Faizane Gous-E-Aazam

Gyarvi 11vi Shareef Karne Ka Saboot

ALLAH Ta’ala Ne Waliyo Ka Charcha Kis Tarah Farmaya:

Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ney Farmaya :
Jab ALLAH Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il  عليه السلام Ko Aawaaz Deyta Hey Ke ALLAH Ta’ala Fula’n Bandey Se Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (Aawaaz) Detey Hain Ke ALLAH Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey. Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo. Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey.
Phir Zameen Waalon (Key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
(Al Muwatta Imam Malik, Vol : 02, Pg : 953, Kitab No 51, Saher (Hair), Hadees : 1747 “English : Book 51, Hadees : 15”)
(Sahi Bukhari, Vol : 08, Pg : 78, Kitab No :78  Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 6040 )
(Sahi Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)
(Sahi Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)
(Sahi Muslim, Vol :06, Pg : 496, Kitab No 45 Kitabul Birr Walsala Wal Adab, Baab : Hadees : 2637 , “English : Book 45,Hadees : 201”)
(Musnad E Ahmad Vol : 02, Pg : 509, Hadees : 10623)
(Imam Abu Noem Hilyatul Aulia Vol : 07, Pg :141)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Kitabuz Zuhad, Vol :02 pg:301 Hadees :805)
(Jamai Tirmiz,  Kitabul Tafseer, baab Surah Mariam Hadees :3161 )
(Imam Nawawi – Riyadusalaheen Vol : 01, Pg : 525, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama, Hadees : 387)
(40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)

Kya Pata Laga Ki ALLAH Ta’ala Apne Jis Bande Se Muhabbat Karta Hai Usse Muhabbat Karne Ka Huqm Farishto Ko Deta Hai. Aur Jibril Alahisaalam Ailan Karte Hai Ke Aasmanwalo Tum Bhi Usse Muhabbat Karo. Aur Zameenwalo Ke Dilon Me Muhabbat Daal Di Jati Hai. Ye ALLAH Ta’ala Ke Mehboob Bande Parhezgaar Muttaqi Taqwa Aur Ibadatguzar Wali Gous Kutoob Aur Abdal Nahi To Aur Kon Hai?  Beshaq ALLAH Ta’ala Ke Waliyo Ki Muhabbat Hamare Dilon Me Daal Di Gayi Hai. Isliye Ham ALLAHWalo Ke Mazarat Par Hazri Dete Hai. Unke Nakshe Qadam Par Chalte Hai. Beshaq Yahi Wo Qamiyab Log Hai. Jinhone Islam Ki Tableeg Ki. Kuch Logo Ko Ye Galatfehmi Hai Ke Peerana Sirf India Aur Pakistan Me Hai. Nahi Balqe Duniya Ke Har Kone Kone Me Waliyo Ki Aamad Hoti Rahi Hai. Aur ALLAH Ta’ala Ke Waliyo Ne Islam Ka Parcham Buland Kiya.

ALLAH Ta’ala Ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Auliya-E-Kiram Ki Azmat Par Mubarak Irshad:

“Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Beshak ALLAH Ta’ala Ke Kuchh Aisey Barguzeeda Bandey Hain Jo Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qayamat Key Din Ambiya Kiram Alaihimussalam Aur Shohada Inhey ALLAH Ta’ala Ki Taraf Sey Ata Kardah Maqaam Deykh Kar Un Par Rashk Karey Gey.
Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ney Arz Kiya :
Ya Rasoolallah ﷺ!
Aap Hamey Un Key Baarey Mey Bataaye Ke Woh Kaun Hain?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Woh Aisey Log Hain Jin Ko Aik Doosarey Sey Muhabbat Sirf ALLAH Ta’ala Ki Khaatir Hoti Hey Na Ke Rishteydaari Aur Maali Leyn-Deyn Ki Wazah Sey.
ALLAH Ta’ala Ki Qasam!
Un Key Chehrey Noor Ho’n Gey Aur Woh Noor (Key Mimbaron) Par Ho’n Gey, Unhey Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Unhey Koi Gam Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Yeh Aayat Tilaawat Farmayi,
˝Sunlo Beshak  ALLAH Ke Waliyo Per Na Kuch Khauf Hai Na Kuch Gum.”
” Pay heed! Indeed upon the friends of Allah is neither any fear, nor any grief. (The friends of Allah are the best in the creation.)”
(Sure Yunus, Para 10, Aayat 62, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Abu Dawood As-Sunan, Jild : 03  Safa : 288, Hadees : 3527,
(Nasa’i As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 06  Safa : 362, Hadees : 11236,
(Bayhaqi Shuab-Ul-Iman, Jild : 06  Safa : 486, Hadees : 8998.)

“Hazrat Amr Bin Hamiq Radiyallahu Ta’ala Anhu Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Banda Us Waqt Tak Iman Ki Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ke Woh ALLAH Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Naaraaz Aur ALLAH Ta’ala Key Liye Hee (Kisi Sey) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Ki Raza Ka Markazo Mehwar Sirf Zaatey Elaahi Ho) Aur Jab Us Ney Yeh Kaam Kar Liya To Us Ney Iman Ki Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Beshak Merey Ahbaab Aur Auliya Woh Log Hain Ke Merey Zikr Sey Un Ki Yaad Aa Jaati Hey Aur Un Key Zikr Sey Meri Yaad Aa Jaati Hey (Ya’ni Meyra Zikr Un Ka Zikr Hey Aur Un Ka Zikr Meyra Zikr Hey).”
(Tabarani Al-Mu’jam-Ul-Awsat, Jild :  01  Safa : 203, Hadees : 651,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild :  03  Safa : 430, Hadees : 15634,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya  Safa : 15, Hadees : 19,
Ibn Rajab Jami’-Ul-Uloom Wal-Hikam, 01  Safa : 365,
Daylami Musnad-Ul-Firdaws, Jild :  05  Safa : 152, Hadees : 7789,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild :  04  Safa : 14, Hadees : 4589,
Haythami Majma-Uz-Zawa’id, Jild :  01  Safa : 58.)

Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Sey Riwayat Hain Ke Arz Kiya Gaya :
Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hamarey Behtareen Humnasheen Kaun Log Hain?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
Aisa Humnasheen Jis Ka Deykhna Tumhey ALLAH Ta’ala Ki Yaad Dilaaye Aur Jis Ki Guftagoo Tumharey Ilm Mey Izaafa Karey Aur Jis Ka Amal Tumhey Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”
(Abu Ya’la Al-Musnad, Jild : 04  Safa  : 326, Hadees : 2437,
Abd Bin Humayd Al-Musnad, Jild :  01  Safa : 213, Hadees : 631,
Abu Nu’aym Hilyat-Ul-Auliya, Jild : 07  Safa : 46,
Ibn Mubarak Az-Zuhad,Jild :  01  Safa : 121, Hadees : 355,
Ibn Abi Duniya Kitab-Ul-Auliya  Safa : 17, Hadees : 25,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild : 01  Safa : 63, Hadees : 163,
Hindi Kanz-Ul-Ummal, Jild : 09  Safa : 28, 37, Hadees : 24764, 24820,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif,Jild :  02  Safa : 39, Hadees : 994,
Zurqani As-Sharh,Jild :  04  Safa : 553,
Manawi Fayd-Ul-Qadir, Jild : 03  Safa : 467.)

*Auliya Se Dushmani ALLAH Ta’ala Se Jung Karna Hai*

“Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya :
ALLAH Ta’ala Farmata Hey :
Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhey Mey Us Sey Elaane Jung Karta Hoo’n Aur Meyra Banda Aisee Kisi Cheez Key Zariye Meyra Qurb Nahin Paata Jo Mujhey Farzon Sey Zyada Mehboob Ho Aur Meyra Banda Nafli Ibadat Key Zariye Baraabar Meyra Qurb Haasil Karta Rahta Hey. Yahan Tak Ke Mein Us Sey Muhabbat Karney Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Sey Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Sunta Hey Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Deykhta Hey Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Pakarta Hey Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Chalta Hey.
Agar Woh Mujh Sey Sawal Karta Hey To Mein Usey Zaroor Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hey To Mein Zaroor Usey Panaah Deyta Hoo’n. Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaisey Banda-E-Momin Key Jaan Leney Mey Hota Hoo’n, Usey Mowt Pasand Nahi Aur Mujhey Us Ki Takleef Pasand Nahin.”
رواه البخاري. –
(Bukhari As-Shahih, Jild : 05  Safa : 2384, Hadees : 6137,
Ibn Hibban As-Shahih, Jild : 02  Safa : 58, Hadees : 347,
Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 10  Safa : 219, Baab(60),Kitab-Uz-Zuhad Al-Kabir, Jild : 02  Safa : 269, Hadees : 696.)

Zara Ise Bhi Padhle:

Habeeb-E-Khuda Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Is Tarah Auliya-E-Kiram Ki Azmat Ko Bayan Farmaya Ki Logo Ke Dilon Me Unki Muhabbat Paida Ho. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki ALLAH Ke Wali Ko Dekh Kar ALLAH Ki Yaad Aati Hai. SubhanALLAH. Roze Mehshar Bhi Auliya-E-Kiram Ki Azmat Ka Tazkirah Is Hadees Me Mauzood Hai. ALLAH Ta’ala Ne Un Logo Se Ailan-E-Jung Kar Diya Hai Jinhone ALLAH Ta’ala Ke Waliyo Se Dushmani Ki Unke Liye Bugz Rakkha. Aaj Ke Badmazhab Gumrah Logo Ko Is Hadees Se Ibrat Hasil Karni Chahiye. ALLAH Ta’ala Jiske Khilaf Ailan-E-Jung Karde. Uska Hashr Kya Hoga? Kis Tarah Ka Sakht Azaab Hoga? Khauf Karo Aye Gaafil Logo. Tauba Karo.
ALLAHU AKBAR.
Ham Ahle Sunnat Wal Jama’at (Maslake Ahnaaf/Maslake Aalahazrat) ALLAH Ke Waliyo Se Muhabbat Karte Hai. Unki Azmat Ko Tasleem Karte Hai. In Sha ALLAH Hamara Beda Inhi Ke Sadqe Par Hoga.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.

Gyarvi Shareef Kya Hai:

Sayyeduna Peerane Peer Roshan Zameer Mehboob-E-Subhani Qutoob-E-Rabbani Shaikh Abdul Qadir Jilani Bagdadi Radiallahu Anhu Ki 11vi Shareef Manane Se Murad Isale Sawab Hai. Aapka Zikr Kar Aapko Yaad Karna Aur Aapki Taleemat Ko Aam Karna Hai. ALLAH Ta’ala Ke Waliyo Ke Zikr Se Barkate Hasil Karna Maqsad Hai. Jisme Khiraj E Aqeedat Buzurgan E Deen Ki Bargaah Me Hadiya Tohfa E Sawab Pesh Karte Hai Khwah Quran Khwani, Takseem E Langar, Tazkira E Auliya Buzurgan E Deen Ki Halat Bayan Kar Ijtemat Munakkid Kiye Jaate Hai.

Aurang Zeb Rehmatullah Alaihi
Ke Ustaad Mullajiwan Rehmatullah Alaihi Ke Farzand Ne Apne Kitaab Wajizussirat Me Likha Hai 11vi Shareef Khuda Ki Rehmato Aur Barkato Ko Hasil Karne ka Zariya Hai.
Allahu Akbar

Hazrat Abul Ma’ali Razi Allahu Anhu
Ne Apne Kitaab
(Tohfa-E-Qhadria Page 90 )
Mein Likha Hai 11vi Karna Bilkul Durust Aur Jayez Hai.
Allahu Akbar
Subhaan ALLAH.

Allama Gulaam Sarwar Alaihi Rehma Apne Kitaab Kazina Tul Asfiya,
(Volume-1, Page. 99 )
Mein Likha Hai 11vi Shareef Barkatwala Amal Hai.

Hazrat Shah Abdul Haq Mohaddis Dehlvi Razi Allahu Anhu Farmate Hai.

“Baghdad Me 11vi Shareef Ka Intezaam Hukumat Ki  Janib Se Khud Baadsha Waqt Karta Tha.  Rabiul Aakhir Ki 11 Tareekh Ko Baadsha Waqt Aur Shehar Ke Bade Log Aur Aawaam Gouse Aazam Dastageer Ki Mazaar Par Jama Hote Asar Ke Baad Se Magrib Tak Qur’an-E-Kareem Ki Tilawat Hoti.
Baad Maghrib Sajjada Nasheen
Gouse Aazam Apne Mureedein ke Darmiyan Tashreef Farma Kar
Halkha-E-Zikr Farmate Baad Zikr Ke Fateha Khuwani Hoti Shreeni Takhseem Ki Jati Phir Baadshah Waqt Aur Tamam  Log Namaz-e-isha  Padkar Apne Gharoun Ko Rukhsat Hote.
(Ref.  Malfuzaate Azeezi, Page 62 Farsi)
Subhaan ALLAH

Hazrat Abdul HaQ Mohaddis Dehlvi
Razi Allahu Anhu Farmate  Hai 11vi
Ki Ibteda Aaj Ya Kal Se Nahi Hovi Balke Bahut Pehle Se Ulama Aur  Auliya Isko Karte Aa’rahe Hai.
( Ref: Masabata Minassunnat, page. 124 )

Hazrat Abdul HaQ Mohaddis Dehlvi
Razi Allahu Anhu Farmate Hai..
 “Mere Ustaad Aur Peer-O-Murshid  Hazrat Abdul Wahab Qadri MuttaQi  Makki Razi Allahu Anhu
Har Saal Puray Adab-o-Ehtaram Se Gouse Aazam Ke Urs  Ke Moukhe Par 11vi Shareef Ki Fateha Dilaya Karte Thay Aur Phir Inke Ustaad Aur Peer-O-Murshid Bhi Har Saal 11vi Shareef Kiya Karte The.
(Ref. Masabata Minassunnat, page. 124)

Huzoor Syedunna Gouse Aazam Dastageer Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Ki
12vi Yaani Meelad Ko Bahut Pabandi
Karte Thay,  Ek Baar Huzoor  ﷺ Ne Khwaab Mein Farmaye
 “ABDUL QADIR “
 Tumne Hamein Barhween 12vi
Se Yaad Kiya Ham Tum Ko Giyarhwee 11vi Detay Hai, Log Tumko Giyarhwee 11vi Se Yaad Karenge, Isi Liye
Rabi Un Noor Mein Meelad ki Mahafil Hoti Hai Toh
Rabi ul Gous Mein Giyarhwee 11vi Ki.”
Reference :
{JAA ‘Al HAqq 1/255}

AB JO LOG GIYARHWEEN Par Aitraaz Karte Hai Goya. AAQA E Kareem ﷺ Ki Ata Par Aitraaz Karte Hai. Sabit Hova Esaal E Sawab Peeran E Peer Aur Buzurgan E Deen Aur Musalman Momineen Ka Tariqa Hai.

“Hazrat Abu Wa’il Shakik bin Salma Se Rivayat Hai Hazrat Abdullah ibn Masood Radi Allaho Anho har Jumerat Ke Din Waaj Farmaya Karte The To Ek Aadmi Ne Unse Kaha Aye Abdul Rahman !
Meri Tammana Hai Ke Aap Rozana Hume Waaj Sunaya Kare To Aap Radi Allaho Anho Ne Farmaya
Rozana Waaj Farmane Se Jo Chiz Mujhe Rokti Hai Wo Ye Hai Ke Tum Logo Ko Tangi Me Nahi Daalna Chahta Aur Mai Tumhari Fursat Ka Khayal Rakhta Hoon Jaise Ke Nabi E Akram Waaj Sunane Me Hamari Fursat Ka Khayal Rakhte The Is Khauf Se Ke Hum Ukta Naa Jaye”
(Sahi Muslim Vol : 07, Pg : 222- 23 , Kitab Sifaat Al Qiyamah Wa Jannati Wa Naar,باب الاِقْتِصَادِ فِي الْمَوْعِظَةِ Hadees :7127, 7128,7129)
(Sahi Bukhari Vol : 08, Pg : 232, Kitabul Duwat, باب الْمَوْعِظَةِ سَاعَةً بَعْدَ سَاعَةٍ Hadees : 6411)
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg :97, Kitabul Ilm, Hadees : 68)
(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg :197, Kitabul Adab, Hadees : 2855)
Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ka Mamoor Har Sanichar Masjid E Quba Jaana

“Abdullah ibn Dinar Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Hazrat Abdullah Ibn Umar Ne Farmaya Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Har Sanichar ‘Saturday’ ko Masjid E Quba Jaate The Kabhi Sawari Se To Kabhi Paidal,
Hazrat Abdullah ibn Umar Radi Allaho Anho Ka Maamoor Bhi Yehi Raha”
(Sahi Bukhari, Vol 02, Pg : 193, Kitab Fazail E Salat Fi Masjid E Makkah Wa Madina, Baab : Har Sanichar Masjid E Quba Jaane Ka Bayan, Hadees : 1193)
(Sahi Muslim Vol : 03, Pg : 543 – 44, Kitabul Hajj, Baab : Masjid E Quba Ki Fazilat Aur Waha Namaz Padhne Ki Fazilat, Hadees : 3389 to 3397)
(Imam Nawawi Riyadus Salaheen Hadees : 374)

Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Aadat E Mubaraka Jumerat Ke Din Safar Karna:

“Hazrat Kaab bin Malik Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Ke Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat Ke Din Ghazwa E Tabook Ke Liye Nikle Aur Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Jumeraat Ke Roz Hi Safar Karne Ko Pasand Farmate The”
(Sahi Bukhari Vol : 03, pg : 98, Kitabuz Jihad, Hadees : 2950)

In Hadees E Sahi Se Saabit Hota Hai Ke Mehfil E Milad Sharif Mehfil E Gausiya 11vi Sharif Razzab Sharif Wagaira Ke Liye Din Mukarar Karna Jaiz O Mustahab Amal Hai. Jo Hargiz Biddat Aur Gunaah Nahi Balki Waaj Ke Liye To Din Mukarar Karna Jalilul Qadr Sahabi Ibn Masood Radi Allaho Anho Ki Sunnat Aur Tarika Hai lihaja Din Mukarar Karna Urs Wagaira Ya Deegar Nek Kaam Ke Liye Ye Is hadees Se Uska Jawaz Saabit Hai Aur Iski Asl Sunnat Se Bhi Mili Hai.

Faizan Wa Karamat Wa Azmat-E-Auliya Hadees-E-Pak Ki Roshni Me Yaha Padhe.

Fatiha/Nazr-O-Niyaz/Isale Sawab Ka Saboot Qur’an-E-Kareem Wa Hadees-E-Nabwi Se.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!