Hai Ke Jab Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne 70 Sahaba Ko Bheja Tha Logo Ko Quran Ki Taleem Ke Liye Unhe Shaheed Kar Diya Gaya. Ab Inka Kehna Hai Agar Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilm-E-Gaib Hota To Aap Sahaba Ko Shaheed Hone Dete? Isi Tarah Dusra Waqia Bayan Karte Hai Ki Ek Martaba Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Yahudiyo Ne Zeher Alooda Bakri Khane Me Pesh Ki. Kuch Sahabi Khana Khane Ke Sabab Shaheed Hue. Ab Inka Kehna Hai Ke Agar Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilm-E-Gaib Hota To Aap Sahaba Ko Kyu Zeher Alooda Khana Khane Dete. Wajah Kya Thi? Huqme Rabbi. Ab Aap Khud Ek Martaba Gaur Se Soche Ki Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Apne Pyare Nawaso Ke Shahadat Ka Ilm-E-Gaib Hasil Hua To Bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Nawaso Ko Shaheed Kaise Hone Diya? Sirf ALLAH Rabbul Aalameen Ki Raza Ki Khatir. Huqme Rabbi Ki Tameer Ki Khatir. Ab Kuch Log Ye Bhi Kehte Hai Ke Agar Aap Sallallahu Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilm-E-Gaib Hota To Aap Fayda Na Uthate. To Ye Waqia Unhi Logo Ko Jawab Hai Ke Apne Nawaso Ki Shahadat Ka Ilm Hasil Tha Par Sallallahu Alaihi Wasallam Ne ALLAH Rabbul Aalameen Ki Raza Ki Khatir Sabr Kiya. Ab In Aqal Ke Andho Ko Ye Kyu Nahi Dikhai Deta Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Kai Martaba Sahaba Ko Shahadat Ki Basharat Di, Kisi Sahabi Ko Jannat Ki Basharat Di. Kai Kam Aqal Log Ye Bhi Kehte Hai Ke ALLAH Ta’ala Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gaib Ki Khabaro Ka Ilm Ataa Farmaya To Wo Gaib Raha Hi Nahi. Ma’zALLAH Astagfirullah. Aise Logo Ko Mera Ye Sawal Hai Ke “ALLAH Ek Hai Uske Siwa Koi Mabood Nahi.”Ye Gaibi Khabar Tumhe Di Kisne? Kya Tumne Dekha KHUDA Ko? Aise Hi Kuch Munafiqo Ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ilm-E-Gaib Ka Us Zamana-E-Mubarak Me Hasi Mazak Banaya To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayat Nazil Farmayi,
Aayat No. 1
“Aur Aye MEHBOOB ! Agar Tum Inse Puchoge, To Kahenge Ke Hum To Yun Hi Hansi Khel Main The. Tum Farmao Kya ALLAH Aur Uski Aayato Aur Uske Rasool Se Haste Ho. Bahane Na Banao Tum Kaafir Ho Chuke Musalman Ho Kar.”
(Surah Para 10, Aayat 65-66, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Tafseer Durr-E-Mansoor O Tarbi Main Isi Aayat Ke Ma Tehet:
Tarjuma:
“HAZRAT MUJAHID (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai, Is Aayat Ke Nuzool Ke Bare Main Hai Ke Ek Munaafiq Ne Kaha Ke MUHAMMAD (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khabar Dete Hain, Ke Falaan Ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL Main Hai.
“Inko GAIB Ki Kya KHABAR”.
(Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat 65, Jild 3, PAGE 456, Matboo’a Darul Kutub Ul ILMIYA, Beroot)
(Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat 66, JILD 1,PAGE 283, Matboo’a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)
IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At’Taba’i , 104 HIJRI Main Yaani Aajse Taqreeban 1300 Saal Pehle Likhte Hain Ki Ye Aqeeda Ek Munafiq Ka Tha Aur Uske Radd Me Ye Aayate Kareema Nazil Hui Jisme Unhe Kafir Qarar Diya Gaya. Ab Aap Gauro Fikr Kijiye Ki Aajke Daur Me Bhi Ye Dawa Karnewale Ki Hamare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Ilm-E-Gaib Nahi Tha Ma’zALLAH. Wo Kiski Pairwi Kar Rahe Hai? Kya Inka Imaan Raha? Quran Khud Inko Kaafir Keh Raha Hai.
IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri Main IMAAM MUJAAHID ( رحمة الله عليه ) Se Riwayat Bakal Karte Hain:
“Inhon Ne Farmaya K Munaafiqeen Main Se Ek SHAKHS Ne Kaha Ke MUHAMMAD (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hum Se Bayaan Karte Hain Ke FALAAN Ki Oontni Falaan Falaan Waadi Main Hai, Bhala Woh GAIB Ki Baaten Kya Jaanen “.
(Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura’an, Al Maaroof Tafseer Tibri,Surah TOBA, Aayat 65, Jild 10, PAGE 196,Matboo’a Daarul Haya, Beroot)
ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ambiya Alaohissalam Ko 3 Tariqo Se Gaibi Ilm Ataa Farmaya:
1. ILHAAM (Gaibi Ilm)
2. Kalaam (Gaibi Guftagu)
3. Wahi (Farishte Ke Jariye)
Aayat No. 2
“Gaib Ka Jannnewala (ALLAH Ta’ala) To Apne Gaib Par Kisiko Musallat Nahi Karta. Siwaye Apne Pasandida Rasoolo Ke.”
(Surah Jinn, Para 29, Aayat 26, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Tafseer Azeezi Main Isi Aayat Ke Ma Tehet, Page 173 Pe Hai:
Tarjuma:
“Jo Cheez Tamaam MAKHLOOQAAT Se Gayab Ho, Woh Gaib Mutlaq Hai, Jese Qayaamat Ke Aane Ka Waqt, Aur Rozaana Aur Har Cheez Ki Pedaaishi Aur Shar’ai Ehkaam Aur Jese Parwardigaar Ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, Is Qisam Ko RAB TA’ALA Ka Khaas GAIB Kehte Hain. Pas Apne Khaas GAIB Par Woh Kisi Ko Muttal’a Nahin Karta, Is Ke Siwa Jis Ko Pasand Farma Le, Aur Woh RASOOL Hote Hain, Chahte Farishtey
Ki Jins Se Hon Ya INSAAN Ki Jins Se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Apne Ba’az GAIB Zaahir Farmata Hai.
Tafseer-E-Khaazin Main Isi Aayat Ke Ma Tehet Hai
Tarjama:
” Siwae Is Ke Jis Ko Apni Nabuwwat Aur Risaalat Ke Liye Chun Liya, Pas Zaahir Farmata Hai, Jis Par Chahta Hai GAIB, Taa Ke Unki Nabuwwat Par Daleel Pakri Jaaway, Un GAIBi Cheezon Se Jiski Woh Khabar Dete Hain, Pas Yeh Unka Mojaza Hota Hai.
(Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazin, JILD 4, Page 319,
Matboo’a Darul Ma’arfatah Beroot )
ROOH Ul BAYAAN Se Yahi Aayat Ke Ma Tahat Hai:
Tarjama:
“Ibn-E-SHIEKH Ne Farmaya Ke RAB TA’ALA Is GAIB Par Jo Is se Khaas Hai, Kisi Ko Muttal’a Nahin Farmata Siwae Burgozeedah RASOOL Ke Aur Jo GAIB Keh RAB Se KHAAS Nahin, Us
Par Ger RASOOL Ko Bhi Matle’a Farma Deta Hai “.
(Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD 10, Page 236, Matboo’a Darul Haya, Beroot)
Aayat No. 3
“Aur ALLAH Ki Shaan Ye Nahi. Aye Aam Logo Tumhe Ilme Gaib Dede. Ha ALLAH Chun Leta Hai Apne Rasoolo Se Jise Chahe.”
(Sure Al Imraan, Para 4, Aayat 179, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Yaha ALLAH Rabbul Aalameen Saf Lafzo Me Farma Raha Hai Ke Apna Gaib Aam Logo Me Nahi Zaahir Karta. Apne Pasandida Rasoolo Ko Ghaib Ka Ilm Ataa Karta Hai. Aur Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam To ALLAH Ke Habeeb Hai Unka Maqam Nabiyo Me Sabse Aala Hai. To Kya ALLAH Rabbul Aalameen Unhe Ma’zALLAH Is Nemat Se Na Nawazega?
Hadees No. 1
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas Radiallahu Anhu Se Marwi Hai Ki Sarkar-E-Do-Aalam, Noor-E-Mujassam, Shaahe Bani Aadam, Rasool-E-Mohtasham Sallallahu Alaihi Wasallam Do (2) Qabron Ke Paas Se Guzrey Aur Gaib Ki Khabar Dete Huye Farmaya : “Yeh Dono Qabr Wale Azaab Diye Jaa Rahe Hain Aur Kisi Badi Cheez Me Azaab Nahi Diye Jaa Rahe (Jis Se Bachna Dushwar Ho). Balki Ek Toh Peshaab Ke Cheehton Se Nahi Bachta Tha Aur Doosra Chugal Khori Kiya Karta Tha.” Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khajoor Ki Taaza Tahni Mangwayi Aur Usey Aadho Aadh Cheera Aur Har Ek Ki Qabr Par Ek Hissa Gaad Diya Aur Farmaya : “Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Tab Tak In Dono Ke Azaab Me Takhfeef Hogi.” “Qabr Per Phool Daalna Yahanse Saabit Hota Hai” Agar Qabr Per Phool Daalna Shirk Hota, Toh Rasoole Kamaal Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Amal Hargiz Na Karte..
(Sahih Bukhari : Hadees 6055 Book ref. : 78, Hadees 85 Eng ref. : Vol. 8, Book 73, Hadees 81)
(Sahih Bukhari : Hadees 218 Book ref. : 4, Hadees 84 Eng ref. : Vol. 1, Book 4, Hadees 217)
(Sunan Abu Dawud : Hadees 20 Book ref.: 1, Hadees 20 Eng ref. : Book 1, Hadees 20)
(Jamia Al Tirmizi : Hadees 70 Book ref. : 1, Hadees 70 Eng ref. : Vol. 1, Book 1, Hadees 70)
Is Hadees Se Bakhoobi Ye Baate Maloom Ho Gayi :
1. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Nigahe Aqdas Ke Liye Qabr Ke Upar Ki Mitti Waghairah Aad Nahi Hoti Aur Qabr Ke Andar Upar Se Hi Mulahiza Farma Lete Hai. Ye Gaib Nahi To Kya Hai?
2. Qabr Me Dafn Hue Logo Ki Zindagi Ke Haalaat Bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Peshe Nazar Rahte Hai Ki Kis Ne Kya Kiya Aur Kis Wajah Se Is Par Azaab Ho Raha Hai.
“Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aibon Ko,
Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante Hai”
Aayat No. 4
“Aur ALLAH Ne Tum Par Kitab Aur Hiqmat Utari Aur Tumhe Sikha Diya Jo Kuch Tum Na Jante The. Aur ALLAH Ka Tum Par Bada Fazl Hai.”
(Sure An Nissa, Para 5, Aayat 113, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Tafseer-E-Jalalain, Page 97 Main Hai:
Tarjama:
“Yaani Aahkaam Sikhaye, Aur ILM-E-GAIB Sikhaya.”
IMAAM Hussain Bin Mas’ood Bagwi 516 Hijri Main Likhte Hain:
Tarjama:
“(Aur ALLAH Ne Aapko Woh Sab Ilm Ata Kar Diye Jo, Aap Nahin Jaante The ) Yaani Ehkaam Main Sab, Aur ILM-E-GAIB Main Se.
(Tafseer Mo’allam Ul Tanzeel, Jild 1, Page 479, Matboo’a Darul Ma’arfa’a, Beroot)
Ab Yeh Jo Baat Likhi Gayi Hai, Yeh Tafseer Aajse Taqreeban 900 Saal Pehle Likhi Gai, Agar Yeh
Baat Galat Hoti, To Kiya In Likhnewaale Sahab Ko
Roka Na Jaata?
Tafseer-E-Madarik Main Hai.
Tarjama:
“Deen Aur Shariyat Ke Umoor Sikhae,
Aur Chupi Huwi Baaten, Dilon Ke Raaz Bataye”.
(Tafseer-E-Madarik, Jil 1, Page 282, Matboo’a Maktab Ul Qura’an, Peshawar)
Jaame Al Bayaan Main Hai:
Tarjuma:
“Yaani Aapko Woh Sab Baaten Bata Din,
Jo Aap Qura’an Ke Nuzool Se Pehle Na Jaante The “.
(Tafseer-E-Tibri, Jild 5, Page 270, Matboo’a Dar Ul Fikar, Beroot)
Is Aayat Aur In Tafaseer Se Maaloom Huwa Ke HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) Ko Tamaam Aaenda Aur Guzishta Waakiyaat Ki Khabar Di Gayi, Yaani ILM-E-GAIB. Ye Aayat Aapka Ilm-E-Gaib Ataai Hone Par Bhi Dalalat Karti Hai.
Hadees No. 2
Hazrat Uqba Ibn Aamir Radiallahu Anhu Farmate Hai Ek Din Huzoor-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Laye Aur Uhaad Ke Shadeedo Ki Qabr Pe Namaz Padhi Aur Apne Mimber Pe Tashreef Laye Aur Farmaya, “Mai Tum Par Gawaah Hu Aur Kasam Khuda Ki Mai Is Waqt Bhi Yaha Se Apna Hauz-E-Kausar Dekh Raha Hu.”
“ALLAH Ta’ala Ne Zameen Ke Saare KHAZANE Ki KUNJIA Mujhe Ata Kar Diye.” Ya Ye Farmaya Ke “MUJHE KHAZANE De Diye Zameen Ke Aur ALLAH KI Kasam Mujhe Is Baat Ka Khauf Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karoge. Mujhe Sirf Is Baat Ka Khauf Hai Ke Tum Dunya Talbi Me Ladoge.”
(Sahi Bukhari Volume : 1, Pg : 189 Kitab No: 23 Kitabuz Janaiz, Baab :As Salate Alash Shaheed, Hadis 1344 “English Book No 23, Hadees : 428) (Sahi Bukhari , Kitabur Riqak, Hadees : 6426 & 6590)
(Sahi Muslim Vol : 02, Book No 43, Kitabul Fazail, Baab : Isbaati Hauzin Nabiyana Wa sifatihi, Hadees : 2296 English Book No 30 Hadees : 5688) (Musnad e Ahmad ibn Hambal Vol: 04, Pg:154, Hadees : 17532)
Is Hadees-E-Pak Se Shaane Mehboobe Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Khoob Nazar Aa Rahi Hai Bas Nigaho Me Ishqe Rasool Ka Surma Laga Hona Chahiye. Huzoor Ka Houze Kausar Ko Apne Mimbar-E-Mubarak Par Khade Hokar Dekhna. Aapka Ye Farmana Ki Aapki Ummat Shirk Me Mubtala Na Hogi. Ye Tamam Bate Bayan Farmana Gaib Nahi To Aur Kya Hai?
“Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib Daan Nahi
Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai”
Aayat No. 5
“Tum Apne Rab Ke Fazl Se Majnoon Nahi.”
(Surah Qalam, Para 29, Aayat 2, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN Main Isi Aayat Ke Ma Tehet Hai:
Tarjama:
“Yaani Aapse Woh Baaten Chupi Huwi Nahin Hain, Jo Azal Main Thin, Aur Jo Abad Tak Hongi , Kyunki Jann Ke Maaenay (Meaning) Hain Chupna, Aap Us Ko Jaante Hain Jo Ho Chuka, Aur KHABARDAAR Hain Uske Jo Hoga “.
Is Aayat Ki Is Tafseer Se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Ke Baaray Main Maaloom Hota Hai.
Hadees No. 3
Hazrat Sauban Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, “Aye Logo ! ALLAH Ne Zamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak Ke Maine Zamin Ke Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur ALLAH Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya. Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.”
(Sahi Muslim Vol : 02, Page : 390,Kitab No 54 kitabul Fitan, Baab : Fitno Aur Qayamat Ki Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 2889, English Version Book No 24 Hadees : 25) (Sunan Abu Dawood, Kitab No 37, Kitab Al Fitan Wa Al Malahim,Baab : Fitno Ka Aur Uski Nishaniyo Ka Bayan, Hadees : 4252, English Version Book No : 37, Hadees : 13) (Jamai Tirmizi, Vol : 03, Kitab No : 33 Kitabal Fitan, Hadees : 2176, English Version Book No 33 Hadees : 39) (Sunan Ibn Majah, Book No 36, Kitabul Fitan, Hadees : 3952, English Version Book No 36 Hadees : 27)
“Maalik-E-Qaunain Hai Jo Paas Kuch Rakhte Nahi
Do Jahan Ki Nemate Hai Unke Khali Hath Me.”
Hadees No. 4
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
“Qayamat Us Wakt Tak Naa Aaygi Jab Tak Meri Ummat Me 30 Dajjal Naa Aajaye Unme Se Har Koi Nabi Hone Ka Dawa Karega.”
(Sahi Muslim Vol :07, Pg :317, Kitabul Fitan, Hadees : 7342)
(Sunan Abu Dawood, Vol :04 , Pg :535 ,Kitabal Malaheem, Baab : Khabre Ibn E Saad, Hadees : 4333 English No : 4319)
Is Hadeese Pak Me Mere Aaqa Wa Maula Mehboobe Khuda, Khatamul Ambiya, Rehmatallil Aalameen Sallallahu Alaihi Wasallam Qayamat Ke Aasar Ko Bayan Farma Rahe Hai Ki Qayamat Kab Aayegi. Qayamat Ki Nishaniya Bayan Farma Rahe Hai Ye Ghaib Nahi To Kya Hai?
Aayat No. 6
ALLAH Rabbul Aalameen Qurane Kareem Me Farmata Hai,
“Apne Mehboob Ko Quran Sikhaya. Insaniyat Ki Jaan Muhammad Ko Paida Kiya. Maa Kaa Na Wa Maa Yakoon Ka Unhe Bayan Sikhaya. Suraj Aur Chand Hisaab Se Hai. Sabje Aur Ped Sajda Karte Hai.”
(Sure Rehman, Para 27, Aayat 1-6, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Aayat No. 7
“To Hamare Bando Me Se Ek Banda Paya, Jise Hamne Apne Paas Se Rehmat Di Aur Use Ilme Ladunni Ataa Kiya.”
(Surah Kahaf, Para 15, Aayat 65, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Ye Aayate Kareema Me ALLAH Ta’ala Ye Ailan Farma Raha Hai Ke Apne Mehboob Ko Ilm Ata Kiya. Aage Aapki Shaano Shaukat Aur Tazim Ka Behtarin Namuna Bhi Jahir Farma Raha Hai Ke Suraj Aur Chand Bhi Aapka Huqm Mante Hai Aur Ped Paudhe Sajda Karte Hai ALLAH Rabbul Aalameen Ki Ata Se.
“Khabar Bhi Hai Ke Khabar Sabki Unhe Hai Kabse,
Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jante Hai.”
Hadees No. 5
Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khaybar Ke Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Ta’ala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat Rakhta Hai Aur ALLAH AUR USKA RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Usse Mohabbat Karte Hai. Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha Ke Jhanda Use Diya Jayga. Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai? Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Unki Aankhe Dukhti Hai. Unhe Bulaya Gaya HUZOOR NABI-E-KARIM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne APNA LUAAB-E-MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki Aankho Me Lagaya Wo Aise Theek Ho Gaye Jaise Pahle Dard Tha Hi Nahi Aur Jhanda Unhe De Diya Gaya. Maula-E-Kaynaat Ne Pucha YAA RASOOLALLAH Kya Mai Unse Us Wakt Tak Ladu Jab Tak Musalmaan Na Ho Jaye?
Farmaya “Narmi Ekhteyar Kar Jab Tak Ke Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH Ke Jo Hukook Unpe Hai Wo Unhe Batao ALLAH Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye. Ye Tumhare Liye Is Baat Se Accha Hai Ke Tumhare Paas Surkh Oont Ho.”
(Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab باب ٌلضف ٌنم ٌملسأ ىلع ٌهيدي ٌلجر Hadees : 3009)
(Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210) (Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, English : Book 44 Hadees : 53)
Aayat No. 8
“Aur Ye Nabi Gaib Batane Mein Bakhil Nahi.”
(Sure Taqweer, Para 30, Aayat 24, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Yaha Is Aayat-E-Kareema Me To ALLAH Rabbul Aalameen Farma Raha Hai Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ghaib Batane Me Bakhil Nahi. To Kya Tum Log ALLAH Ke Farman Ko Jhutlaoge?
Aayat No. 9
“ALLAH Hai Jiske Siwa Koi Mabood Nahi. Wah Aap, Auaro Ka Qayam Rakhnewala. Use Na Ungh Aaye Na Nind. Usika Hai Jo Kuch Aasmano Me Hai Aur Zameen Me. Wah Kon Hai Jo Uske Yaha Sifarish Kare Be Uske Huqm Ke. Janta Hai Jo Kuch Unke Aage Hai Jo Kuch Unke Piche. Aur Wo Nahi Pate Uske Ilm Me Se Magar Jitna Wah Chahe.
(Surah Bakarah, Para 3, Aayat 255, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Khuda Hi Jaane UBAID Unko Hai Pata Kya Kya,Hamein Pata Hai Bus itna,Ki Huzoor Jante Hain.