Bazme Faizan-E-Raza

Aasmani Kitabo Ke Baare Mein Aqaid

Har Mukallaf (Aaqil, Baaligh, Musalman) Par Tamam Aasmani Kitabo Par Iman Laana Zaroori Hai Jo ALLAH Ta’ala Ne Ambiya -E- Kiraam Par Naazil Farmayi, Albatta Unke Jo Ahkam Humari Shariat Mein Mansookh Ho Gaye Un Par Amal Durust Nahin Magar Iman Zaroori Hai Maslan Pichhli Shariato Mein Baitul Muqaddas Qibla Tha, Is Par Iman Laana To Humare Liye Zaroori Hai Magar Amal Yaani Namaz Mein Baitul Muqaddas Ki Taraf Moonh Karna Jayez Nahin, (Ye Hukm) Mansookh Ho Chuka
(خزائن العرفان، پ1، بقره، تحت الآیتہ4)
Quraan Kareem Se Pehle Jo Kuchh ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Uske Ambiya Par Naazil Hua Un Sab Par Mukhtasaran Iman Laana Farz -E- Ayen Hai
(خزائن العرفان، پ1، بقرہ، تحت الآیتہ4)
Jo Kitabein ALLAH Ta’ala Ne Naazil Farmayi Aur Apne Rasoolo Ke Paas Batareeq -E- Wahi Bheji Beshak Wa Shubha Sab Haque Wa Sidq Aur Allah Ki Taraf Se Hain
(خزائن العرفان، پ3، بقره، تحت الآیتہ285)
Quraan Shareef Par Mukhtasaran Yun Iman Rakhna Farz Hai Ki Iska Ek Ek Lafz ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Hai Aur Bar Haque Hai Jabki Quraan Ka Tafseelan Ilm Haasil Karna Farz -E- Kifaya Hai
(صراط الجنان، ج1، ص68)
ALLAH Ta’ala Ne Baaz Nabiyo Par Saheefe Aur Aasmani Kitabein Utari Jinki Tadaad Taqreeban 104 Hai Aur Un Mein Se Chaar Kitabein Bahut Mash’hoor Hain,
“Tawraat” Hazrat Moosa Alaihissalam Par, “Zaboor” Hazrat Dawood Alaihissalam Par, “Injeel” Hazrat Eisaa Alaihissalam Par Aur “Quraan” Ke Sabse Afzal Kitab Hai, Sabse Afzal Rasool Huzoor Pur Noor Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Par
(بہار شریعت، حصہ1، علامہ مفتی امجد علی اعظمی)
Quraan -E- Paak Tabdeeli Se Mehfooz Hai, Chunki Ye Deen Hamesha Rehne Waala Hai Lihaza Quraan Ki Hifazat ALLAH Ta’ala Ne Apne Zimme Rakhi Jabki Agli Kitabo Ki Hifazat ALLAH Ta’ala Ne Ummat Ke Sipurd Ki Thi Aur Unse Iska Hifz (Tahaffuz) Na Ho Saka Aur Kalaam -E- Ilahi Jaisa Utra Tha Unke Hantho Mein Waisa Hi Baaqi Na Raha, Balki Unke Shareero Ne To Ye Kiya Ki Un Mein Tabdeeliya Kar Di Yaani Apni Khwahish Ke Mutabiq Ghata Badha Diya Lihaza Jab Koi Baat Unki Kitabo Ki Humare Saamne Pesh Ho To Agar Wo Humari Kitab (Quraan) Ke Mutabiq Hai To Hum Uski Tasdeeq Karenge Aur Agar Mukhalif Hai To Yaqeen Jaanenge Ki Ye Unki Tabdeeliyo Se Hai Aur Agar Mukhalafat Muwafaqat Kuchh Maloom Nahin To Hukm Hai Ki Hum Us Baat Ki Na Tasdeeq Karein Na Takzeeb (Na Sahih Jaanein Na Ghalat) Balki Yun Kahein Ke,
اٰمنتُ باللہ وملٰـــئکتہ وکتبہ ورسلہ
Yaani, ALLAH Aur Uske Firishto Aur Uski Kitabo Aur Uske Rasoolo Par Humara Iman Hai
(بہار شریعت، حصہ1، علامہ مفتی امجد علی اعظمی)
Jo Ye Kahe Ki Quraan Mein Ke Kuchh Paare Ya Suratein Ya Aayatein Balki Ek Hurf Bhi Kisi Ne Kam Kar Diya Ya Badha Diya Ya Badal Diya Qata’an Kafir Hai
(بہار شریعت، حصہ1، علامہ مفتی امجد علی اعظمی)

Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -e- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.
Bazme Faizan -e- Raza Pvt. Ltd.
(India)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!