Aqaid-E-Ahle Sunnat

Biddat Quran Wa Hadees Ki Roshni Me

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Mere Pyare Islami Bhaiyo Beheno,

Aajkal Badmazhabo Ne Musalmano Ko Sunniyat Se Door Karne Ka Ek Hathiyar Apna Liya Hai. Bas Kisi Bhi Shakhs Ko Boldo Tum Jo Kar Rahe Ho Ye Biddat Hai. Aur Har Biddat Gumrahi Hai. Dozakh Me Le Jayegi. Falah Amal Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sabit Nahi Hai. Ye Biddat Hai. Ab Wo Shakhs Soch Me Pad Jata Hai Ke Kya Haqiqat Me Mujhse Gunah Ho Raha Hai? Wo Sochne Par Majboor Ho Jata Hai. Ab Bajaye Iske Ke Wah Biddat Kya Hai Jaane Uski Tay Tak Jaye Wo Apna Rasta Chod Kar In Gumrah Bedeen Logo Ke Raste Par Chal Padta Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Sabke Imaan Ki Hifazat Farmaye.

Wahabi Deobandi Ahle Hadees Ye Sab Khud Gumrah Hai. Aur Aapko Bhi Gumrah Kar Sakte Hai. Log Inke Sawalo Ko Tawajjoh Dete Hai Bajye Iske Ke Inse Sawal Kare Ke Tum Daleel Do. Is Post Me Aapki Khidmat Me Biddat Ke Talluq Se Quran Wa Hadees Ki Roshni Me Ham Sach Bayan Kar Rahe Hai. Ise Khoob Share Kare Taki Log Jaan Sake Ki Kya Sahi Hai Kya Galat. Alhumdulillah Ahle Sunnat Wal Jama’at Hi Haq Jama’at Hai. Aur Ham Apne Aqaid Ko Danke Ki Chot Par Bahawala Bayan Karte Hai. Ab Koi In Makkaro Imaan Ke Lutero Se Daleel Talab Kare To Bahanebazi Karke Bhag Jayege. Dar Asal Ye To Shaitan Iblees Ke Chele Hai Aur Mardood Yazeed Inke Abba Hai. To Unko Khush Karne Ke Liye Ye Tarah Tarah Ke Fande Ikhtiyar Kar Logo Ko Nekiyo Se Rokte Hai. Aaiye Ham Quran Wa Hadees-E-Pak Se Biddat Ka Jayza Le. Phir Ham In Makkaro Ke Biddato Ki List Bhi Aapko Pesh Karenge.

Bid’at Arabic​ Ke Lafz ‘Badee’ Se Hai,
Jiska Matlab Hai ‘Naya Paida Karna’
Quran-E-Pak Me Kafi Jaga Par ALLAH Ke Liye Ye Alfaz Aaye ‘Badeeus Samawate Wal Ard’
Yani Naye Aasmano Aur Zameeno Ka Paida Karnewala.

Bidat Ke Sharai Mayne Yeh Hain Ke Jo Kaam Hazoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Dour Main Na Tha Ab Ejaad Hua. Bidat Ki Kai Types Hain:

-Biddat-E-Hasana:
Aisi Biddat Jisko Karna Jaiz Ho Aur Jisko Karne Se Sawab Bhi Mile. Ye Wo Bid’at He Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.

-Biddat-E-MUBAHA:
Aisi Biddat Jisse Karna To Jaiz Ho Laikin Es Per Na Hi Sawab Mile Na Hi Gunah Ho.

-Biddat-E-Dalala/Biddat-E-Sayya: Aisi Biddat Jisko Karna Najaiz-O-Gunah Ho. Ya Wo Bid’at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh-O-Haraam Hai.

Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih inhe Devbandi Gair Mukkalid Wahabi dono maante hai likhte hai
“Jo Biddat Usool Aur Kawa’ide Sunnat Ke Muafik Aur Uske Mutabik Kayas Ki Hui Hai (Yaani Shariat Aur Sunnat Se Na Takrati Ho) Usko Biddat-E-Hasna Kehte Hai Aur Jo Iske Khilaf Ho Woh Biddat Gumrahi Kehlati Hai.”
(Ashatul Lamaat Sharhe Mishkaat Volume​ : 01, Page : 130)

Biddat-E-Hasana Ka Saboot Al-Quran:
 وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا ۖ فَآتَيْنَاالَّذِينَ آمَنُوا مِنْهُمْ أَجْرَهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِّنْهُمْ فَاسِقُونَ
(Surah Hadeed, Aayat No.27, Tarzuma Kanzul Imaan)

Tarjuma:
Humne Unke Peeche Paighambar Bheje Aur Maryam Ke Bete Eisa Ko Bheja, Aur Unhe Injeel Ata Farmayi, To Jin Logo Ne Unki Pairvi Ki, Unke Dilo Me Shafqat Aur Meherbani Bhar Di, Aur lazzat Se Kinarah Kashi Ki, Aur Unhone Apni Taraf Se Ek Nayi Baat Ijaad Ki,
Humne Uska Hukm Nahi Diya Tha, Lekin Unhone Ye Apne Rab Ki Raza Ke Liye Kiya Hai,
Fir Jaisa Ise Nibhana Chahiye To Nibha Na Sake, Bas Jo Log Inme Imanwale The To Hum Unhe Bada Ajr-O-Sawab Ataa Karenge, Aur Unme Bahut Se Nafarman Hain.

Is Aayat Se Saaf Zahir Hai Ke Biddat-E-Hasana Jaiz Hai Balke Achchi Niyat Se Ki Gayi To Us Per Sawab Hai, Ab Baat Yeh Aati Hai Ke Hadees Main Hai Ke “Yakeenan Her Biddat Gumrahi Hai”, Tou Aetraz Yeh Hua Ke Yeh Hadith Aur Quran Ki Aayat Aapas Main Ikhtelaf Kar Rahi Hain, Baat Samajhne Ki Yeh Hai Ke Hadees Quran Ki Aayat Se Ikhtelaf Nahi Kar Rahi Balke Hadees Ke Mayne Sahi Samjhe Nahi Ja Rahe, Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ke Matlub Es Hadees Main Bidat-E-Dalala/Biddat-E-Sayyi’a Hai Yani Wo Biddat Jo Fitna Phelane Ke Liye Ki Gayi Ho. Biddat-E-Hasana Ki Daleel Me Ahadees Yeh Hain:

“Hazrat Jareer Bin Abdullah  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ  Ne Farmaya :

Jo Shakhs Islam Me Kisi Acche Tarike Nek Kaam Ki Buniyad Daale To Us Ke Liye Us Ke Liye Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Sawaab Milta Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Ka Sawaab Bhi Hai.

Baghair Is Ke Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee Kee Jaaye Aur Jis Ne Islam Me Kisi Buri Baat Ki Ibtida Ki To Us Par Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Gunaah Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Par Un Ka Gunaah Bhi Hai Baghair Is Ke Ki Un Ke Gunaah Me Kuch Kamee Ho.”
(Sahi Muslim Vol :  02, Page : 508, Kitab No – 12 Kitab Uz Zakat, Baab No : 20, Hadees : 1017)
(Sunan Nasai Volume​ : 03, Page : 75, Kitab No 23 Kitabuz Zakat, Hadees : 2554)
(Sunan Ibn Majah, Volume​ : 01, Page : 74, Kitab ul Mukaddama, Hadees 203)
(Musnad E Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Volume​ : 04 Page : 358)
(Sunan Darimi Volume​ : 01 Page : 140, Hadees : 512)

“Jub Quran Ko Aik Kitab Ki Shakal Main Mehfooz Karne Ka Hazrat Abu Bakr رضی الله عنہ Ke Dour Main Faisla Hua To Yeh Tajweez Hazrat Umer رضی الله عنہ Ney Di Thi, Es Per Khalifa-E-Awwal Ne Farmaya Ke Aisa Kaam Kyu Kia Jaye Jo Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Dour Main Nahi Kiya, Hazrat Umer رضی الله عنہ Ne Jawab Dia Ke Kaam To Naya Hai Laikin Achcha Hai (Yaani Hai Tou Biddat Laikin Hasana Hai)
‘Ni’ma Bidato Haazehi’ Yani ‘Kitni Achchi Biddat Hai’.
(Sahi Bukhari: 1720)

Dosri Hadith Ke Mutabiq Jab Taraveeh​ Main IMAM Muqarer Karnae Ka Faisla Hua Tou Aik SAHABI Ney Yahi Aetraz Kia Ke Wo Kaam Kyu Karte Ho Jo AAQA Ney Nahi Kia, Hazrat Umer رضی الله عنہ Ney Yahi Jawab Dia Ke Kaam Tou Naya Hai Laikin Achcha Hai (Yaani Hai Tou Biddat Laikin Hasana Hai)
‘Ni’ma Bidato Haazehi’ Yani ‘Kitni Achchi Biddat Hai’.
(Sahi Bukhari: 2629)

Umer RadiyALLAHU Anhu Ne Masjid-E-Nabwi Ke Sutoon Dubara Lagaye Hazrt Usman Ghani Radiallahu Anhu Ne Bhi Is Me Tabdili Aur Izafa Kya, Deewaren Tarashey Hue Patharo Aur Choone Se Banayi Jabke Rasoolullah Alaihisalatu Wasslaam Ke Dour Me Aisa Kuch Na Hua Tha.
(Bukhari Volume 1, Hadees 430, Page 240)
(Abu Dawood Volume 1, P#448, P#213)

Biddat-E-Hasana Aik Aur Jaga Aayi Hai.(Jami-ul-Tirimzi: 3103)
“Jiss Ney Bhi Deen Main Koi Naya(Achcha) Kaam Nikala Esko Bhi Aur Jo Esko Apnayega Dono Ko Eska Ajr Milta Rahega”.
(Sahih Muslim, Book: 34, Hadees Number 6466)
Eska Jawab Ke Har Biddat Hi Buri Hoti Hai:
Agar Har Biddat Buri Hoti Hai Tou Eska Jawab Dijiye Ke Har Musalman Ka Aqeeda Hai Ke ALLAH عزوجل Ke 99 Names Main Sey Har Naam Paak Hai, Inhi Namo Main Se Aik Naam Hai “یَابَدِیُّ” Yani Naya Paiida Karnewala.
Aqal Se Socha Jaye Tou Kya ALLAH Azawajal Apna Naam Aik Aisa Kalima Rakhe Jo SHARIAT Main Mamno Ho. Lehaza Jo Hadees Main Kaha Gaya Hai Ke Har Biddat Gumrahi Hai Wo Bidat-E-Dalala/Biddat-E-Sayyi’a Ke Liye​ Kaha Gaya Hai. Biddat Sirf Deen Ke Kaam Main Hi Hoti Hai. Eska Jawab Yeh Hai Ke Quran Aur Hadees Main Kahi Bhi Dikha Dain Jahan Likha Ho Ke “DEEN Main Naya Kaam Biddat Hai Aur Dunyavi Kaamo Main New Changes Lana Biddat Nahi”. Hamara Yeh Dawa Hai Ke Biddat SHARIAT Main Deen Aur Duniya Dono Kaamo Main Hoti Hai, Eske Mutalliq Hadith Yeh Hai:

Hazrat Ayesha Siddiqa رضی الله عنہا Farmati Hain:
Sarkar صلی اللہ علیہ و سلَّم Ke Wisal-E-Zahiri Ke Baad Sub Se Pehli Biddat, Pait Bhar Kar Khane Ki Paida Hui, Jub Logon Ke Pait Bhar Jate Tou In Ke Nufs Duniya Ki Taraf Sarkash Ho Jate (Es Qaul Main Biddat-E-Hasana Murad Hai)”
(Quwat-Ul-Quloob, Volume: 2, Page:327).

Ab Mera Yeh Sawal Hai Ke Es Hadith Main Pait Bhar Ke Khane Ko Biddat Kaha Gaya Hai, Ager Duniyawi Kaamo Main Biddat Nahi Hoti Tou Es Hadith Ka Kya Matlub Hai?

Pichi Hadith-E-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Aimma Ke Aqwaal:

*Wo Kaam Jisey Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam He
(Roohul Bayan)

*Jo Amal Logo Me Mash’hur Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri Hai.
(Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani)

*Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid’at e Hasana Hai.
(Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini)

*Agar Ye Kaha Jaye Ke Bid’at e Hasana Koi Chiz Nahi To Ye Baat Hadees Ke Khilaf Hai
(Allama Shaami)

Aaiye Kuch Duniyawi Biddato Par Nazar Dale:
– Bike Car Bus Train Jaisi Chizo Ka Istrmal
– Gharo Me Light, Fan, AC
– Aajke Logo Ka Pehnava Jaise Pant Shirt.
– Technology Ka Istemal Jo Aaqa Alaihissalam Ke Zamana-E-Mubarak Me Na Tha.
Aur Bhi Kai Hai. To Iska Kya Matlab Hua Hamari Zindagi To Biddato Se Bhari Padi Hai. Ab Agar Ham Wahabi Devband Ahle Khabees Jaise Jaahilo Ke Mutabiq Agar Soche To Aajke Daur Ke Sab Log Gumrah Hai. Sab Log Jahannam Me Jayenge. Aanewali Naslo Ka To Socho Hi Mat Wo To Hamse 10 Qadam Aage Rahenge Technology Me. To Ye Bhi Jahannami Hue? Aapko ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aqal Di Hai. Aap Khud Soche Ke Kya Haq Hai. Haq Yahi Hai Jo Hamne Bayan Kiya.

Agar Sari Biddat (Naye Kaam) Ko Bura Maan Liya Jaye To Fir Aajki Zindagi Ke Bahut Saare Kaam Biddat Ho Jayenge. Jo Deen Me Shumar Hain, Jo Bhi Kaam Sawab Ki Niyat Se Kiya Jaye Wo Deen Me Shumar Hai,

1: Eiman-E-Mufassal Aur Eiman-E-Mujammal Padhna.
2: Madarse Banwana.
3: Quran Ko 30 Paro Me Baatna.
4: Quran Per E’rab/Harkaat (Zer zabar) Lagana.
5: Quran Ko Kitab Ki Shakl Me Likhna.
6: Hadeeso Ko Kitab Ki Shakl Me Banana,
7: Hadeeso Ke Usool (Saheeh, Zaeef) Banana.
8: Fajr Ki Azan Ke Aakhir Me ‘Assalato Khairum Minan Naum’ Kehna Ye Nabi Ke Zamana-E-Mubarak​ Me Nahi Tha, Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Ne Shuru Karaya.
9: Jamaat Ke Sath Taraweeh, Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu Ke Zamane Me Shuru Hui, Ye Bhi Biddat Hai. Kyunki Nabi-E-Kareem Ke Zamana-E-Mubarak​ Me Nahi Thi.
10: Mike Me Namaz Padhna. Masjid Me Lights, Fans, AC Ka Istemal Karna.
11: Mobile Ya Internet Ke Zariye Deen Ke Msg Ya Tablighi Karna.
12: KAABE Ka Sone Ka Darwaaza.
13: Masjid Ki Mehraben
14: Imaam, Moazzin Ki Salaries.
15: 6 Kalmey etc.

Chand Mazid Bid’aat-E-Wahabiya

1: Raiwond Aur Mureedke Ke Ijtema
2: Shabe Jumma Ke Ijtema
3: Masjidon Me Jamaten Aur Lotey Liye Phirna
4: Tabligi Nisab Ka Dars
5: Youme Siddiq-E-Akbar Par Juloos Nikaalna
6: Khatm-E-Bukhari
7: Jashne Daar ul Uloom Deyoband Manana Aur
8: Us Me Gair Mazhabiyo Ko Bulana
9: Indra Gandhi Ko Mimber Par Bithana.
10: Gair Muqallid Wahabio Ka Bi Mukhtalif Mawaqe Par Ralliyan Nikaalna
11: Junaid Jamshed Ki Music Par Naatein
12: Wahabi Molwio Ka T.V Par Aana
13: Cricket Khelna.
14: 40 Din 4 Din Jama’at Ke Chille Par Jana.
Sunniyo Ke Ache A’amaal Par Aitraaz Karne Walo Ko Chahye Ke Ye Saari Bid’aten Band Karen.

Ab Aaiye Ham Ahle Sunnat Wal Jama’at Yani Ham Ahnaaf Par Ki Gaye In Badmazhab Wahabi/Deoband, Gair Muqallid Ke Aitraz Ka Jayza Le. Inke Nazdiak Hamare Ye Amal Biddat Hai.

1. Kisika Inteqal Ho To Ham Use Dafan Karne Ke Baad Jab Log Chale Jate Hai To Ek Shakhs Waha Theher Kar Qabar Par Azaan Lagate Hai. Inka Aitraz Hai Ke Azan-E-Qabar Ko Sabit Karo.

Al Jawab:
Jab Murde Ko Dafan Kiya Jata Hai Aur Log 40 Qadam Door Jate Hai To Munkar Nakir Qabar Me Haazir Hote Hai Sawalate Qabar Ke Liye. Isi Waqt Shaitaan Waha Aata Hai Murdeko Behkane Ke Liye. Azan Padhne Ke Sabab Shaitaan Waha Se Bhag Jaata Hai. Azaan Me Sawalate Qabar Ke Jawab Bhi Maujood Hai. Ab Ye Badmazhab Bhi Shaitaan Iblees Ke Chele Hai. Isliye Ye Bhi Bhag Jate Hai Azaan Sunkar. Aur Ye Keh Kar Bhi Logo Ko Gumrah Karte Hai Ke Murde Nahi Sunte. Magar Hadees-E-Pak Me Hai Ke Murde Logon Ke Jutoo Ki Aawaz Ko Tak Sun Lete Hai. Yani Choti Se Choti Awaz Ko Sun Lete Hai. Agar Murde Nahi Sunte To Qabarastan Me “Assalamu Alaikum Ya Ahlul Quboor” Kyu Kehte Ho? Aap Hi Aqal Daudaye Apni Ki Jhoota Makkar Gumrah Kon Hai Aur Haq Par Kon Hai.

“Jab Shaitan Azan Ki Awaaz Sunta Hai Bhagta Hua Rauha Pahuch Jaata Hai. Raavi Farmate Hai Maine RAUHA Ke Baare Me Pucha.
Farmaya Madina-E-Munawara Se 36 Miles Door Hai RAUHA”
(Sahi Muslim, Volume​ 01 , Kitab No 04 Kitab Us Salat, Page 204, Hadees – 388)

2. Salato Salaam Padhna, Azaan Aur Aqamat Se Pehle Durood-E-Pak Padhna.

Al Jawab: Badmazhab Ko Durood-O-Salam Se Badi Chid Hai. Inko Kaise Achcha Lag Sakta Hai Ke Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ummati Aapki Bargah Me Durood-E-Pak Padhe Ya Salaam Padhe. Aapki Tazeem Kare. Ye Sirf Biddat Ka Lafz Istemal Kar Logo Ko Gumrah Karte Hai. Jabke ALLAH Rabbul Aalameen Ne Quran-E-Kareem Me Huqm Diya Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Khoob Durood-O-Salam Bhejo. Sunni Hazrat Alhumdulillah Jo Bhi Amal Karte Hai. Danke Ki Chot Use Saabit Karne Ka Dam Rakhte Hai. Ham Badmazhabo Ke Tarah Khokle Jhoote Dawe Bayan Kar Logo Ko Dhoka Nahi Dete. In Makkaro Se Daleel Mango To Bhaag Jaate Hai Kyunki Ye Jhoote Imaan Ke Lootere Hai.

Durood-O-Salam Ki Fazilat Quran Wa Hadees Se Yaha Padhe

3. Fatiha Lagana Biddat Hai. Fatiha Ka Khana Haraam Hai. Ma’zALLAH Summa Ma’zALLAH.

Al Jawab:
Badmazhab Fatha/Isaale Sawab Ko Biddat Kehte Hai. Fatiha Ke Khane Ko Haraam Kehte Hai. Ma’zALLAH Summa Ma’zALLAH. Ab Aap Jara Gaur Farmaiye. Fatiha Me Kya Padha Jata Hai? Fatiha Me Quran-E-Kareem Ki Chand Surato Ki Tilawat Aur ALLAH Dua Ki Jaati Hai. Ab Aap Bataiye Ke Jo Tilawat-E-Quran Ko Haraam Kahe. Ma’zALLAH Kya Uska Imaan Raha? Kya Ye Log Musalman Hai? Ab Ye Aapse Kahenge Ki Khane Ko Samne Rakh Kar Tilawat-E-Quran Ki Daleel Do. Ye Log Pakke Makkar Hai. Hai To Iblees Ke Chele. Gumrah Karne Me Expert Hai. To In Jaise Pakhandiyo Ke Fatiha Se Talluq Har Aitraz Ka Jawab Hazir Hai. Ab Jo Fatiha Ko Haraam Kahe To Mera Un Badmazhab Se Ye Kehna Hai Ke Wo Is Aayat-E-Kareema Par Gaur Kare Aur Hame Daleel De Ki ALLAH Rabbul Aalameen Ne Fatiha Ko Haraam Kiya. Ham To Daleel Se Sabit Kar Rahe Hai.
“Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH Ne Use Haraam Kiya”
(Surah Anam, Para 7, Aayat 150, Tarzuma Kanzul Imaan)

Hamare Yaha Ek Mashhoor Kahawat Hai,
“Mar Gaya Mardood Na Fatiha Na Durood”.

Ye Amal Ba Naseeb Imaanwalo Ke Nasib Me Hai. Badmazhab Gustakh-E-Rasool Ke Nasib Me Azaab​ Hai.

Fatiha Aur Isaale Sawab Ke Quran Wa Hadees Se Saboot Yaha Padhe

4. Naat Sharif/Hamd/Manqbat Padhna Biddat Hai.

Al Jawab:
Naat Sharif Kya Hai? Naat Wo Kalaam Hai Jisme Huzoor-E-Akram​ Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tareef Me Padha Jaata Hai. Hamd Wo Kalaam Hai Jise ALLAH Rabbul Aalameen Ki Shaan Me Padha Jaata Hai. Manqabat Wo Kalaam Hai Jise Auliya-E-Kiram Ki Shaan Me Padha Jaata Hai. Ab In Logo Se Ye To Hargiz Bardasht Na Hoga Ki Koi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Bayan Kare Aapki Tareef Kare. Shaitan Ke Chele Isse Fizool Kaam Bata Kar Logo Ko Gumrah Karte Hai. Kya Hai Naat Sharif Ki Sharai Haisiyat Yaha Padhe.

Naat Shareef Padhne Ke Quran-E-Kareem Wa Hadees Se Saboot Yaha Padhe

5. Shab-E-Baraat Manana Biddat Hai.

Al Jawab:
Shabe Baraat Manana Badmazhab Ke Nazdik Biddat Hai. Shabe Baraat Ke Halwe Se Inhe Badi Chid Hai Kyunki Inke Haqeemul Ummat Ne Kawwa Jo Khana Halaal Kar Diya. Kya Hai Shab-E-Baraat Ki Sharai Haisiyat Janiye.

Shab-E-Baraat Manana Hadees Se Sabit Hai Yaha Padhiye.

6. Dargah Par Jaana, Phool Aur Chaadar Chadhana, Fatiha Padhana Ye Sab Biddat Hai.

Al Jawab:
Ye To Sabse Bada Aham Aitraz Hai Badmazhab Ke Liye. Isike Zariye Inki Gumrahi Failane Ke Adde Chal Rahe Hai. Bas Ye Baat Kehdo Ki Ye To Shirk Karte Hai Biddat Karte Hai. Bas Ho Gaya Kaam. Me Yaha Sirf Sahibe Ilm Logo Ki Baat Karunga Jinhe Mazarat Par Hazri Ke Tamam Adabo Ahtaram Maloom Hote Hai. Ab Hamare Yaha Kuch Jaahil Hai Jo Waha Gair Sharai Kaam Kar Rahe Hai Jisse Ahle Sunnat Ka Koi Talluq Nahi. Hamare Ulma-E-Kiram Logon Me Is Mauzoo Par Aksar Taqreer Kar Bayan Karte Hai Ke Mazarat Ki Hazri Ke Kya Aadab Hai. Aur Rahi Baat Sajda-E-Tazeemi Ki To Ise Khud Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi Ne Haraam Kaha Hai Aur Jo Koi Ibadat Ki Niyat Se Gairullah Ko Sajda Kare Usne Shirk Kiya. Ab Koi Jaahil Aisa Kam Kare To Wo Khud Gunahgaar Hai. Hadees-E-Pak Se Bhi Saabit Hai Ke Sajda Gairullah Ko Karna Mana Hai.
Aur Phool Chadane Ke Baare Me Bhi Yahi Akwaal Hai Ke Wo ALLAH Ki Hamd-O-Sana Bayan Karta Hai Isliye Usko Qabr Pe Daala Jaata Hai Jaise Mashoor Hadees-E-Paak Hai Ke 2 Shakhs Ki Qabr Me Rasool-E-Karim Alaihi Salam Ne Tazi Lakdi Qabr Me Gadhi Thi Ke Jab Tak Gili Rahegi Hamd-O-Sana Karegi Sahib-E-Qabr Ko Rahat Rahegi. Agar Gunaahgaar Hai To Azab Me Kami Aur Aulia Hai To Darjaat Buland Honge.
Ab Raha Sawal Mazar Pe Chadar Ka To Mazar Par Chadar Isliye Dali Jaati Hai Ke Maloom Ho Ki Ye Kisi Aam Shakhs Ki Qabar Nahi Ye ALLAH Rabbul Aalameen Ke Waliye Kaamil Ka Roza-E-Anwar Hai. Iske Liye Bhi Sarkar Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi Ne Fatawa Diya Hai. Aapne Auliya-E-Kiram Ke Mazarat Par Hazri Se Talluq Ye Aham Fatwe Likhe Hai.

Sajda ALLAH Ke Siwae Kisi Ke Liye Nahi. Gairullah ko Sajda-E-Ibadat Shirk Aur Sajda-E-Ta’azimi Haraam Hai.
(Azzubdatuz Zakiyya, Safa -5)

Mazar Ka Tawaf Ba-Niyyat Ta’azeem Najaiz Hai. Tawaf Sirf Ka’abe Ke Liye Makhsus Hai.
(Fatawa Razawiya, 4/08)

Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jaane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti Hai La’anat Shuru Ho Jaati Hai Aur Jab Tak Wapis Aati Hai, Mala’ika La’anat Karte Rehte Hain. Siwaye Roza-E- Rasool Ke Kisi Mazarat Par Jaane Ki Ijazat Nahi, Ke Wo Zarya-E-Magfirat Hai.
(Malfuzat, Safa -240)

“Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho, Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Charhana Fuzul He, Bulkey Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Sawab Nazr Karne Ke Liye Kisi Mohtaj Ko Den”
(Ahkaam-E-Shariyat Page : 42)

Mazaar Par Dua Ka Tareeqa:
Fatiha Ke Baad Sahibe Mazaar Ke Waseele Se ALLAH Se Dua Karen Aur Apni Jaiz Murad Pesh Karen. Phir Salam Karte Hue Wapis Aayen. Mazaar Ko Na Haath Lagaen, Na Bosa Den. Tawaf Bil ittefaq Najaiz Hai Aur Sajda Haraam Hai.
(Fatawa Razawiya, 9/522)

Ab Jo Log Aalahazrat Azeemul Barkat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi Ke Chanewale Hai Wo In Chizo Ka Khayal Rakhte Hai. Ab Koi Jaahil Agar Jaahilana Harkate Mazarat Par Karta Ho To Isme Hamara Kya Kasoor. Hamari Poori Koshish Jaari Hai Ke Logo Ki Islaah Ki Jaye. ALLAH Rabbul Aalameen Unko Hidayat De.

Auliya-E-Kiram Ki Kya Shaano Shaukat Aur Azmat Padhiye Quran Wa Hadees Se.

7. Eid-E-Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Manana Biddat Hai. Ma’zALLAH

Al Jawab:
Eid-E-Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Me Kya Hota Hai? Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat-E-Pak Ka Zikr Hota Hai. Aapki Shaan Ko Bayan Kiya Jaata Hai. Ab In Munafiqo Ko Ye Kaise Hazam Ho Sakta Hai. Inhe Eid-E-Miladun Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Daleel Chaiye. Lo Haazir Hai.

“Aye ALLAH Aye Hamare Rab Hum Par Aasmaan Se Dastar Khwaan Nazil Farmadey Ke (iske Utarne Ka din) Hamare Liye EID Hojaye”
(Al Quran Surah Maida Ayat 114)

Hadees :
Hazrat Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Se Rivayat Hai Ke Rasool ALLAH Sallallahu​ Alaihi Wassalam Ne Farmaya,
“Beshak Yaum-E-Juma Eid Ka Din Hai”
(Sahi ibn Khuzaima, Volume​ 03, Page : 315, 318 Hadees : 2161, 2166)

“Hazart Aws Bin Aws رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :
Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Paaee Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai”
(Sunan Abu Dawood Vol : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume​:1 Pg: 216, 217 Hadees: 589)
(Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume​ 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40, Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085)
(Musnad e Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993)

Juma Ko Eid Ka Darjaat​ Kyu Mila? Kyunki Us Din Adam Alaihi Salam Ki Wiladat-E-Pak​ Hui To Wo Din Eid Ho Gaya To Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat-E-Pak​ Ko Eid Kaha Gaya To Kyu Kar Biddat Hogayi? Aur Eid-E-Milad Koi Aaj Ke Ulma Ne Nahi Izaad Ki Hai Puri Duniya Me Manayi Jaati Hai.

Hadees:
“Jab Koi Kaum Din Me Biddat Rayaz Karti Hai To Uske Misl Ek Sunnat Utha Li Jaati Hai”
(Musnad Ahmad ibn Hambal  Jild : 04, Pg :105, Hadees : 17095)
(Imam Haythami Ne Mazma ul Zawaid Volume​ : 01, Pg :  188)
(Imam Munziri  Attargib Wattarhib Volume​ : 01, Page : 45 Hadees : 83)

Is Hadees-E-Pak​ Se Ye Maloom Hua Ke Jab Koi Buri Biddat Yani Biddat-E-Sayyi’a/Biddat-E-Dalala Ko Jaari Kiya Jata Hai To Usse Koi Ek Sunnat Mit Jati Hai. Ab Mera Sawal Un Jaahil Aur Makkar Deoband/Wahabde Aur Gair Muqallido Se Hai Ke Hamare Amal Se Konsi Sunnat Mit Gayi? Mujhe Yakeen Hai Ke Aap In Iblees Ke Chelo Ke Makaro Fareb Ko Achche Se Pehchan Gaye Hai. Ab Aap Jaye Aur In Pakhandiyo Se Pooche Ki Daleel De Har Aitraz Ki Jo Ye Sunniyo Par Karte Hai. Qayamat Aa Jayegi Ye Daleek Nahi De Payenge Kyunki Jo Khud Gumrah Hai Jhoote Makkar Hai Wo Aapko Sahi Rah Kaise Bata Sakte Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Se Dua Hai Ke Ham Sabko Shaitaan Ke Aur Badmazhab Ke Makaro Fareb Se Bachaye. Hamare Imaan Ki Hifazat Farmaye. Imaan Par Khatma Naseeb Farmaye. Ye Article Likhne Me Jin Hazrat Ne Meri Madad Ki ALLAH Rabbul Aalameen Unki Duniyawi Aur Aakhirat Ki Hazato Ko Pura Farmaye. Unke Nek Wa Jaiz Maqasid Pure Farmaye Aur Unke Ilm  Wa Rozi Me Barkat Ataa Farmaye
Aameen Summa Aameen.
Awwal Aakhir Darood.

Bidate Hasna Yani Acchi Biddat Ka Saboot. Wahabi/Deoband Aur Ahle Khabees Ke Ghar Ke Tarzume Se Sabit.

Hadees :
“Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :
Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apana Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega.
Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee (Bhi) Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya.
Phir Woh Tareeqa Apnaaya Gaya To Us Ke Liye Apana Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 71, Kitabul Ilm, Baab : Hadees : 2675)

‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ ‏.‏
Imam Abu Isaa Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan Sahi Hai

Scan Page Niche Kitab Ko Takreejh Kiya Hai Wahabiyo Ke Muhadis E Aazam Pakistan Hafiz Zuber Ali Zai Sahab Ne Aur Uska Translation Khud Abu Khallyl Ne Kiya Hai Jo Print Huwi Darus Salam Se Farmaya YE Hadees Sahi Hai.

Isi Hadees Ko In Ahadees Ki Kitabo Me Bhi Aap Padh Sakte Hai.
(Sunan Ibn Majah  Vol :01, Pg :210, Kitab Al Sunnah, Baab : Wo Shaks Jo Acchi ya Bura Amal Izaad kare, Hadees : 203 )
Wahabi Darusalam Ye Hadees Sahi Hai Takreej Zuber Ali Zai
(Sunan Nasai Vol : 03,Pg :275, Kitabul Zakat, Hadees :2555)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Fath Ul Baari Vol : 05, Pg : 43, Hadees : 2675)

Scan Pages Of Wahabi Translation:

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!