Eid-E-Miladun Nabi

Eid-E-Milaad-Un-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Manana Jaiz Hai Aur Baa’ise Rahmat Aur Barkat Hai

ALLAH Ta’ala Musalmano Ko Koi Bhi Khaas Ne’amat Ata Farmata hai wo ALLAH ke khaas dino me se hai aur un dino ko yaad karte rehna zaroori hai.

Qur’an :
Aur unhe ALLAH ke dino ko yaad dilao.
[ 14 Surah Ibraheem, Aayat 5 ]

ALLAH ta’ala ne Hazrate Moosa alaihis salaam se farmaya tha ke ‘Bani Isra’eil ko un dino ko yaad karne ke liye kaho jab ALLAH ta’ala ne un ko khas ne’amate ata farmai ya’ni unki haajat par unko Mann wa Salwa (paka pakaaya khaana) ata farmaya aur Peene ke liye paani ka chashma ata farmaya aur us me unke 12 kabeelo ke liye 12 hisse kar diye.

Ummate Muhammadi ke liye Yaume Milaad-un Nabi sallallahu alaihi wasallam, Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Adha, Shabe Qadr, Shabe Baarat, Yaume Aashura, Shabe Me’araj ye sab ALLAH ta’ala ke khaas din aur raat hain.

Yaume Milaad-un Nabi sab se khaas din hai kyun ki ALLAH ta’ala ne ye tamaam kaainat apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke liye banai hai aur ye tamaam muqaddas aur mubarak din aur raat Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me musalmano ko ata kiye hain.

Hadeese Qudsi :
Laulak lama khalaqtul ardi wal aflak.
ALLAH ta’ala farmata hai :
Aye Mehboob agar tujhe paida karna maqsood na hota to main zameen aur aasmano ko paida na karta.

Hamare nabi sallallahu alaihi wasallam ka martaba itna aa’la aur afzal hai ke ALLAH ta’ala ne sab se pehle Noore Mustafa ko banaya aur puri kaainat ko unke liye hi banaya.

ALLAH ta’ala ki tamaam ne’amato me behtareen ne’amat uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam hain.
Aap ke sadqe me ALLAH ta’ala hamari duao ko qubool karta hai aur hame sab ne’amate ata karta hai.
Aap roze mehshar me ummatiyo ki shafa’at karke jahannam ki aag aur azaab se bachayenge.

Qur’an :
Beshak ALLAH ne musalmano par bada ehsaan farmaya ke un me unhi me se (azmat wala) Rasool bheja jo un par us ki aayate padhta aur unhe paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmat ki ta’alim deta hai agarche wo log us se pehle khuli gumrahi me the.
(3 Surah Aale Imraan, Aayat 164)

Is liye Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ke ehsaano ko yaad karke Yaume Milaad-un-Nabi ke mauqe par khushiya manani chahiye.

Yun to pura saal hame Sarware Kaunain Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ke ehsaano ko yaad karna chahiye aur Aap ki wilaadat aur Hayaate tayyabah ka aur aap ke kamaalat aur moazeezat ka zikr karte rehna chahiye.

Magar Yaume Milaad-un-Nabi ke mubarak mauqe par ALLAH ki is azeem ne’amat ka khaas kasrat se zikr karna chahiye.

Qur’an :
Farma dijiye (ye sab kuchh) ALLAH ke fazl aur uski rehmat ke ba’is hai (jo be’asate Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ke zariye tum par hua hai) pas musalmano ko chahiye ke us par khushiya manayen ye us se kahi behtar hai jise wo jama karte hain. (10 Surah Yunus, Aayat 58)

Ahkame shariat ke masa’il 4 chizo ko milakar samajh sakte hain :
(1) Kitabullah (Qur’an shareef)

(2) Hadees wa Sunnate Nabawi (Prophetics & traditions)

(3) Ijma e Ashaba wa Ulema (Consensus of Companions of Prophet , Followers of companions & Muslim scholars)

(4) Qiyas (Analogical Deduction by Muslim scholars)

Qur’an :
Aye Eimaan walo, ALLAH ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at karo aur (apno me se) saahibane amr ki aur phir kisi mas’ale par tum baham ikhtelaaf karo to use ALLAH aur uske Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki taraf lauta do, Agar tum ALLAH par aur aakhirat ke din par yaqeen rakhte ho to yehi (tumhare liye) behtar aur anjaam ke lihaaj se bahut achha hai.
(4 Surah an-nisa, Aayat 59)

Ya’ni ALLAH ta’ala farmata hai ki tum me ilm walo ke upar ilm wala hoga jo tumhare liye saahibane amr hoga aur jo tumhe ALLAH aur uske Rasool sallallahu alaihi wasallam ki ita’at ka sahi tareeqa sikhayenge.

Aam halaat me us Imaam ki ita’at karte raho aur jab kisi mas’ale par ikhtelaaf ho jaaye to Qur’an aur Sunnat ki taraf ruju karo.
Saahibane Amr me Ameerul Mo’mineen (Khulfa e Rashideen) aur Aaimma e Islaam saamil hain.

Hadeese Nabawi :
Ulma e ummatika ambiya e Bani isra’eil. Meri ummat ke ulema Bani isra’eil ke nabiyo ke maanind hai.

Aur Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wasallam ne aur Khulfa e Raashideen aur Aaimma e Islaam ne Milaad-un- Nabi jaaiz maankar apne apne tareeqe se manaya hai.

(1) ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wasallam ki zahoor / be’asat par apni qudrat se aap ki fazeelat ko zaahir karke khaas khushi ka izhaar kiya.
Aap Makka mukarrama me Peer ke din Subh saadiq ke waqt mushk ki khushbu mehkaate, paakiza badan, naaf burida, khatna shuda, dono shaano ke darmiyan mohare nubuwwat darakhshaa aur dono haath zamin par rakhe hue sare paak aasman ki taraf uthaae hue tashreef laaye .
Aap ki wilaadat ke waqt jaha par Hazrate Aamena radi-Allahu ta’ala anha thi us ghar me koi chirag na hone ke ba-wajood ghar me itni roshni ho gai ki agar koi chahe to sooi me dhaga piro le.
Zameen se aasman tak noor hi noor chha gaya. Tamaam but sar ke bal aundhe gir pade. Aatash-qada e Faars khud ba-khud gul ho gaya. Hukme ilaahi se Ka’aba ne sajda kiya.

(2) Huzoor nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ne apne Yaume wilaadat par khushi ka izhaar kiya hai aur ALLAH ta’ala ka shukr ada karne ke liye khaas ibaadat ki hai.

Masjide Nabawi me mehfile milaad me khud Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne apni wilaadat ke fazaail bayaan farmaye.
(Tirmizi shareef, Jild -2, Safa – 201 )

Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne khud apna Milaad manaya hai aur Madeena me bakare zibah karke miskeeno ko khilaayen hain.
(Al Haawil-il Fatawi, Jild -1, Hadees – 196 )

Hazrat Abu Katada radi-Allahu ta’ala anhu se riwayat hai ki : Huzoor sallallahu alaihi wa sallam se Peer (Monday) ke din roza rakhne ke baare me puchha gaya to Aap ne farmaya ke ‘Isi din meri Wilaadat hui thi aur isi din mujh par Qur’an majeed naazil huwa.’
(Sahih Muslim, Jild -2, Kitaab us Siyaam, Safa- 367 , Hadees – 2850 )

Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu farmte hain : ‘Jis ne Milaad-un-Nabi ki ta’azeem ki us ne Islaam ko zinda kiya.’
(Naimat-ul-Kubra, Safa -7, 8)

Maula e kaainat Hazrat Ali radi-Allahu ta’ala anhu ALLAH ki baargah me Huzroor Sarware kaainat sallallahu alaihi wasallam ke naam se ek mendha zibah kiya karte the.
(Jaame Tirmizi, Jild -1, Safa – 538 , Sunan Abu Dawood, Jild -2, Safa -29)

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!