Aqaid-E-Ahle SunnatNaat-E-Mustafa

Naat Sharif Padhna Quran Wa Hadees Se

Aaj Kal Wahabiyo Ne Naat-E-Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat Paida Karne Ka Zariya Hai, Usse Logon Ko Rokne Ka Naya Tariqa Nikala Hai. Naat-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Padhnewale Aashiq-E-Rasool Se Wahabi Kehte Hai Ye  Biddat Hai. Kyu Khamakha Apna Waqt Barbad Karte Ho Isse To Achcha Hai Ki Tum Durood-E-Pak Padho Uski Jyada Fazilat Hai.

Ab Baat Asal Me Ye Hai Ke Naa Hi Inko Durood Padhna Pasand Hai (Padhte Bhi Hai To Logo Ko Dikhane Ke Liye) Aur Koi Durood-E-Pak Padhnewala Hoga Usse Kahenge Quran-E-Kareem Ki Tilawat Afzal Hai. Qur’an-E-Kareem Ki Tilawat Karnewale Se Kahenge Ki Namaz Afzal Hai.

Asal Me Ye Log Shaitan Ke Tariqe Par Amal Karte Hai. Ye Iblees Ke Chele Hai. Yazeed Mardood Inke Abba Hai. Ye Saara Fitoor Shaitaan Ka Hai. Shaitan Jis Tarah Naye Naye Tarah Ke Paitre Aazma Kar Logo Ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Se Door Rakhna Chahta Hai, Bilkul Aisi Hi Soch Aajke Qaume Wahabiya Ki Hai Jo Logo Ko Naat-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Padhne Se Rokte Hai. Durood-O-Salam Padhna Biddat Keh Kar Rokte Hai. In Pakhandiyo Ke Nazdeek Goya Nabi Ki Tazeem Biddat Hai. Ma’zALLAH Astagfirullah. Inki Baate Sunkar To Banda Na Durood-O-Salam Padhe, Na Naat-E-Paak Padhe, Na Tilawat-E-Quran Kare Aur Na Namaz Padhe.

Deen-E-Islam Me Har Ibadat Ka Tariqe Ka Apna Alag Maqaam Hai.  Durood-E-Pak Ani Jagah Hai, Tilawat-E-Quran Apni Jagah Hai, Hajj Apni Jaagah Hai, Sadqa Wa Zakat Apni Jagah Hai, Thik Isi Tarah Naat Sharif Bhi Apni Jagah Hai. Ek Dusre Ka Badal Pesh Kar Awam Ko Behkane Ka Kaam Shaitan Ka Ho Sakta Hai. Momeen Hargiz Aise Kaam Nahi Karte. Is Post Me Hadees Ki Roshni Me Naat Padhna Sabit Kiya Gaya Hai. Ise Gaur Se Padhe Ise Khoob Share Kare Ki Digar Logo Ko Bhi Pata Chale Ki Wahabi/Ahle Hageez Makkar Galeez Log Biddat Ki Aad Me Asal Me Logo Ke Dilo Se Imaan Chchin Rahe Hai.

Naat Sharif Padhna Koi Faltu Kaam Nahi Balki Sunnat-E-Sahaba Hai.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai.
(وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ)
Aur Hamne Tumhare Liye Tumhara Zikr Buland Kar Diya.
(Surah Insharah, Para 30, Aayat No 4, Tarzuma Kanzul Imaan)

Ab Munkirin Jitna Chahe Roke Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Zikr Ruknewala Nahi. Har Lamha Buland Hoga.

Ab Kuch Jaahil Ye Aitraz Karenge Ki Ye Jo Aapne Quran-E-Kareem Ki Aayat Pesh Ki Isme Koi Shayri Ki Baat To Aayi Nahi. Shayri Aur Bahar (Dhoon) Me Tareef Karme Ka Zikr To Aaya Nahi. To Sunle Ki Me Wo Sher Nakal Kar Raha Hu Jo Abu Taalib Ne Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Me Kaha Tha. Aur Jisko Khud Maula Ali Karamallaho​ Wajahahul Kareem Ne Wazeefa Banaya Tha Aur Sarkar Sallallahu Alaihi Wasallam Khud Unse Sunte The.

وأبيض يستسقي الغمام بوجهه
ثمال اليتامى عصمة للأرامل

Wa Abyadu Yustasakal Ghamamo Bi Wajahi Hi
Simalul Yataama Ismatool Lil Aramil.

Tarzuma:
(Aise Gore Rangwale Hai Ke Unke Rukhe Anwar Ke Zariye Badali Se Baarish Talab Ki Jaati Hai. Wah Yatimo Ka Thikama Aur Bewao Ke Nigehban Hai.)

Ulma-E-Kiram Ka Kehna Hai Ke Is Sher Ko Wazeefa Banane Se Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat Badhti Hai.

Iske Alawa Bhi Shayri Ki Misale Pesh Ki Jaa Sakti Hai. Lekin Yeh Sher Isliye Pehs Kiya Ki Hazrate Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ko Unki Shahzadi Ne Waqte Naja’a Yahi Sher Talqin Me Sunaya Tha. Aur Hazrate Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ne Farmaya Haa Haa  Yahi Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Hai. Aur Rooh Nikal Gayi. Aap Dekhe Jab Ham Jaise Momeen Ko Kalmaye Tayyab Ki Taqrar Karayi Jati Hai. Us Waqt Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sabse Karibi Sahabi Naat Sunte Hue Is Duniya Se Jaa Rahe Hai. SubhanALLAH.

RASOOLULLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Naat Me BADMAZHABO Ke KHILAF ASH’AAR PADHNA BHI SUNNAT-E-SAHABI HAI.

Hamd, Naat Or Manqabat Kisey Kehte Hen?

Teeno Ke Lafzi Ma’na To Taqriban Ek Hen
“Ta’reef-O-Touseef”
Lekin Majazi Ma’na Juda Hain.

Hamd Ka Lafz ALLAH Ki Ta’reef Ke Liye,
Naat RASOOLULLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ta’reef
Aur
Manqabat Sahaba-O-Auliya Ki Khoobion Ke Liye Bola Jaata He.

Hadees 1:
“Hazrat Abu Hurairah (RadiAllahu Anhu) Bayan Karte Hain Ki Hazrat Umar (RadiAllahu Anhu), Hazrat Hasan Bin Sabit (RadiAllahu Anhu) Ke Pas Se Guzare, Halaanki Wo Masjid Me Sher Padh Rahe The, Hazrat Umar (RadiAllahu Anhu) Ne Ghoor Kar Unki Taraf Dekha, Hazrat Hassan Ne Kaha, Mai Masjid Me Us Waqt Bhi Sher Padha Karta Tha, Jab Masjid Me Tumse Afzal Shaks Maujood The, Phir Unhone Abu Hurairah Ki Taraf Mudkar Kaha:
Mai Tumko ALLAH Ki Qasam Dekar Sawal Karta Hu, Kya Tumne Nabi Alaihesalam Ko Ye Farmate Hue Suna Hai Ki, Meri Taraf Se Jawab Do, Aye ALLAH Roohul Quds Se Iski Taeed Farma. Unhone Kaha ‘Haan’
(Sahih Muslim Kitabul Fazail, Hadees 6334)

Hadees 2 :
“Hazrat Bir’a Bin Aazib (RadiAllahu Anhu) Bayan Karte Hain Ki Maine Rasool ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko, Hazrat Hassan Bin Sabit (RadiAllahu Anhu) Ke Liye Ye Farmate Hue Suna Hai Ki, In (Kafiro) Ki Huju Karo, Aur Jibrail Tumhare Saath Hain.
(Sahih Muslim Kitabul Fazail, Hadees 6337)

Hadees 3 :
“Arwah Bayan Karte Hain Ki, Hazrat Hassan Bin Sabit (RadiAllahu Anhu) Ne, Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa (RadiAllahu Anha) Ke Mutalliq Bahut Kuch Kaha Tha (Yani Tohmat Laganewalo Ke Sath Shamil The) Maine Unko Bura Kaha, Hazrat Ayesha (RadiAllahu Anha) Ne Farmaya, Aye Bhatije ! Usko Chhod Do, Kyunki Wo Rasool ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Taraf Se Kafir Ko Jawab Dete Hain.
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Hadees 6339)

Hadees 4 :
“Masrooq Kehte Hain, Mai Hazrat Ayesha (RadiAllahu Anha) Ke Paas Gaya, To Hazrat Hassan Inke Pass Baithe Apne Ye Ash’aar Suna Rahe The:

حصان رزان ما تزن بريب
وتصبح غرثى من لحوم الغوافل

‘Wo Pakeezah Aqalmand Hain, Unpar Kisi Aib Ki Tohmat Nahi Hai, Wo Subah Ghafilo Ke Gosht Se Bhuki Uthti Hain.’ Yani Kisiki Gheebat Nahi Karti.

“Hazrat Ayesha (RadiAllahu Anha) Ne Inse Farmaya:
Lekin Tum Is Tarah Nahi The, Masrooq Ne Kaha:
Aap Inhe Apne Paas Aane Ki Kyu Ijazat Deti Hain?
Jabki ALLAH Ta’ala Ne Farmaya Hai:
‘Aur Jisne In Me Se Is Bohtan Me Sabse Bada Hissa Liya, Uske Liye Bada Azab Hai.’
Hazrat Ayesha (RadiAllahu Anha) Ne Farmaya:
Andhe Hone Se Zyada Bada Azab Kaunsa Hoga?
Hassan To Rasool ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Taraf Se Kuffar Ko Jawab Dete The, Ya Unki Huju Karte The.
(Sahih Bukhari, Hadees 4146, 4755, 4756)

Hadees 5 :
“Hazrat Ayesha (RadiAllahu Anha) Bayan Karti Hain Ki Hazrat Hassan Ne Arz Kiya:
Yaa RasoolALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Mujhe Abu Sufiyan Ki Huju Karne Ki Ijazat Dijiye,
Aapne Farmaya:
Uske Saath Meri Jo Qurabat (Rishtedari) Hai, Uska Kya Karoge?
“Hazrat Hassan Ne Kaha:
Us Zaat Ki Qasam, Jisne Aapko Karamate​ Di Hai, Mai Aapko Unse Is Tarah Nikal Lunga, Jis Tarah Gundhe Hue Aate Se Baal Nikal Liya Jata Hai, Phir Hazrat Hassan Ne Ye Ash’aar Padhe:

وإن سنام المجد من آل هاشم
بنو بنت مخزوم ووالدك العبد

“Aale Hashim Ki Buzurgi Ki Kohan, Binte Makhzoom Ki Aulad Hai,
Tera Baap To Ghulam Tha.”
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Hadees .6343)

“In Hadeeso Se 2 Masle Sabit Hain,
1: Nabi Alaihesalam Ki Naat Padhna, Bhi Sunnat-E-Sahaba Hai,

2: Naat-E-Paak Me Bad Mazhabo Ke Khilaf Jumle Istemal Karna Bhi
Sunnat-E-Sahaba Hai.

“Tabhi To Mere Sarkar Aala Hazrat Azeemul Barkat Farmate Hain,

”Suraj Ulte Paanv Palte,
Chaand Ishaare Se Ho Chaak,
“Andhe Najdi Dekh Le Qudrat Rasool ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki”

Hadees 6:
Jab Hazrat Hassaan Bin Saabit Naat Sharif Parhte, Aaqa Alahissalatu wassalaam Inke Lye Jibreel Ki Madad Ki Dua Krte
(Sunan An Nisai Volume 1 Hadees 719 Page: 219)

Hadees: 7
Naat Padhnewale Ke Lye Sarkar Ne Mimber (Stage) Rakhwaya,
Jibreel Alaihissalam Bhi Inke Sath Hote.
(Sunan Abu Dawood Volume 3 Hadees 1570 Page 570)

Hadees 8:
Jab Hazrat Hassaan Naat Pahrte To Sarkar Khush Hokar Farmatey
“Beshak ALLAH Rooh ul Qudus Ke Zarye Hassaan Ki Madad Farmata He,
Jub Tak Woh ALLAH Aur Uske Rasool Ke Muta’alliq Fakhriya Ash’aar Bayan Farmatey Hen”
(Jami At Tirmizi Kitab Ul Aadaab
Volume 5 Page 138 Hadees 2846)
(Ahmed Bin Hambal) (Haakim)

Hadees 9:
Baraa Bin Aazib Raawi Hain Ke Beshak Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Waasallam)
Ne Hazrat Hassaan RadiyALLAHu Anhu Se Farmaya:
“Aye Hassaan!
Jo Log Be Adab Aur Mere Gustakh Hain
Tum (Naat Me) Unke Gustakhana Kalimaat Ka Jawab Do
(Is Me) Jibrail Bhi Tumharey Madadgaar Hen”
(Bukhari Volume 4 Page 1512 Hadees No 3897)

Hadees 10:
Salma Bin Akwah Raawi Hen Ke Ek Raat Hum Sarkar Sallallahu Alahi Wasallam Ke Humraah Khaiber Ki Taraf Ja Rahe The
Ek Shakhs Ne Aamir Bin Akwah Se Kaha Aap Apna Kalam Sunayen
Inho Ne Apna Kalam Sunaya,
Ye Sun Kar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya;
“Ye Ountni Chalaney Wala Aur Ye Meri Naat Kahne Wala Koun He?”
Shahba Ne Arz Ki
“Ye Aamir Bin Akwah Hen”
Kush Ho Kar Farmaya :
“ALLAH Ta’ala Us Per Rehmat Naazil Farmaye”
(Bukhari Volume 4, Hadees 1537)
(Bukhari Volume 5, Hadees 2277)
(Muslim Volume 3, Hadees 1428)

Hadees 11:
Gazwa-E-Tabook Se Wapsi Per Hazrat Abbas Kahte Hen:
“Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Me Aapke Madah Karna Chahta Hun
Unke Izhaar-E-Khushi Per Aaqa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
“Kahiye, ALLAH Aapke Daant Salaamat Rakhey”
(Haakim 3/369-370) (Tibrani 4/213)
(Ibne Jouzi 1/54)

Hadees 12:
Hazrat Nabagah Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargaah Me Taweel Qasida Ke 200 Ash’aar Padhe.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khush Hokar Dua Di;
“Allah Tumhare Mun Ke Mohar Na Tode.”
(Daant Salaamat Rakhe)”
Phir, “Unke Daant Sab Logoun Se Ache They Aur Jab Unka Koi Daant Girta Tu Naya Aajata”
(Asqalani 6/394) (Ibne Jouzi Page 462,463)

Hadees 13:
Sarwar-E-Kaainaat Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Makkah Sharif Se Hijrat Farma Kar Madina Munnawrah Tashreef Laaye
To Ansaar-E-Madina Ki Bachchiyon Ne AapKi Aamad  Ke Moqey Par Daff Baja Kar Ek Qaseeda Padha Tha.
Tala Al Badru Alaina….
(Zurqani 4/100) (Behqui 2/507)
(Ibn-E-Kaseer 2/583, 3/620)

Sana Khwan-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam:

Hazrat Abbas Radiallahu Anhu
(Haakim 3/369)
(Tibrani 4/213)

Hazrat Hamza Radiallahu Anhu
(Ibne Ishaq Page 212-213)
(Ibne Hashaam Page 503-504)

Abu Taalib Radiallahu Anhu
(Bukhari 1/342)

Abu Siddique Radiallahu Anhu.
(Bukhari 4/1619)

Safiya Binte Abdul Muttalib
(Hafiz Shamsuddin Damishqi)

Sheema Binte Haleema
(Asqalani 7/165-166)

Abou Sufyan Bin Haris
(Ibne Aseer 6/142-143)

Abdullah Bin Rawaha
(Bukhari 1/387, 5/2278)

Ka’ab Bin Maalik
(Ibn e Abi Aasim)

Hassaan Bin Sabit
(Bukhari 1/183)

Zaheer Bin Sard
(Ibn e Aseer 2/325)

Abbas Bin Mardas
(Ibn e Hashaam Page 977,949)

Ridwanullahi Alehim Ajmain

Ka’ab Bin Zaheer
(Haakim 3/670-673)

Abdullah Bin Alzabra
(Ibn e Hashaam P#942-943)

Abu Ahmed Bin Hajis
(Ibne Kaseer 2/522)

Hazrat Abu Bakar Siddique Radiallahu Anhu
Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu
Hazrat Usman Ghani Radiallahu Anhu
Hazrat Ali Karamallaho Wajahahul Kareem
(Abu Zaid Qureshi P#10)

@Hazrat Umro Jini
(Jinn Sahabi)
(Ibn e Hashaam P#419)

@Aamir Bin Akwah
(Bukhari 4/1537)

@Abdullah Bin Haris
(Ibn e Hashaam P#293)

Ridwanullahi Ta’ala Alehim Ajmain

Syeda BiBi Fatima
(Bukhari 4/1419)

Ummul Mo’mineen Syeda Ayesha Siddiquah
(Ibne Jouzi P#463)
RadiyALLAHu Anhuma

Related Articles

2 Comments

  1. Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
    Aapko Ramzan Mubarak Ho.

    Sabse Pehle To Naat Sharif Zikre Mustafa ﷺ Hai Lihaza Adabo Ahtaram Lazmi Hai.
    Ba Wuzoo Rahenge To Behtar Hoga. Warna Pak Saf Hon To Bina Wuzoo Ke Sunne Me Ya Padhne Mein Koi Harz Nahin.
    Talibe Dua.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!