Bazme Faizan-E-Raza
4 Imam Aur Ahle Sunnat Wal Jama’at
Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu
Sarkar-E-Do Aalam Noor-E-Mujassam Shafi-E-Mehshar Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki Ummat Me 73 Firqe Honge Aur Unme Ek Firqa Jannati Hai Aur Wo Firqa Ahle Sunnat Wal Jama’at Hai. Ab Ye Nam Quran Wa Hadees Me Aaya To Sare Log Ye Dawa Karne Lagenge Ham Ahle Sunnat Hai. To Ahle Sunnat Ki Khoob Nishaniya Qur’an-E-Kareem Wa Hadees Me Mauzood Hai. Misal Ke Taur Par Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki Ahle Sunnat Ke Chehre Chamakdar Honge. Ahle Sunnat Ke Talluq 4 Imam Ka Kya Kehna Hai Ye Ham Jante Hai.
Imam -E- Aazam Abu Hanifa Se Sunni Ki Pehchan Puchhi Gayi To Aapne Farmaya Ki,
Jo Abu Bakar Siddique Aur Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anhuma Ko Afzal Maane Aur Hazrat Usman Gani Aur Hazrat Ali Radiallaho Ta’ala Anhuma Se Muhabbat Kare Wo Sunni Hai
Jo Abu Bakar Siddique Aur Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anhuma Ko Afzal Maane Aur Hazrat Usman Gani Aur Hazrat Ali Radiallaho Ta’ala Anhuma Se Muhabbat Kare Wo Sunni Hai
(شرح فقہ اکبر، ص76)
Imam Maalik Se Ahle Sunnat Wa Jama’at Ki Alamat Ke Mutallik Puchha Gaya To Aapne Farmaya Ki,
Ahle Sunnat Ki Alamat Ye Hai Ki Tu Abu Bakar Siddique Wa Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anhuma Se Muhabbat Kare Aur Usman Gani Wa Hazrat Ali Radiallaho Ta’ala Anhuma Pe Taan Na Kare
Ahle Sunnat Ki Alamat Ye Hai Ki Tu Abu Bakar Siddique Wa Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anhuma Se Muhabbat Kare Aur Usman Gani Wa Hazrat Ali Radiallaho Ta’ala Anhuma Pe Taan Na Kare
(مرقات المفاتیح، ج2، ص472)
Imam Shafayi Ne Wasiyat Farmayi Ki Yahi Aqeeda Ahle Sunnat Wa Jama’at Ka Hai Aur ALLAH Ta’ala Is Par Humein Zinda Rakhe Aur Isi Par Maut Ata Farmaye Aur Bidd’at Se Zaahir Wa Baatin Taur Par Mehfooz Rakhe
(حقیقت السنت والبدعت، ص210)
Imam Ahmad Bin Hambal Ne Riwayat Kiya Ki Mere Walid Ne Farmaya Ki,
Kabeera Gunah Karne Waalo Mein Se Sunniyo Ki Qabrein Jannat Ka Baag Hain Aur Zahido Mein Se Bidd’atiyo Ki Qabrein Aag Ka Gadha Hain
Ahle Sunnat Ke Fasiq Bhi Auliya Allah Hain Aur Ahle Bidd’at Ke Zahid Allah Ke Dushman Hain

(زیادات القطیعی علی مسند الامام احمد، ص97)
Your Beloved
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
(Muballigh-E-Bazme Faizan-E-Raza)
Bazme Faizan -E- Raza Pvt. Ltd.
(India)
Like Us Our Official Facebook Page:
www.facebook.com/HumareNabi
Remember Hamare Nabi Team In Your Previous Dua.