Durood-O-SalaamHadees-E-Nabwi

Darood Sharif Ki 100 Fazilat Wa Barkate

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,

Fazail-E-Durood-O-Salaam Par 50 Hadees-E-Pak

Durood Sharif Ki Jitni Fazilate Bayaan Ki Jaye Kam Hai.  Hadees Sharif Me Durood Sharif Ki Fazilate Kasrat Se Saabit Hai. Yaha Chuninda Fazail Bayan Kar Raha Hu. Jisse Ham Ye Jaan Sake Ke Durood Sharif Kyu Padhna Chahiye.

Rehmat-E-Aalam Shafi-E-Mehshar Imamul Ambiya Habeeb-E-Khuda Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Padhneka Huqm Khud ALLAH Rabbul Aalameen Ne Qur’an-E-Kareem​ Me Farmata Hai,

“Beshak ALLAH Aur Uske Farishte Daroodo Salaam Bhejte Hai Us Gaib Batanewale Nabi Par, Aye Imaanwalo! Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo”
(Al Quran Surah Al Ahzaab, Para 22, Ayat 56, Ruku 7, Tarzuma Kanzul Imaan)

Is Aayate Mubaraka Ke Nuzool Ka Maqsad Ye Hai Ke Kuffar Aur Munafikeen Ki Toli Huzoor Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dil Aazari Karte The Jiske Baad ALLAH Rabbul Aalameen Ne Ye Aayate Mubaraka Nuzool Karke Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Wo Makam-O-Martaba Ata Kiya Aur Kaha Ke Agarche Ye Chand Log Hai Jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dil Aazari Karte Hai Jo Dardnaak Aazab Ke Mustahik Hai Par Huzoor-E- Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-O-Azmat To Khud Unka Paak Parwardigar Bayan Farma Raha Hai. Aur Farishto Ko Mukkarrar Kar Rakha Hai Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-E-Akdas Me Duroodo Salam Padhte Hai. Qayamat Tak Aanewale Musalmano Par Bhi Laazim Kar Diya Ke Uske Mehmboob Par Duroodo Salam Bheja Kare.

Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi Radiallahu Anhu Ne Apni Tafseer Ruhool Bayan Me Likha Hai Is Aayate Karima Ke Nuzool Ke Baad Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chehra-E-Mubarak Noor Ki Kirane Lootane Laga Aur Farmaya “Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo Aayate Mubaraka Ata Ki Gayi Hai Jo Mujhe Duniya Wa Maafiha (Yaani Jo Kuch Duniya Aur Isme Hai) Sabse Zyada Mehboob Hai” (Tafseer-E- Roohul Bayan, Volume : 07, Page : 223, Para 22 Surah Ahzab Ayat 56) Is Aayate Karima Me ALLAH Rabbul Aalameen Ka Durood Bhejna Bhi Hai Aur Farishto Ke Saath Saath Hum Musalmano Ko Bhi Durood Bhejna Hai.  Imam Baghawi Ash Shafai Alaihirrahma iske Maane Ko Bayan Farmate Hai “ALLAH Rabbul Aalameen Ke Durood Bhejna Hai REHMAT Naazil Farmana Jabki Farishto Aur Hamara Durood Dua-E-Rehmat Karna Hai” (As Shara Us Sunnah, Volume : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Page : 280)

Kya Pata Chala Ki Durood Aur Salaam Ka Huqm To Khud ALLAH Rabbul Aalameen Ne Diya Hai. Ab Wo Log To Munh Ke Bal Gire Hai Jo Salaam Ko Biddat Kehte Hai. Ma’zALLAH. Dar Asl Salaam Ke Liye Sirf Wahi Khada Hoga Jiske Dilme Apne Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Hogi.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai, “Nooh Par Salaam Ho Jahanwalo Me Salaam Ho Ibrahim Par Salaam Ho Moosa Wa Haroon Par Salaam Ho Iliyas Par Salaam Ho Rasoolo Par”
(Sure Saffat, Aayat 79,109,120,130,181, Para-23, Ruku 3-4-5 Tarzuma Kanzul Imaan)

Jab ALLAH Khud Apne Rasoolo Par Salaam Bhej Raha Hai To Hum Ummati Nabiyo Ke Sardar Sallallahu Alaihi Wasallam Par Salaam Bheje To Kaise Shirko Biddat Ho Sakta Hai.. Isiliye Mere Sarkar Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Fazile Bareilly Rehmatullah Alaihi Ne Likha

“Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salaam Shamme Bazme Hidayat Pe Lakho Salaam..”

1. Ek Durood Padhne Se 100 Haajten Puri Hongi

2. Farishte Padhnewale Par Durood Padhenge.

3.ALLAH TA’AALA Ki Khusnudi Hasil Hogi.

4. Padhnewala Marne Se Pehle Jannat Me Apni Jaga Dekh Lega.

5. Pulsirat Se Bijli Ki Tarah Sahi-O-Slamat Guzar Jayega.

6. Dozakh Ke Qeher Se Bach Jayega.

7. Hauz-E-Kausar Se Pani Peena Nasib Hoga.

8. Mizaan Me Durood Padhnewale Ki Naikiyon Ka Palra Bhari Hoga.

9. ALLAH TA’AALA Ke Gusse Se Mehfooz Rahega.

10. ALLAH TA’AALA Ki Dosti Nasib Hogi.

11. ALLAH TA’AALA Ki Rehmat Barasti Rahegi.

12. ALLAH TA’AALA Ke Raste Me Jang Ladhne Se Zyada Sawab Milega.

13. Rizq Kushada Hoga. Ek Martaba Durood Padhna 10 Gunaah Mitata Hai Aur Uske Naam-E-Aamal Me 10 Nekiya Likhi Jaati Hai.

14. Har Majlis Me Zaib-o-Zeenat Hasil Hogi.

15. Maidan-E-Hashr Me Amn-O-Aman Me Hoga.

16. Har Dushman Par Fatah Hasil Karega.

17. Logon Ke Dilon Me Uski Muhabbat Badh Jayegi.

18. Har jagah​ Ittifaq Ki Dolat Muyassar Hogi.

19. Dil Ko Bada Sukun Muyassar Aayega.

20. Khwab Me Huzoor Sarkar-E-Do​ Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam (Peace Be Upon HIM) Ki Ziyarat Hogi.

21. Durood Padhnewale Ki Gibat Kam Hogi.

22. Dunya Me Faeda Hasil Karta Rahega.

23.ALLAH Ki Farmanbardari Hasil Hogi.

24. Usje Aibon Par ALLAH TA’AALA Parda Dal Dega.

25. Wo Hasrat Ki Maut Nahin Marega.

26. Wo Bukhl Ki Bimari Se Mehfooz Rahega.

27. Usko Badduayen Koi Nuqsan NahI Pohonchaengi.

28. Uske Badan Se Khushbu Aayegi.

29. Wo Har Jaga Numayan Jaga Pa Kar Izzat Hasil Karega Od Fatahyaab Hoga.

30. Har Munafiq Ke Shar Se Mehfooz Rahega.

31. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (Peace Be Upon HIM) Ki Shafa’at​ Hasil Hogi.

32. Huzoor Alaihissalam Ki Khusnudi Hasil Hogi.

33. Huzoor Alaihissalam Ka Qurb Hasil Hoga.

34. Uski Khwahish Har Waqt Ye Hogi Ke Neki Karun.

35. Har Waqt Muhabbat-E-Rasool Alaihissalam Me Izafa Hota Rahega.

36. ALLAH TA’AALA Ki Rehmat badhati Rahegi.

37. Sarkar-E-Do Aalam Alaihissalam Ke Darbar Me Uska Naam Liya Jaeyga (Ye Sab Se badi sa’aadat Hai).

38. Durood​ Parhnewalea Marte Dam Tak INSHA ALLAH Iman Par Qaem Rahega.

39. ALLAH Ke Ehsanat Us Par Badhte Rahenge.

40. Durood​ Parhnewale​ Me Murshid-E-Kamil Ki Khasusiat Janam Leti Rahengi.

41. Uske Gunahon Ki Aag Bujh Jaaeygi.

42. Maidan-E-Hashr Me Huzoor Alaihissalam Ka Wasl Nasib Hoga.

43. Bhuli Huwi Cheezen Yaad Aaya Karengi.

44. Jannat Me Bohot Buland Darje Hasil Honge.

45. Zameen-O-Aasmanwalon Ki Duaaen Uske Liye Waqt Hongi.

46. ALLAH TA’AALA Us Ki Zaat Me Barkat Dega.

47. Us Ke Aamaal Me Badi Hi Barkat Hogi.

48. Uski Umar Achche Kaamon Me Guzregi.

 49. Uski Umar Me Numaayan Barkat Hogi.

 50. Uski Aulad Me Barkat Hogi.

51. Uski Aulad Tabahi-O-Barbadi Se Har Halat Me Bachi Rahegi.

52. Uske Sare Ghar Me Har Waqt Barkat Hogi.

53. Uske Ghar Me Har Halat Me Salamati-O-Aman Hoga.

54. Uske Maal-O-Asbaab Me Barkat Hogi.

55. durood Shareef Parhnewale​ Ki Chaar Pushton Tak Barkat Rahegi.

56. Huzoor Alaihissalam Ki Bargah Me Haazri Payega.

57. Jab Hajj Ya Umra Ko Jayega To Qubuliat Ke Darje Paeyga.

58. Uski Zuban Par ALLAH Aur Uske Rasool-E-Maqbool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zikr Jari Rahega.

59. Gunahon Ka Kaffara Hota Rahega.

60. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chehra-E-Mubarako Anwar-O-Tahir Ki Ziyarat Karega.

61. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Musafaha Karega.

62. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Usse Mukhatab Honge.

63. Farishte Uski Sifarash Karte Rahenge.

64. Hooren Uske Waste Muntazir Hongi.

65. Jannat Uska intezaar Karti Rahegi.

66. Farishte Uske Durood Shareef Ko Sone (Gold) Ke Qalam Se Chandi Ke Aoraq Par Likh Kar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Pesh Karte Rahenge.

67. Maut Se Pehle Tauba Ki Taufeeq Milegi.

68. Maut Ke Waqt Sakhti Se Mehfooz Rahega.

69. Uska Ghar Hamesha Roshan Rahega.

70. Wo Faqr-O-Faqa Se Mehfooz Rahega.

71. Uski Haajten Ajeeb-O-Gareeb Tareeqe Se Poori Hoti Rahengi.

72. Uske Chehre Par Noor Ke Aasaar Paida Honge.

73. Wo Farishton Ka Imam Banega.

74. Wo ALLAH TA’AALA Ke Aehkamat Ka Aehtaram Karta Rahega.

75. Wo Sunnat Ada Karne Ki Koshish Me Laga Rahega.

76. ALLAH Ki Raza Dekhta Jayega.

77. Jo Log Use Milenge Wo Musarrat Mehsoos Karte Rahenge.

78. Uski Dawat Ka Sawab Das Gunah Ziada Hoga.

79. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Qaul-O-Fel Se Muhabbat Karta Rahega.

80. Uski Kashti Har Tufaan Se Mojze Ke Taur Par Har Ho Jayegi.

81. Wo Bulandiyan Hasir Karke Qurb-E-Khudawandi Me Izafa Karta Rahega.

82. Wo Hamesha Naik Hidayat Hasil Karta Rahega​.

83. Wo Duniya Me Gamgeen Aur Nirash Nahi Hoga.

84.Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Maidan-E-Hashr Me Uske Zaamin Honge.

85. Jannat Me Aaqa-E-Naamdaar Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Hoga.

86. Durood Shareef Ki Badolat Bimarion Se Mehfooz Rahega Agar Koi Bimari Aayi Bhi To Uske Gunah Kam Ho Jayenge Aur Jald Shifa Payega​.

87. Aese Hi Uski Aulad Ke Sath Muaamla Hoga.

88. Pal Pal Me Durood​ Parhnewale​ Ki Balaaon Ko ALLAH TA’AALA Naas Karta Rahega.

89. Uski Daulat Me Bepanah Izafa Hoga Aese Hi Maal-O-Mata Me.

90. Durood Padhnewala Saaf Suthra Rahega ALLAH Ki Rehmat Jo Uske Saathi Hogi.

91. Naik Logon Ki Sohbat Se Mustafeez Hoga.

92. Walion, Kutoobon, Abdalon Aur Qalandaron Ki Ziyarat Karta Rahega​.

93. Durood Padhnewale Ke Din-O-Raat Ke Gunah Usi Din Usi Raat Mitte Rahenge​.

94. Durood Sharif Padhnewala Aik Hi Raste Par Chalega Wo Hi Jannat Ka Rasta.

95. Durood Sharif Padhnewala Sakhi Aur Dil Ka Kushada Ho Jayega.

96. Uske Liye Falah Ke Zariye Khulte Jaanenge Aur Wo Hairaan Hoga Ke Itni Badi Barkat Kese.

97. Durood Padhnewale​ Ki Zakat Ada Hoti Rahegi Aur Jab Wo Zakat Ada Karega To Fauran Qubool Hogi.

98. Durood​ Padhnewale Ki Duaen Har Waqt Mehfooz Hoti Rahengi.

99 . Durood​ Padhnewala Qiamat Ke Din Shuhada Ke Sath Muqam Payega.

100. Durood Paak Padhnewale Ke Liye Khud Nabi-E-Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Dua Karte Rehte Hain. Aur Ye Aezaaz Un Barguzeeda Bandon Ka Hai Jinko Khuda Ne Sab Se Mumtaz Muqam Ata Farmaya Hai.
(Extracted From The Book ALLAHUMMA SALLEY ALA MUHAMMAD)

Is Post Ko Likhne Me Mere Dost Muhammed Ajaz Qadri Sahab Ne Madad Ki Hai. Aapse Unke Haq Me Dua Ki Guzarish Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Muhammed Ajaz Quadri Bhai Ke Duniyawi Aakhirat ki Tamam Hazato Ko Puri Farmaye. Isi Tarah Deen Ki Khidmat Ki Taufiq Ataa Farmaye. Rozi Me Ilm Me Barkat Ataa Farmaye. Unki Tamam Jaiz Duao Ko Qabool Farmaye.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!